Faridoon Shahryar's Blog


Tuesday, September 22, 2020

Maaf Karna

Maaf Karna 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Cheekhen jab teergi se 
Jung mein muzmahil theen, 
Subah ne aamad ki dastak di
Main khauff libaas pahne 
Raat pehredaar ke 
Kahin peeche thha

Umeed noor ki aas mein 
Gar tumhe nazar aaon
To maaf karna
Khwaab dekhna 
Meri fitrat hai, 
Paagal hoon shayad
Maaf karna... 

#FaridoonShahryar

Kiraaye ki nafrat

Kiraaye ki nafrat
A Nazm by Faridoon Shahryar

Gham ko samajhta hoon,  
Dilaasa bhi diya hai
Bus ye tumhaari nafrat 
Kiraaye ki hai
Chale jao door, 
Gar aitbaar nahin hai
Mujhe bhi afsos hai
Tumhari nasamjhi ka
Istimaal hone ki 
Aadat sayaani hai
Waqt ko girvi rakhe 
Ghoomta hai deewana

Aqlmand

Jiski nigahbaani mein nashtar chubhoye jaate hain
Ye aqlmand uske saamne hi besakhta jhuke jaate hain
#FaridoonShahryar

Jhooth aziz hai

Koi to baat hai zaroor
Jhooth sabhi ko aziz hai

#FaridoonShahryar

Wednesday, September 16, 2020

Sharmnaak intiha

Likha jayega tumhare maathe par
Haivaniyat ki sharmnaak intiha
#FaridoonShahryar

Dhundli si manzil

Dhundli si hi sahi, manzil to hai
Ye tasveer saaf honi chahiye

#FaridoonShahryar

Ahmaq

Maqsad to insaaf thha
Ahmaq, badnaam kar chale

#FaridoonShahryar

Havas se hairaan

Mohabbat ki hai, nibhaana bhi aata hai mujhe
Mauqaparaston ki havas se hairaan hoon
#FaridoonShahryar

Saturday, September 12, 2020

Kaise kaise majboor hua

Rishte jo paas ke thhe, dheere dheere unse door hua
Mohlat mili to batlaoonga kaise kaise majboor hua
#FaridoonShahryar

Sunday, September 6, 2020

Intiha ho gayi hai itminan ki

Intiha ho gayi itminan ki
A  Nazm by Faridoon Shahryar

Intiha ho gayi 
Itminan ki
Sabr hai ya khauff
Ya phir bechargi
Toofan urooj
Par chhaya hai
Is tarah
Neenden udi 
Buzdilon ki jis tarah 

#FaridoonShahryar

Hava ye paagal si hai

Hava ye paagal si hai
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jin raaston pe chal pade, hairaan ho, pareshaan bhi
 Ajeeb manzar hai ye
Safar ye mayoos hai
Maghroor deewar 
ke peeche koi aur hai
Nasha ye bebahra sa hai
Hava ye paagal si hai

#FaridoonShahryar

Qabza

Qabza 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Bhediyon ne qabza kiya
Aur nochte rahe 
Insaniyat ke marne ke 
Bahut der baad tak
Khoon piya
Mooh pocha 
Aur nikal pade
Naye shikaar ki
Firaaq mein

Wednesday, September 2, 2020

Qismat Aaina

Jhooth ke saath khade ye log 
Qismat aayne mein khud ko nikhaarte hain
#FaridoonShahryar