Faridoon Shahryar's Blog


Friday, July 31, 2020

Qahar

Vaba bhi jab jod na pai tab
Qahar barpa hone se kaun rokega
#FaridoonShahryar

Hamdard

Hamdard sab hain mere, hamdardi koson door hai
#FaridoonShahryar

Friday, July 24, 2020

Fareb ka karobar

Fareb ka karobar munaafe ki azmat
Jhooton ki biradri
Rahbar ki rahmat
#FaridoonShahryar

Khwabon ka mazaar

Khwabon ka mazaar tayyar hai
Zindagi ki hasrat barkharaar hai
#FaridoonShahryar

Sunday, July 19, 2020

Rahbar ki rahmat

Fareb ka karobar 
Munaafe ki azmat
Jhooton ki biradri
Rahbar ki rahmat
#FaridoonShahryar

Saturday, July 18, 2020

Abr ko Salaam

Abr ko salaam kar
Sabr kar sabr kar

Saturday, July 11, 2020

Chup Raho

Chup Raho
A Nazm by Faridoon Shahryar

Baagh mein phoolon 
Ke Chamakne ka mausam hai
Pariyon ke geet
Farishton ke paigham
Pahadon ke sajne ka
Mausam hai
Siyah raat ko bus 
Raat na kahna 
Kuch bhi ho jaaye 
Sach na kahna
Khidkiyon kholo
Dekho, socho
Aur chup raho

Hava Badli Si Hai

Yun to fiza mein jaraseem hain bahut
Phir bhi, na jaane kyun, hava badli badli si hai
#FaridoonShahryar

Barbadiyon ka Mujassama

Barbadiyon ka mujassama tayyar hai
Girta har roz inka mayaar hai

#FaridoonShahryar

Mujassama: Statue
Mayaar: Standard

Sunday, July 5, 2020

Sooraj se Dosti

Aao kuch mukhtalif karte hain
Chalo sooraj se dosti karte hain

#FaridoonShahryar