Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, July 31, 2019

Raat ka andhera manzoor hai ab

Raat ka andhera manzoor hai ab
A Nazm by Faridoon Shahryar

Koi naya bahana dhoondha jaaye 
Chhup jaane ka 
Un khayalon se
Jo takleef ki alamat hain
Chalo kuch baatein karte hain
Hansatein hain
Gaane gaate hain
Waqt ko behne dete hain
Sabar karo
bharosa rakho
Umeed ke sitaare 
Sajao aur sanvaron
Haar kal ki baat hui
Jeetna fitrat hai ab 
Zindagi se nazren milao
Bahut kaam baaqi hai
Chalo so jaate hain
Kal se haath milaana hai
Raat ka andhera manzoor hai ab
Rishte sab azeez hain ab.

Behison ke jashn ka noor

Behison ke jashn ka Noor
A Nazm by Faridoon Shahryar 


Mazloomon ki cheekhon se door hoon ab
Behison ke jashn ka noor hoon ab
Zameer khiston mein becha hai maine
Jhooth bolne ka shaoor bhi seekha aur sikhaya maine
har us baat se bahut door hoon ab 
Jo sachhai ki duhai aur gavahi dene ki jurrat karti hai
Aaine par ret jami rahne do
Dekhne ko ab bacha hi kya hai
Raat ko nisbat hai unhi aasuon se
Lahoo bankar jo tapakte hain
Vo cheekhen mujhe sone nahjn detin

Thursday, July 18, 2019

Kahin Kho Jaana Hai

Kahin Kho Jaana Hai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Train par savaar 
Kuch khwaab 
Masoom si khwahish liye
Umangon ke paron 
Ke phadphadaane 
Ka sabr ke saath 
Intizaar karte hue
Chhupe baithe hain
Ab to bus ud jaana hai
Koi fikr nahin
Umeed ka daaman chhod
Khwabon ke baadal 
Ke saath sair karte hue
Kahin kho jaana hai

Safar ka Elaan

Safar ka Elaan 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Hava ne kanon mein kaha
Kya tum tayyar ho
Ek aise safar ke liye
Jo tasavvur se koso door hai
Jahan phaila beshumar noor hai
Ankhon par rashk aata hai
Beshkheemti khazana samete 
Mukammal duniya ke tabeer ki khwahish ko
Sach hota dekh paani ki khushkhismati 
Sabko naseeb nahin hoti
Barfeele paani mein haathon ko dalo
Elaan karo, haan main safar ke liye tayyar hoon
Haan, bulandiyon ka main yaar hoon

#FaridoonShahryar

Saturday, July 6, 2019

Haqeeaat ka aaina dhundla rahne do

Haqeeqat ka aaina dhundla rahne do
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Insaniyat ko murdaghar ke havaale kar 
Jungle ki taraf
Nikal pade hum
Hariyali ki phuaar
Dheeme dheeme
Nason mein utar gayi
Ajeeb si khushi hai
Vahshat se nijaat
Guzar gayi kaali raat
Ab ye jo subah hai
Haseen hai 
Nazneen hai
Pahadon mein safedi 
Pattiyon mein nami
Door tak sabze ka qaleen
Jharne aur nadiyon ke geet
Phoolon par Os ki thandak
Ye bhi ek sachchai hai
Khushi ki rut soch samajh ke aai hai
Haqeeqat ka aaina dhundla rahne do
Mujhe mere khwabon ke liye zinda rahna hai