Faridoon Shahryar's Blog


Saturday, April 27, 2024

Ankahe rishtey

Kahna bohot chaaha tum se, kah na saka main
Kuch rishtey shayad ankahe hi rah jaate hain

#FaridoonShahryar

Friday, April 26, 2024

Izzat se pesh aao

Izzat se pesh aao, tumhe aasmaan par bithaynge 
Aao chalo saath hamare, tumhe jannat dikhayenge 

#FaridoonShahryar

Thursday, April 25, 2024

Manoos

Manoos tum se main kuch yun ho sa gaya hoon
Jaise koi apna mil jaata hai kai sadiyon ke baad

#FaridoonShahryar

Wednesday, April 24, 2024

Khudparasti

Khudparasti ki inteha kuch yun kari hai tumne
Dikhaave ke rishton se gulshan ko aabaad rakha

#FaridoonShahryar

Sunday, April 21, 2024

Aur tum?

Aur tum?
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Bheed mein tanha,
Nayi baat nahin hai,
Har koi 
Akelepan se duuri
Behad zaruuri 
Samajhta hai
Sahi bhi hai
Lekin vo kami
Jo tumhari 
Zindagi mein
Tahleel hai
Main dekh sakta hoon
Aur tum?

Saturday, April 20, 2024

Husn

Husn
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Masoomiyat husn ko
Kuch aur haseen 
Yun banaati hai
Jaise koi khwaab 
Dheemi muskurahat mein
Lipta hua
Sirhaane mil jaaye
Aur phir...

Friday, April 19, 2024

Hausla

Jazba aur josh kum na ho bus yahi dua hai 
Hausla gar na ho phir zindagi se maut achchi 

#FaridoonShahryar

Thursday, April 18, 2024

Hone nahin doonga

Main achcha bun ke dikhaoon, aisi himaqat se parhez hai mujhe
Samajh jao tum ki main kya hoon, ye main hone nahin doonga

#FaridoonShahryar

Monday, April 15, 2024

Tanhai sukoon

Zid meri fitrat, jurrat hai mera junoon
Mohabbat sauda, tanhai mein hai sukoon

#FaridoonShahryar

Saturday, April 13, 2024

Fitrat mein meri...

Sharaait manzoor nahin mujhe 
Fitrat mein meri,zanjeerein nahin hain

Ranj hai

Afsos hai ki dard hai, aur beshumaar hai
Ranj ye hai ki tumhe kyun nahin hota 

#FaridoonShahryar

Friday, April 12, 2024

Haq

Haq 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Husn ko husn kaha 
Jazzbaton mein baha
Ishq parastish 
Pak mohabbat 
Nek mansooba
Ankhon mein dooba
Haq se maanga 
Haq apna 
Meri ana zeher sahi
Maut manzoor 
Aam zindagi nahin

Wednesday, April 10, 2024

Zimmedari nahin

Aur kuch mere bus mein ho ya na ho, lekin itna tay hai
Tumhari har baat maan lena ab meri zimmedari nahin

#FaridoonShahryar

Tuesday, April 9, 2024

Parchayi

Dil ke darwaaze ko bund kar ke bhi dekh liya hai maine
Tumhari yaad parchayi ki tarah mere saath rahti hai

#FaridoonShahryar

Sunday, April 7, 2024

Yahi sach hai

Yahi sach hai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khauff ki shaakh 
Par hava ne 
Dastak di hai
Pattiyon mein
Halchal si machi hai
Afratafri ke is 
Aalam mein
Ye kaun shaqs hai 
Jo tabassum ko
Apni dhaal bana kar 
Toofan ki aamad ko
Salaam karte hue
Khada hai 
Inhimaak ke saath
Anjaam jo bhi ho
Fateh uski hi hogi
Yahi sach hai.

Saturday, April 6, 2024

Sargoshi ki aahat

Raat ke kaanon mein sargoshi ki aahat sunai di hai 
Jugnuon ki mahfil saji hai bus tumhara intizaar Hai

#FaridoonShahryar

Friday, April 5, 2024

Tumhara vaham

Mujhe tumhari zaroorat hai, ye vaham hai tumhara 
Kitab ka vo warq kab ka peeche rah gaya hai hamara

#FaridoonShahryar

Thursday, April 4, 2024

So jao

So Jao
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Abhi abhi
Raat ne ailaan kiya hai
Ujaale ki tamanna 
Karne walon
So jao 
Andhere ki miiaad
Badhne waali hai
Khwaab sajao
Muskurao 
Barbadiyon mein bhi
Jashn manao
Khamoshi ka shor 
Azaab sahi 
Lekin..

Wednesday, April 3, 2024

Junoon Aur Sukoon

Junoon hai, junoon hai, junoon hai
Taveel raat ke baad hi sukoon hai

#FaridoonShahryar

Tuesday, April 2, 2024

Koi apna sa

Ye ghanimat hai mohabbat se rishta hai hamara
Bade hi khushqismat hain, koi apna sa hai hamara

#FaridoonShahryar

Monday, April 1, 2024

Zeher

Zeher 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Aabo hava mein 
Zeher ki miqdaar
Kuch itni badhi
Chhod aaye
Har vo rishta 
Jo hamein
Zindagi se
Zyada azeez tha

Sunday, March 31, 2024

Lamhon ka khazaana

Maine bhulaana bohot chaaha tumhe par kuch haar sa gaya hoon

Vo jo lamhon ka khazaana mere paas hai, tanhai ki daulat hai meri

#FaridoonShahryar

Saturday, March 30, 2024

Hasraton ki kashti

Bazahir sab theek thaak hai lekin kuch kami si hai
Na Jaane kyun, hasraton ki kashti kuch thami si hai 

#FaridoonShahryar

Tuesday, March 26, 2024

Khamoshi

Khamoshi 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khamoshi ne khidki kholi 
Muskura ke dekha 
Haath thaama 
Waada kiya
Hamesha saath 
Nibhaane ka 
Main jab so gaya
Vo tab bhi 
Mere saath thi

Ishq Kya Hai

Mohabbat ka dikhava karne vaalon, Ishq kya hai, tum kya jaano
Zinda ho abhi tak, deevangi kya hai, tum kya jaano

#FaridoonShahryar

Monday, March 25, 2024

Mera Zapt

Mera Zapt
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Os ki boondon 
Mein garm saanson
Ka mahekna 
Vo behekna 
Mere zapt ka 
Aur phir jo hua
Vo hua
Hava ka sharmana
Aur un ka qareeb aana
Bus hai dushvaar 
Qadmon ko rok paana
Kyunki...

Mera Zapt

Mera Zapt
A Nazm by Faridoon Shahryar

Os ki boondon
Mein garm saanson
Ka mahekna
Vo behekna
Mere zapt ka
Aur phir jo hua
Vo hua
Hava ka sharmana
Aur un ka qareeb aana
Bus hai dushvaar
Saanson ko rok paana
Kyunki...

Sunday, March 24, 2024

Tumhein hum na mil sake

Hamein pata hai ki hum kya hain aur tum kaun ho
 Budqismati tumhari ki tumhein hum na mil sake

#FaridoonShahryar

Seher ka intizaar

Seher ka intizaar tumhe bhi hai aur mujhe bhi
Waqt ne muskura ke kaha, raat abhi baaqi hai

#FaridoonShahryar 

Khushgavaar husn

Manzar mein husn bhi hai aur soz bhi
Aur hum bhi kuch khushgavaar hain

#FaridoonShahryar 

Saturday, March 23, 2024

Daastaan mein mod

Aitbaar uth sa gaya hai, dhoke hi khaaye hain kuch aise
Zakhm-e-dil ki daastaan mein mod ab zahaanat ka Hai

#FaridoonShahryar

Friday, March 22, 2024

Kya hoon main

Safar Hoon Main, Manzil bhi shayad
Kisi ko kyun bataoon, kya hoon main 

#FaridoonShahryar 

Thursday, March 21, 2024

Fasaana

Mohabbat ka fasaana bus itna hi sa hai
Koi hai jo hamein chaahe, shaayad koi nahin

#FaridoonShahryar

Wednesday, March 20, 2024

Mohlat

Dushmani tum se maine nibhaana chaaha tha bohot 
Allah ka shukr, masroofiyat ne mujhe mohlat na di

#FaridoonShahryar

Monday, March 18, 2024

Qaayam hoon

Sab kuch sahi kiya, aisa daava kabhi nahin kiya hai main ne
Mauqa poora diya hai tum ko, is baat par main qaayam hoon

#FaridoonShahryar

Friday, March 15, 2024

Vaada

Ye meri kahaani hai, aur main hi sunaoonga 
Vaada hai doston, danka apna bajvaoonga 

#FaridoonShahryar

Dil lagao kabhi

Rishton mein nafa nukhsaan dekha nahin karte 
Dil lagao kabhi, har faisla dimagh se liya nahin karte 

#FaridoonShahryar

Tuesday, March 12, 2024

Sahi kiya

Sahi kiya
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jo bhi kiya 
Sahi kiya
Dil ko mom nahin
Zanjeer kiya
Jazzbaton ko kass ke
Jakad Liya
Sanson ko thaam liya
Samjha diya
Har us rishte ko
Jo jazb hai
Rom rom mein
Jo bhi kiya
Sahi kiya.

Sunday, March 10, 2024

Sukoon ka saaya

Sukoon ka saaya
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Sukoon ka saaya 
Hum se kuch 
Yun juda hua
Jaise saansen
Dheeme dheeme
Zindagi ka saath 
Chhodne ka mansooba
Bana rahi hon lekin
Faisla mubham sa hai.

Saturday, March 9, 2024

Sharm Aur Shikva

Aankhon mein sharm ke alaava bohot kuch nazar aata hai
Shikva kisi se kyun karen, waqt jaisa bhi ho guzar jaata hai

#FaridoonShahryar

Friday, March 8, 2024

Taaliyon ki mausiqui

Taaliyon ki mausiqui
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Mahdood mera daayra na ho
Isi firaaq mein deevangi se 
Dosti kar li hai 
Har lamha jashn-e-zindagi se
Do chaar hone ki mansha liye
Khoyi khoyi si tabassum odhe
Chala ja raha hoon
Bahe ja raha hoon
Waqt ki rau ko tasleem 
Karta bhi hoon 
Aur ye dua bhi labon par
Umadti si hai
Timtimaate sitaaron ke beech 
Mahtaab bun kar chha jaoon
Aur taaliyon ki mausiqui par 
Raqs ho.

Thursday, March 7, 2024

Achcha nahin kiya

Maine samjhaaya hai kai baar, tum ne samjha bhi shayad
Mere sabr ko tum ne kamzori samjha, achcha nahin kiya

#FaridoonShahryar

Wednesday, March 6, 2024

Baat samandar ki

Baat samandar ki
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Aazmaish ka lamha
Aaya bhi nahin
Aur tum ne 
Daaman chhuda Liya
Jo jung abhi chhidi hi nahin
Faisla uska suna diya
Baat karte ho samandar ki
Tumhe paani ki boondon ne
Hara diya

Sunday, March 3, 2024

Himaaqat

Bharosa karne ki phir se himaaqat kar baithe 
Dhokhe ne hamein dheeme se muskura kar dekha 

#FaridoonShahryar

Saturday, March 2, 2024

Achcha nahin kiya

Mohabbat ko meri izzat na bakhshi tum ne, afsos iska nahin hai
Dil se zyada dimaagh se kaam liya, ye achcha nahin kiya 

#FaridoonShahryar

Friday, March 1, 2024

Jung e Junoon

Sharafat se pesh aaya, magar kuch haar sa gaya hoon 
Jung-e-junoon shuru hui hai, ab tum meri inteha dekhna

#FaridoonShahryar

Thursday, February 29, 2024

Jhooth

Jhooth
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Raat ko subah se 
Milaane ki koshish
Kuch is tarah se ki hai
Veeraan sa hai safar
Koi bhi nahin humsafar
Aaina bhi 
Tujhe anjaan sa
Samajhta kyun hai
Main chalna chahoon bhi
Phir bhi namumkin 
Sa lagta kyun hai
Kahoon kaise ab 
Ae dost 
Tumhaara har sach
Jhoot sa lagta kyun hai

Wednesday, February 28, 2024

Fitrat

Fitrat tumhaari dakhalandaazi ki hai, main jaan chuka hoon
Tuute hue rishton ko aur kitna bikheroge, chalo dekhte hain

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 27, 2024

Gumnaami ka andhera

Gumnaami ka andhera
A Nazm by Faridoon Shahryar

Nafrat ke saaye se duur
Apne aap se mukhatib
Kisi aisi duniya mein tahleel
Jahan kuch ho na ho
Bechaini kum hai
Neend ab bhi kum hai
Sukoon ki miqdaar
Sab mahriomiyon par
Bhaari hai
Main thoda duur
Aur duur chala jaana chahta hoon
Nafrat ke saaye se
Gumnaami ka andhera achcha.

Mohabbat aur beniyazi

Beniyazi se jab maine kaam liya, tum ne shayad jaan liya
Mohabbat mein sabr ka imtihaan zyada nahin liya karte

#FaridoonShahryar

Sunday, February 25, 2024

Duuri

Duuri jo hum ne iqtiyar ki, tum paas aa gaye
Dil jud na sake, na sahi, fareb-e-nazar hi sahi

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 20, 2024

Tohfa

Tohfa
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Tohfa mere naam gar 
Karna jo tum chaaho 
Thoda sa khuloos
Thodi si mohabbat 
Hamdardi ki narmi 
Hissas si koi aahat
Besakhta si chaahat
Izzat se pesh aao
Kabhi to muskurao 
Vo kum sukhan hona 
Vo zahanat ka zom
Dil bujh sa chuka hai ab
Koi dil ko sataaye kyun

Monday, February 19, 2024

Duur

Bohot qareeb na aao mere
Bohot duur jaane ke liye

#FaridoonShahryar 

Safar ki shart

Kisi bhi shaqs se sukoon ki tavaqqo hum kyun rakhen
Safar ki shart hai, akele hi dhund se baahar nikalna hai

#FaridoonShahryar

Saturday, February 10, 2024

Dhund si kyun chhayi hai

Dhund si kyun chhayi hai
A Nazm by Faridoon Shahryar

Raat ki siyahi se
Tasveer kyun
Banayi hai
Subah ke andhere ko
Thoda ghaur se dekho
Dhund si kyun chhayi hai
Kis ki maut aayi hai
Khabar kisne
Chhapvai hai
Koi bhi nahin hai kya
Thoda sa jo jee sake
Sab ki maut aayi hai
Dhund si kyun chhayi hai

Friday, February 9, 2024

Aansuon ki Nami

Muskurahaton mein aansuon ki nami si kyun hai
Hamare shahar mein har shaqs tanha sa kyun hai 

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 6, 2024

Bewafa Dost

Jis ko bhi dil ka haal sunaya, vo hi bewafa nikla
Hum ne khud ko dost banaya, ab dekho kya hota hai

#FaridoonShahryar

Sunday, February 4, 2024

Masroof Tanhai

Masroof Tanhai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Jidhar dekha 
Har shaqs 
Apne hi mein 
Masroof nazar aaya
Kis se shikayat
Kyun ye khafgi 
Hamein to duniya mein
Har shaqs 
Tanha hi nazar aaya

Saturday, February 3, 2024

Dhoondta hoon sukoon

Dhoondta hoon sukoon
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Koi maqsad nahin
Phir kya hai zindagi 
Kaisa hai ye junoon
Kyun hai ye aarzoo
Gar yaqeen nahin tumhe
Phir kyun hai ye justujoo
Jise mahsoos kar sakoon
Dhoondta hoon vo sukoon

Friday, February 2, 2024

Jab waqt mile

Jab waqt mile
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Yaadon ki kirchanon ko
Dil ke kisi kone mein
Hifazat se saja loon 
Aur jab waqt mile,
Thoda muskura loon.

Wednesday, January 31, 2024

Khamoshi

Khamoshi
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khamoshi 
Har simt 
Mayassar hai,
Raat 
Se kah do, 
Seher ka imkaan
Namumkin hai

Monday, January 29, 2024

Aansuon ki saughat

Aansuon ki saughaat le kar jo tum aaye the, kuch kaha bhi hota 
Hum bhi apna haal sunaate, tanha dil kab se rone ko betaab hai

#FaridoonShahryar

Sunday, January 28, 2024

Hamari Zindagi

Raat aaj phir bohot lambi hone waali hai 
Lekin ek ajeeb sa sukoon kyun taari hai
Koi kahin shayad hum ko bhi sochta hoga
Us ko khabar pohcha do, wo zindagi hamari hai

#FaridoonShahryar

Saturday, January 27, 2024

Mera qatl

Jis shiddat se mere qatl ka intezaam karte ho dost 
Kaash kabhi dosti ki koshish karte, hum khud hi marr jaate

#FaridoonShahryar

Friday, January 26, 2024

Bewafa se wafa

Wafadaari ke imtihaan mein nakaam hi hona tha
Ab bewafa se ishq koi nibhaye bhi kaise

#FaridoonShahryar

Thursday, January 25, 2024

Khona chaahta hoon

Tumhe haasil nahin paana chaahta hoon 
Apne aap ko thoda aur khona chaahta hoon

#FaridoonShahryar

Wednesday, January 24, 2024

Fareb

Fareb 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Khamosh Raat
Se baatein karta hoon
Phone ki roshni mein
Tanhai se roobaroo ho kar 
Tumhe ek baar phir 
Yaad karta hoon 
Faasla ab achcha sa
Kyun lagta hai
Pata nahin 
Khamosh raat 
Se baatein karna
Khwabon ke fareb se
Shayad kahin behtar hai

Saleeqa

Zindagi jeene ka saleeqa sikhaane aaye hain 
Jo apne ghar ko tinka tinka bech aaye hain 

#FaridoonShahryar

Tuesday, January 23, 2024

Ajnabi dost

Ye to achcha hua, tum ajnabi se ho gaye ae dost
Kabhi saamna hua, ho sake to muskura dena

#FaridoonShahryar

Monday, January 22, 2024

Aur kya kahen

Jaisa socha tha hum ne bilkul vaisa hi hua hai sab 
Aur kya kahen, kahne ko kuch bhi raha nahin hai ab

#FaridoonShahryar

Saturday, January 20, 2024

Tum hi tum ho

Tum paas na sahi, duur bhi to nahin 
Har simt jahan dekhoon bus tum hi tum ho

#FaridoonShahryar

Friday, January 19, 2024

Kisi aur bazm ki yaad

Har koi apne hi mein mashghool sa nazar aaya
Hum ne phir se kisi aur bazm ko yaad kiya aaj

#FaridoonShahryar

Wednesday, January 17, 2024

Akela aasmaan

Aaj raat barf ka savera hai
Mera aasmaan, phir bhi akela hai

#FaridoonShahryar

Monday, January 15, 2024

Kirdaar aur lahja

Baat karne ka lahja badalta sa rahta hai 
Tumhaare kirdaar mein zarf ki kami hamesha se thi

#FaridoonShahryar

Bhoola hua Khwaab

Bhoola hua Khwaab 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Tum koi yaad nahin, 
Kal ki kahi koi baat nahin,
Tum ek jazba ho 
Aas ho, ahsaas ho
Bhula do mujhe ab
Jaise koi khwaab ho

Sunday, January 14, 2024

Mayoos qissa

Qissa vo khatm kar bhi doon, haasil magar aayega kya
Tanha main kal bhi tha, mayoos main aaj bhi hoon 

#FaridoonShahryar

Mayoos Qissa

Qissa vo khatm kar bhi doon, haasil magar aayega kya
Tanha main kal bhi tha, mayoos main aaj bhai hoon 

#FaridoonShahryar

Saturday, January 13, 2024

Kirdaar ke rang

Mohabbat ki tasveer mein kuch kami si rah gayi
Kirdaar ke rangon ko utarte dekha hai hum ne 

#FaridoonShahryar

Thursday, January 11, 2024

Beimaan maqsad

Jo chaaha tha maine vo hua nahin ab tak
Zinda rahne ka maqsad beimaan sa kyun hai

#FaridoonShahryar

Tuesday, January 9, 2024

Jhootha hi sahi

Jab bhi sach bola, dhokha hi khaaya hai maine
Main jhootha hi sahi, tanhai hai azeez mujhe 

#FaridoonShahryar

Friday, January 5, 2024

Khwaab aur Haqeeqat

Chaaha to bohot ki tumhe apna bana sakoon 
Khwabon ne magar haqiqat se mooh mod liya

#FaridoonShahryar

Thursday, January 4, 2024

Zillat se samjhauta

Koshish bohot ki maine apni ana se mooh modne ki 
Jurrat ne mujhe zillat se samjhauta na karne diya 

#FaridoonShahryar

Tuesday, January 2, 2024

Junoon aur Jazbaat

Jazbaat saje hain har taraf, jazbaton ka kya hai
Sahi kya hai khabar nahin hamein, junoon ye kaisa hai 

#FaridoonShahryar

Fareb

Zindagi ne itne fareb diye ki na jaane kab 
Main bhi farebi ho gaya aur afsos bhi na hua

#FaridoonShahryar

Qadr

Meri qadr ki hoti to kuch aur hi baat hoti 
Tum agar chaahte, yeh raat aisi siyaah na hoti 

#FaridoonShahryar