Faridoon Shahryar's Blog


Thursday, August 2, 2012

"Main Highest Paid Actor Banna Chahta Hoon": Nawazuddin Sidduiqi


Nawaz Ki 'Kahani': "Aamir Ki Sarfarosh Mein 50 Second..": Nawazuddin Sidduiqi



Faridoon Shahryar (FS): Zubaani daave to bahut log karte rehte hai. Zubaani daave to bahut log karte rehte hai. Junoon ke kaam ko karke dikhaana hota hai! Mere saath mein hai Nawazuddin Siddiqui, jinhone junoon ka kaam kar ke dikha diya hai. ‘Gangs Of Wasseypur’ mein to khair inka kaam kamaal ka tha aur sunne mein yeh aaya hai ki Part 2 mein hero ka jo concept hai, usko re-write karne waale hai. To bahut bahut swagat aapka Bollywood Hungama pe. Bahut Mubarak aapko ki aapka behtareen saal jaa raha hai. ‘Kahaani’ mein bahut hi umda aapka kaam tha aur ‘Gangs Of Wasseypur 1’ mein jaise humne dekha aur ‘Gangs Of Wasseypur 2’ ka trailer to bahut hi zabardast hai. To kaisa lag raha hai aapko?

Nawazuddin Siddiqui (NZ): Abhi appreciation mil raha hai lekin iske peeche mere 10 saal jo maine gumnaami mein bitaaye aur chote-chote role karke, lekin barabar mehnat karta raha main, to uss mehnat aur hard-work ko dekhke accha lag raha hai ki hard work pay hota hai.

FS: Apne pehle kaunsi film kari thi?

NZ: (laughs) Maine to bahut saari filmein ki hai, choti-choti. Pehla kaam tha mera ‘Sarfarosh’ mein jo mushkil se 50 seconds ka tha. Uske baad ‘Munna Bhai MBBS’ mein chota sa kirdaar kiya tha. Aur iss beech 5-6 ad kiye tha jo bilkul crowd mein kiye the. Kahin junior artiste banke chale jaate the. Jab unke co-ordinator ko pata chalta tha ki inke pass card nahi hai, to fir jo paisa milta tha, usme se aadha-aadha karte the. Aadha assistant ko dena, aadha co-ordinator ko dena. Bacha kucha jo amount hota tha, woh hum rakh late the! To iss tarah ke bahut kaam kiye (laughs)!

FS: Koi aapki training hai theatre mein?

NZ: Maine National School Of Drama (NSD) se 1996 mein pass out kiya.

FS: Aur uske baad Mumbai aaye aap?

NZ: Haan, uske baad Mumbai aaya.

FS: 2 saal pehle bhi ‘PEEPLI [Live] aayi, usme aapka kaam bahut pasand kiya gaya. Aur issi film se kahin na kahin recognition shuru hua.

NZ: Baaki jo filmein maine ki thi usse pehle, usse thoda bada role tha. To kaafi logon ne appreciate kiya woh role. Ussi dauraan se kaafi filmein kar raha tha main. Ittefaq yeh hai ki kuch filmein abhi release hogi, kuch next year hongi, kuch uske baad release hongi.

FS: ‘Kahaani’ mein to kaafi important role tha aapka aur asal mein aapki body language lagti nahi hai par film mein kaafi aapka sakt role tha. Aur jab aapko dekte the film mein, to aisa lagta tha ki aap ye role role kar sakte hai. To ‘Kahaani’ aapke liye turning point ho sakta hai?

NZ: ‘Kahaani’ bahut badi hit ho gayi thi aur kaafi logon ne dekhi thi. Aur usme mera khaas kirdaar tha. To kaafi accha raha uska response mere career ke liye.

FS: ‘Gangs Of Wasseypur 1’ mein humne dekha ki aap filmon ke bahut bade fan hai, khaas kar Bachchan saab ke. Aur goli bhi maarte hai to woh bhi aap Bachchan saab ke andaaz mein kiya hai. To real life mein bhi aap Bachchan saab ke fan? Mulakat hui hai aapki unse?

NZ: Maine unke saath ek film ki hai jo ab tak release nahi hui. Ofcourse main unka bahut bada fan hoon. Bachpan mein unhi ki filmein dekh ke bade hue hai. Actor hi nahi par baaki logon mein bhi kuch na kuch Bachchan saab ki cheezein mil jaati hai. Uss waqt pe hum log jeans pehente the. To agar unki 32 mori hoti thi, to humne zyaada karwate the. 42 karwate the! To isse hota yeh tha ki poori sadak pe jadoo dete hue chalti the (laughs)!

FS: Aapne kaunsi film Bachchan saab ke saath ki?

NZ: Shoebite karke ek film ki thi, jo abhi release nahi hui.

FS: Bachchan saab ka bahut positive response hai ‘Gangs Of Wasseypur 1’ ke baare mein. To iss baare mein baat hui aapki Bachchan saab se?

NZ: Nahi meri baat nahi hui hai. Lekin maine suna ki kaafi unhone taarif ki thi.

FS: ‘Gangs Of Wasseypur 2’ mein cigarette bhi aap pee rahe ho, to Rajinikanth ki tarah aur jo dialogue bhi aap bol rahe hai ki ‘Maa kasam nahi karoonga’ aur ‘Karan Arjun dekhne chalte hai’, to aap usme bahut bade Bollywood ke fan nazar aate hai. Aapke body language mein bhi. To kitna aasaan ya mushkil tha yeh role karna?

NZ: Mere liye uska transformation bahut mushkil tha. Jaise first part mein aapne dekha hogi ki woh bahut hi shy sa hai, kam baat karta hai, romance karte hue bhi ghabrata hai..

FS: Permission lena…

NZ: Haan, permission lena padta tha haath rakhne ke liye (laughs)! Par second part mein uska bilkul violent sa transformation ho jaata hai. To ye jo change hai, woh bahut mushkil tha. Thank God mere director iss layak hai ki woh kaafi cheezein aasaan kar dete hai. Jo change hai woh bahut aasaan ho gaya tha. Otherwise, woh bahut mushkil change hai. Aapko pata bhi nahi chalna chahiye ki insaan kaise badal raha hai aur transformation ho raha hai. To woh deliberate nahi lagna chahiye. Anurag (Kashyap) ki bahut achchi pakad hai uss tarah ki cheezon pe.

FS: Kya aapne kabhi socha tha ki Huma Qureshi jaisi khoobsurat actress ko aap romance karoge?

NZ: Maine to apne life mein itni khoobsurat ladkiyan hi nahi dekhi thi (laughs)! To of course bahut accha lagta hai ki unke saath romance karna aur unki khaasiyat yeh hai ki bahut acche se respond karti hai woh cheezon ko. Balki ‘permission’ waala scene ko to unhone itna accha bana diya ki mujhe kuch karne ki zaroorat hi nahi padi!

FS: Huma ne humein bataya ki aapki asal zindagi mein bhi aisa kuch hua tha ki aapki koi girlfriend thi aur aap unka haath choona chahte the aur unhone mana kiya, for aap rone lage aur unhone gale laga diya aapko…

NZ: (laughs) Yeh Dilli mein hua tha actually. Mere ass pass jo dost the, sab ki girlfriend thi, meri nahi thi koi bhi. To maine socha ki meri bhi honi chahiye. To ek ladki ko maine bola ki ‘park mein chalte hai…chalogi?’. To usne bola ki ‘theek hai, chalti hoon’. To usse park mein leke aa gaya aur baith gaya. To usne bola ki ‘bore ho gayi main to’. To mujhe aisa laga ki maine kuch nahi kiya iske saath, to isiliye bore ho gayi! To maine idhar-udhar dekho ki koi dekh to nahi raha hai aur maine haath rakh diya (smiles)! To usne bola ki ‘kya, kya hai yeh?’ To maine hata liya haath. Maine kaha ki ‘aise hi hai bas’!

FS: Hahahahah!

NZ: To usne kaha ki ‘nahi kya hai yeh? Yeh to illegal hai. Tumhe permission leni chahiye thi. Aise kahin bhi haath rakh doge’. To mujhe sach mein laga ki baat to sahi hai ki aise thode kahin haath rakh dete hai! To maine kaha ‘I am sorry. Mere se galti ho gayi. Main maafi chahta hoon’. To woh boli ki ‘Dekho nawaz, kya hai ki tum mature ho aur main bhi matue hoon. Agar kuch chahiye, kahin haath rakhna hai, to permission lo’! To next time, kabhi bhi karoonga, to pehle permission loonga.

FS: Fir unhone gale laga diya aapko?

NZ: Haan, fir gale laga diya. Main to ro pada tha (laughs)!

"Main Highest Paid Actor Banna Chahta Hoon": Nawazuddin Sidduiqi



FS: Bollywood mein stereotyping kaafi hoti hai. Ek hero hota hai, ek heroine hoti hai, ek villain hota hai, supporting hero hota hai. Uss terminology mein dekha jaaye to aap ‘Gangs Of Wasseypur 2’ ke hero hai, jaise Manoj Bajpayee part 1 mein the. Aapka chehra bhi posters mein har jagah laga hua hai. Aap jis Party ko belong karte ho film mein, uske posters Mumbai mein hi nahi par Delhi aur dusre jagahon mein lag chukka hai. To isse log aapko zyaada recognize bhi kar rahe honge. To kya iss baat se aapko khushi hoti hai?

NZ: Poster waali baat hai, usme log Faizal Khan ko jaante hai. Jaise kuch din pehle aisa hua tha ki main Yari Road pe jaa raha tha auto se. Ittefaq se auto wahin roka jahaan poster saamne tha. To maine autowaale se pucha ki ‘ye kiska poster hai?’. To bola ki ‘CPM party ka candidate hai. Sion-Koliwada ka hai. Main jaanta hai isko. Naya naya aadmi hai aur paise waala hai. To abhi khada hua election mein’! Maine kaha ki accha aur uske jitne paise the, usko de diye aur nikal gaya (laughs)! To logon ke dimaag mein Faizal Khan hai. To unke pass se main guzar bhi jaau to woh log mujhe recognize bhi nahi kar paayenge!

FS: Aapne abhi kaha ki aap auto se jaa rahe the. 10 saal se Bombay mein hai aur ab aap kaafi filmein bhi kar rahe hai. To iss struggle ke baad aap apne ghar kharid paaye hai? Aap kiraaye ke makaan mein filhaal reh rahe hai?

NZ: Mera ye dream nahi tha ki main aa ke Mumbai mein ghar kharidu ya gaadiyaa kharidu ya bank balance banau. Yeh sab karna hota to shayad main Delhi mein rehta ya apne gaav mein kheti-baadi karta aur thode bahut paise kamaa leta. Main kuch aur soch ke Mumbai aaya tha jo Thank God woh ho raha hai.

FS: Zindagi ki jo zarooratein hoti hai, woh to aadmi poora karna chahega. Aur aapne kaafi mushkilein dekhi hai zindagi mein. Aur ab aapko kaam mil raha hai to definitely paise bhi aapke acche badh rahe honge. Especially agar kisi ne mushkilein dekhi hai, to uske liye to kaafi zaroori ho jaati hai.

NZ: Zindagi ki zarooratein to kam cheezon mein bhi poori ho jaati hai. Agar ab aristocratic life desire karte hai, to of course uske liye to fir bahut paise chahiye aapko. Baaki mere jaise aadmi ki zindagi bahut choti-choti cheezon mein poori ho jaati hai. Of course mere dimaag mein yeh bhi hai ki main highest paid actor banna chahta hoon, not just because of money. Balki sirf isliye kyonki actors ko yahaan paisa nahi milta. Star ko milta hai. Main chahta hoon ki actors ko bhi paisa mile. Iss wajah se main highest paid actor banna chahta hoon.

FS: Industry ka aapke taraf ravaiyaa kis tarah se badla hai?

NZ: Industry mein haath rakhna sabse pehle bahut mushkil hota hai. Par abhi to bahut easy ho gaya hai. Jaisa zyaadatar role jo mujhe aaj kal mil rahe hai, woh hero ke hi mil rahe hai. Lekin shuruaat aap par haath kaun rakhta hai aur daav kaun khelta hai, ye bahut mushkil hota hai. Otherwise, aisa nahi ki industry categorize kar deti hai ki, ye supporting actor hai to poori zindagi supporting actor hi rahega. Thoda bahut commercial filmon mein hai. Lekin meri kismet hai ki mujhe Anurag Kashyap jaise director mil gaye aur unhone first time bina soche samjhe mere pe haath rakh diya aur iss layak bana diya ki har director mujhe leke filmein banane ki soch raha hai.

FS: Kis-kis director ne aapko approach kiya hai?

NZ: Bahut saare director hai (smiles)!

FS: Abhi aap patte nahi kholna chahenge!

NZ: (smiles)

FS: Aap ‘Talaash’ mein bhi hai aur yeh kaha jaa raha hai ki Aamir Khan ke baad aapka second most important role hai. To kuch ‘Talaash’ ke baare mein aap bataaiye.

NZ: ‘Talaash’ to suspense thriller hai. Isliye zyaada to iske baare mein bata nahi sakta. Lekin har beat pe mazaa aayega. Badi mazedaar film hai. Itna hi bata sakta hoon!

FS: Jab aap Cannes mein jaane waale the, to kisi designer ne aapke kapde banane se manaa kar diya. Aur aapko kaafi bura laga. To iss baare mein aap apna experience share karna chahenge?

NZ: Actually, main America se aaya tha aur mere pass sirf 5 days the. To mujhe laga ki jaldi kapde banwa lete hai. To maine 2-3 logon ko approach kiya. Unko laga nahi mere jaise kad-kaathi ke aadmi ki filmein Cannes mein chal jaayegi. To unhone mana kar diya. Fir ittefaaq se mujhe pata chala Rema Mathews naam ki koi lady hai aur unhone kaha ki aap mujhe kapda laa do. To maine immediately kapda laa ke unhe diya aur unhone ek din mein mera suit bana ke diya tha.

FS: Finally, aapka woh ‘abbu’ waala dialogue bol ke suna sakte hai. Woh aapka dialogue bada popular ho raha hai.

NZ: Huma bolti hai ki ‘main tumhare bachche ki maa banne waali hoon’. To ye bolta hai ki ‘bachne ko bolna, abbu ne hello bola hai’!

FS: Aapse bahut aur baat karna chahenge aur inshallah definitely aage bhi mulakat aapse rahegi. We really hope that ‘Gangs Of Wasseypur 2’ bahut hi zyaada kaamyaab rahein aur aapke kaam ko bahut hi sahraaya jaaye. Anurag ne humse kaha ki ‘Gangs Of Wasseypur 2’ 10 times more entertaining hai part 1 se! Aur iske alawa baaki filmon mein bhi aapko kamyaabi mile. All the best wishes!

NZ: Thank you so much!

FS: That’s all we have from Bollywood Hungama. Keep on watching!

5 comments:

  1. I do not know anything other than just acting how want to be an actor?

    ReplyDelete
  2. I do not know anything other than just acting how want to be an actor?

    ReplyDelete
  3. are yar muje bhi actor bnna he par muje ku6 bhi pta nhi ki kya karna hoga koi to reply kro yar sirf rasta hi btado sayad me bhi apni manjil tak pahunch jau 9904630091

    Thanks.......... Jay Hind

    ReplyDelete
  4. main actor banna chahta hon
    plese sir contect me

    ReplyDelete