Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, August 22, 2021

Rihayee

Josh-e-jashn mein vo baat nahin 
Maza afsurda sa kyun hai, rihaaee ka

#FaridoonShahryar

Majboori si lagi

Maine koshish to bahut kari tumhaari nazron mein uthne ki 
Afsos ae dost, har koshish tumhen meri majboori si lagi

#FaridoonShahryar

Fareb ki dastaan

Ye mohabbat ke daave, ye wafa ka junoon 
Deewane ne fareb ki dastaan kya khoob sunai

#FaridoonShahryar

Hijrat ki shartein

Kashti ko kinara nahin samandar chhahiye 
Hijrat ki sabhi shartein manzoor hain hamein

#FaridoonShahryar

Kashmakash

Numaya na ho mere dil ka haal
Yahi kashmakash meri zindagi hai

#FaridoonShahryar

Saturday, August 7, 2021

Sharmsaar

Jinhe hum kahte rahe ke yahi to sirf apne hain
Vahi dost hamein paraya karte sharmsaar na hue 

#FaridoonShahryar

Talkhiyan

Talkhiyan jazb hui hain mere mizaaj mein yun
Tapti ret mein paanv ke chhaale koi gine kaise 

#FaridoonShahryar

Anjaan Sehar

Jis sehar ka intizaar karte aankhen bojhal huin
Vo subah ab anjaan si lagti kyun hai

#FaridoonShahryar

Monday, August 2, 2021

Khauff ka qahar

Beshkheemti aasoo

Nai zindagi ki subah ka khair makhdam hai
Jo aansoo raat bahe thhe, vo beshkheemti thhe

#FaridoonShahryar

Khaaka-e-Mukammal

Muntazir hoon manzar-e-nayaab ka 
Khaaka-e-mukammal kuch adhoora sa hai

#FaridoonShahryar

Kiraaye ki jeet

Shubah hai tumhe meri wafa par shayad 
Kyun manaoon jashn main, kiraaye ki jeet ka 

#FaridoonShahryar