Faridoon Shahryar's Blog


Tuesday, April 30, 2019

Aakhri khwaab dekhne ki ijaazat

Aakhri khwaab dekhne ki ijaazat
By Faridoon Shahryar 

Nahin, haath mat thaamna mera
Baisakhiyon ke bina
Bana rahna chaahta hoon
Haarne ki aadat ho chuki hai
Phir bhi lad raha hoon
Neend se door
Kisi beshkheemti nazm
Ya pyaare se naghme ke sahaare
Danta rahna chahta hoon
Badan ka lahoo kab 
Khatm hua, pata hi nahin
Ab kuch khone ko bacha hi nahin
Shama har rang mein jalti hai sehar hone tak
Bus us sehar ka intizaar
Ek aakhri khwaab
Aur haan ek savaal
Kya khwaab dekhna
Gunah to nahin?

Saturday, April 27, 2019

Kuch to zaroor badlega

Kuch to zaroor badlega
By Faridoon Shahryar 

Ye Jo ghabrahat hai
Ghere kyun hai mujhe
Kyun main khwaab bunne se baaz nahin aata
Umeedon ki roshni 
Andhera nikli
Shayad main sahi hoon
lekin bheed ka mizaaj Mukhtalif kyun hai 
Aankhon par Patti Baandhe ye log 
Apne andhe hone ko 
Tasleem kyun kar chuke hain
Ab main haar nahin sakta aur
Jeet to bus ek khayaal mein zinda hai
Ek beech ka rasta bhi hai shayad
Lekin main uske liye bana hi nahin hoon
Mujhe junoon pasand hai
Kuch to zaroor badlega
Mere alaava

Sunday, April 21, 2019

Intiha ki Intiha

Intiha ki intiha kya hoti hai
Beniyaz si hava aandhi kab banti hai

Yun hi koi zyaadti par amaada nahin hota
Har jurrat ke peeche koi vajah hoti hai

#FaridoonShahryar

@Rekhta

Bebahra sa Waqt

Shaoor aur tehzeeb se vaasta nahin Inka
Yeh alag baat hai ki tajjub nahin hota

Ab to har ek baat pe yahi sochta hoon
Pehle Jo tha vahi behtar tha

Kaanton mein lipta ye bebahra sa waqt
Lahooluhaan umeedon ko dekhta bechara sa waqt

#FaridoonShahryar

@Rekht



Friday, April 12, 2019

Khauf ki Shaam

Zulm ki intiha itni bhi nahin
Ki saanson mein sholay hon
Aur Dil ki aag thamne ka naam hi na le
Chhodo bhi na
Jaane do
Kuch kaam karo
Apna naam karo
Laal aankhon mein
Dekho aur dekhte raho
Khauf ki shaam 
Dhalne ko hai
Nai subah 
Rangon mein lipat kar
bus aati hi hogi
Bahut so liye
Jaagne ki ghadi hai
Nai sadi ka aaghaaz hoga
Zulm ko dafna kar
Kuch naye jhooth Janam lenge
Jaagte raho
Sona nahin

#FaridoonShahryar

Saturday, April 6, 2019

Safar hi manzil hai

Aag hai ufaan par
Josh hai junoon hai
Yeh khel bhi ajeeb hai
Jeet mein bhi haar hai
Asmaa hai zameen par 
Dhokha hi shikaar hai
Khwaab patthar ke hue
Phool maile ho chale 
Khushbu beniyaz hai
Raaste kai hain saamne
Badle ki goonj suno
Ya hosh se mustaqbil buno
Safar magar jaari rahe
Safar hi manzil hai