Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, December 23, 2020

Jeene ka maqsad

Jaan boojh ke bhula diya
Soch samajh ke kinara kiya
Tumhaare zulm ne ae dost 
Jeene ka maqsad dikha diya

#FaridoonShahryar
Cheekhne ki ijaazat
A Nazm by Faridoon Shahryar

Zeenat bane hum 
Tumhaare baadal waadon ke
Kuch bhi haath na aaya 
Siva shadeed pyaas ke 
Aankhon mein wo
Khwaab qaid rahenge 
Jaise tumhaari baaton mein phool
Haathon mein khanjar
Cheekhne ki ijaazat maangni hai
Kya karein? 



Qatl

Qatl tumne jo kiya berahmi se
Usi badolat aaj hum zinda hain

#FaridoonShahryar

Beimaan hawayen

Inquilaab na la sake hum
Tere Sajde mein gire hum 
In beimaan havaon se suna
Apne aap se bewafa hum 

Pattiyan

Pattiyan jinse aas lagaye baithe thhe hum
Tez hava ke jhonke ne unhe apna bana liya

#FaridoonShahryar

Besukooni ke saaye

Sitam kya khoob in havaon ne dhaaye hain
Had-e-nigaah tak besukooni ke saaye hain

#FaridoonShahryar

Goonjti Khamoshi

Shak hai hamein tumhaari nek niyati par 
Vo goonjti hui khamoshi aaj tak yaad hai
#FaridoonShahryar

Sunday, December 6, 2020

Asliyat ka aaina

Jhooth, makkari aur nafrat ke badmizaaj saudagar
Asliyat ke aaine se inki mulaqaat karaate hain

#FaridoonShahryar

Zulm ka nashtar

Vo zulm ke nashtar chubhoyenge
Hum shayri ke paron se sehlayenge
#FaridoonShahryar

Chiraghon ka andhera

Chiraghon ka andhera bula raha hai
Mayoosi mein sukoon dhoondo kabhi

#FaridoonShahryar

Zalzale

Khamoshi ki inteha shaayad yahi hai
Zalzale roz aate hain, sannata sametne 

#FaridoonShahryar

Tanhaai

Akela nahin hai koi bhi yahan
Tanhaai taqseem hui rafta rafta

#FaridoonShahryar

Hairatzada himaqat

Nasamajh kahoon ya ahmaq tumhe
Hairatzada himaqat sadme mein hai

#FaridoonShahryar

Masoomiyat

Masoomiyat ko badnaam kiya jaaye 
Chalo insaniyat ko tamaam kiya jaaye

#FaridoonShahryar

Pakeezah

Samajhdaar duniye se bahut door
Pakeezah khamoshi ko mera salaam

#FaridoonShahryar

Waqt

Waqt ki dor ko thaame hue
Haqeeqat ko khwaab mein टटोलता hoon aksar
#FaridoonShahryar

Zahar ki fasal

Zameen mein kaanten jo boye hain
Zahar ki fasal tumhe mubarak ho

#FaridoonShahryar

Hausla

Tayyar ho jaao yaaron toofan urooj pe hai
Tabassum ki baarish se hausla barsao

#FaridoonShahryar

Duhai

Duhai dete nahin thakte ki koi inhe sataaye na
Zulm karna jinki fitrat, behayai hai inki seerat 

#FaridoonShahryar

Zabt

Zabt kar na sake tum ahle junoon ko
Ye faisla raha hujoom ke iqtidar ka

#FaridoonShahryar