Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, March 31, 2024

Lamhon ka khazaana

Maine bhulaana bohot chaaha tumhe par kuch haar sa gaya hoon

Vo jo lamhon ka khazaana mere paas hai, tanhai ki daulat hai meri

#FaridoonShahryar

Saturday, March 30, 2024

Hasraton ki kashti

Bazahir sab theek thaak hai lekin kuch kami si hai
Na Jaane kyun, hasraton ki kashti kuch thami si hai 

#FaridoonShahryar

Tuesday, March 26, 2024

Khamoshi

Khamoshi 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khamoshi ne khidki kholi 
Muskura ke dekha 
Haath thaama 
Waada kiya
Hamesha saath 
Nibhaane ka 
Main jab so gaya
Vo tab bhi 
Mere saath thi

Ishq Kya Hai

Mohabbat ka dikhava karne vaalon, Ishq kya hai, tum kya jaano
Zinda ho abhi tak, deevangi kya hai, tum kya jaano

#FaridoonShahryar

Monday, March 25, 2024

Mera Zapt

Mera Zapt
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Os ki boondon 
Mein garm saanson
Ka mahekna 
Vo behekna 
Mere zapt ka 
Aur phir jo hua
Vo hua
Hava ka sharmana
Aur un ka qareeb aana
Bus hai dushvaar 
Qadmon ko rok paana
Kyunki...

Mera Zapt

Mera Zapt
A Nazm by Faridoon Shahryar

Os ki boondon
Mein garm saanson
Ka mahekna
Vo behekna
Mere zapt ka
Aur phir jo hua
Vo hua
Hava ka sharmana
Aur un ka qareeb aana
Bus hai dushvaar
Saanson ko rok paana
Kyunki...

Sunday, March 24, 2024

Tumhein hum na mil sake

Hamein pata hai ki hum kya hain aur tum kaun ho
 Budqismati tumhari ki tumhein hum na mil sake

#FaridoonShahryar

Seher ka intizaar

Seher ka intizaar tumhe bhi hai aur mujhe bhi
Waqt ne muskura ke kaha, raat abhi baaqi hai

#FaridoonShahryar 

Khushgavaar husn

Manzar mein husn bhi hai aur soz bhi
Aur hum bhi kuch khushgavaar hain

#FaridoonShahryar 

Saturday, March 23, 2024

Daastaan mein mod

Aitbaar uth sa gaya hai, dhoke hi khaaye hain kuch aise
Zakhm-e-dil ki daastaan mein mod ab zahaanat ka Hai

#FaridoonShahryar

Friday, March 22, 2024

Kya hoon main

Safar Hoon Main, Manzil bhi shayad
Kisi ko kyun bataoon, kya hoon main 

#FaridoonShahryar 

Thursday, March 21, 2024

Fasaana

Mohabbat ka fasaana bus itna hi sa hai
Koi hai jo hamein chaahe, shaayad koi nahin

#FaridoonShahryar

Wednesday, March 20, 2024

Mohlat

Dushmani tum se maine nibhaana chaaha tha bohot 
Allah ka shukr, masroofiyat ne mujhe mohlat na di

#FaridoonShahryar

Monday, March 18, 2024

Qaayam hoon

Sab kuch sahi kiya, aisa daava kabhi nahin kiya hai main ne
Mauqa poora diya hai tum ko, is baat par main qaayam hoon

#FaridoonShahryar

Friday, March 15, 2024

Vaada

Ye meri kahaani hai, aur main hi sunaoonga 
Vaada hai doston, danka apna bajvaoonga 

#FaridoonShahryar

Dil lagao kabhi

Rishton mein nafa nukhsaan dekha nahin karte 
Dil lagao kabhi, har faisla dimagh se liya nahin karte 

#FaridoonShahryar

Tuesday, March 12, 2024

Sahi kiya

Sahi kiya
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jo bhi kiya 
Sahi kiya
Dil ko mom nahin
Zanjeer kiya
Jazzbaton ko kass ke
Jakad Liya
Sanson ko thaam liya
Samjha diya
Har us rishte ko
Jo jazb hai
Rom rom mein
Jo bhi kiya
Sahi kiya.

Sunday, March 10, 2024

Sukoon ka saaya

Sukoon ka saaya
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Sukoon ka saaya 
Hum se kuch 
Yun juda hua
Jaise saansen
Dheeme dheeme
Zindagi ka saath 
Chhodne ka mansooba
Bana rahi hon lekin
Faisla mubham sa hai.

Saturday, March 9, 2024

Sharm Aur Shikva

Aankhon mein sharm ke alaava bohot kuch nazar aata hai
Shikva kisi se kyun karen, waqt jaisa bhi ho guzar jaata hai

#FaridoonShahryar

Friday, March 8, 2024

Taaliyon ki mausiqui

Taaliyon ki mausiqui
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Mahdood mera daayra na ho
Isi firaaq mein deevangi se 
Dosti kar li hai 
Har lamha jashn-e-zindagi se
Do chaar hone ki mansha liye
Khoyi khoyi si tabassum odhe
Chala ja raha hoon
Bahe ja raha hoon
Waqt ki rau ko tasleem 
Karta bhi hoon 
Aur ye dua bhi labon par
Umadti si hai
Timtimaate sitaaron ke beech 
Mahtaab bun kar chha jaoon
Aur taaliyon ki mausiqui par 
Raqs ho.

Thursday, March 7, 2024

Achcha nahin kiya

Maine samjhaaya hai kai baar, tum ne samjha bhi shayad
Mere sabr ko tum ne kamzori samjha, achcha nahin kiya

#FaridoonShahryar

Wednesday, March 6, 2024

Baat samandar ki

Baat samandar ki
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Aazmaish ka lamha
Aaya bhi nahin
Aur tum ne 
Daaman chhuda Liya
Jo jung abhi chhidi hi nahin
Faisla uska suna diya
Baat karte ho samandar ki
Tumhe paani ki boondon ne
Hara diya

Sunday, March 3, 2024

Himaaqat

Bharosa karne ki phir se himaaqat kar baithe 
Dhokhe ne hamein dheeme se muskura kar dekha 

#FaridoonShahryar

Saturday, March 2, 2024

Achcha nahin kiya

Mohabbat ko meri izzat na bakhshi tum ne, afsos iska nahin hai
Dil se zyada dimaagh se kaam liya, ye achcha nahin kiya 

#FaridoonShahryar

Friday, March 1, 2024

Jung e Junoon

Sharafat se pesh aaya, magar kuch haar sa gaya hoon 
Jung-e-junoon shuru hui hai, ab tum meri inteha dekhna

#FaridoonShahryar