Faridoon Shahryar's Blog


Thursday, June 20, 2019

Sabhi shartein manzoor hain

Sabhi shartein manzoor hain
By Faridoon Shahryar

Jungle mein kal raat 
Roshni ka majma laga thha
Jaanvaron mein ghazab ka Josh thha 
Seena thok kar 
Jashn ki rasm 
Ko ada karte 
Vo zindadili 
Ki misaal thhe
Jo alag thalag thhe 
Rashk se 
Behisi ke muzhaire ko
Jazb kar rahe thhe
Aur phir unme se bhi Kayi jaanvar 
Jeet mein shaamil hue
Jhooth bolne ki 
Khasam khayi
Ahad kiya ki 
Aankh, kaan aur zubaan 
Ka sahi istimaal karenge 
Sabhi shartein manzoor hain
Aur haan 
Khoon jab khushk ho jayega
Bebasi ki baarish 
Mein bheeg kar
Aasuon ko apne 
Ye chhupayenge

Dhadkanon par bhi pahra hai

Dhadkanon par bhi pahra hai
A Ghazal by Faridoon Shahryar 

Khwaab hava ne besakhta humko ghera hai
Mushkil thee raat, mehekta savera hai
Ankhon mein hai ranj ki veerani
Dhokha shayad hamesha ke liye thehra hai
Bahaar ka lutf khizaan kya jaane 
Mere hisse ka sukoon bhi tera hai
Bijli bahut kondhi thi beeti raat bhar
Aisa laga jaise dhadkanon par bhi pahra hai
 Sooraj ab susta raha hai badlon ke ghar mein 
Dil-i-umeed mein ab sirf andhera hai

Saturday, June 8, 2019

Safar-i-Zindagi ka naya mod

Safar-i-Zindagi ka naya mod
By Faridoon Shahryar

Jo sajaya thha 
Takhleekhi gulistaan
Khandar nikla
Aasuon ko
Khushk raigistaan 
Mein dafn kiya
Ghaur-o-fikr 
Se parhez 
Nuktachini ki ijaazat khatm hui

Dil-e-mazboot aazmaish ke liye tayyar karo
Zabt ki intiha
Se dosti karo

Kuch bhi karo
Khwaab dekhne ke alavaa
Safar-i-Zindagi
Ka ye naya mod
Majboori hai
Aur zaroori bhi.

Roshandaan khula rahne dena

Roshandaan khula rahne dena
by Faridoon Shahryar

Roshandaan khula rahne dena
khuli hawa aur dhoop se
Vabistgi bani rahe
Achcha lagta hai

Ye tumhaare haathon mein kya hai
Aur tum ho kaun
Vahshat se dhadhakti
Nafrat mein jalti ye aankhen 
Maine tumhaare kya bigaada hai
Tadapti saansen 
Goonj rahi hain
Sadiyon tak sunayi degi
Ye dardnaak kahani


Aur phir kisi ne kaha
Roshandaan khula rehne dena...