Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, April 29, 2020

Nai Duniya Manzoor Hai

Nai duniya manzoor hai
by Faridoon Shahryar

Nai duniya mein
Khair maqdam hai
Khauff hai
Badhavasi hai
Aur nafratein bhi
Aankhen neend se bojhal hain
Manzar saakit hai
Rooh soch mein gum

Hava khushgavaar hai
Mor pankh phailaye 
Sadkon par raqs karte nazar aa rahe hain 
Aaj ka din achcha tha
Kal ki khabar nahin
Parson to bahut door hai
 
Is Nai duniya mein 
Main apne wajood se 
Mukhatib hona ki koshish 
Har roz karta hoon 
Mustaqbil par
Mera zor nahin
Ye nai duniya 
Shayad raas aayegi
Aisa mujhe lagta hai
Khwaab ki maut ke baad
Jo bhi hoga 
Achcha hi hoga 

Ye nai duniya 
Mujhe manzoor hai

Wednesday, April 22, 2020

Ghum ki aahat

Apne mustaqbil ki jung mein mashghool hum, 
Chalo kisi ke ghum ki aahat ko sunte chalen
#FaridoonShahryar

Wednesday, April 15, 2020

Izzat ka dariya

Aankh ka pyaala sookha kyun
Izzat ka dariya pyaasa hai yun 
Fiza mein jaraseem hain nafrat ke 
Aisi dozakh mein koi jeeye kyun 
#FaridoonShahryar

Saturday, April 11, 2020

Darr hi Haafiz hai

Aankhon mein jo tere ye bebas sa vaham hai, Sachchai hai duniya ki, ye darr hi to haafiz hai
#FaridoonShahryar

Khanjar ki nok

Khanjar ki nok par sambhali hai zindagi
Saansen gavaah hain khauf ke inteha ki

#FaridoonShahryar

Wednesday, April 1, 2020

Marr ke phir jeena

Aankhon mein gham ka sarmaya sahi, dil mein khwaab ki gunjaish bhi rakh

Saansen kai baar thami hain teri, Marr ke phir jeene ki khwahish bhi rakh

#FaridoonShahryar