Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, December 19, 2021

Intiha e imtihaan

Maine ek baar phir raat se sabr ki mohlat maangi hai
Inteha-e-imtihaan ki aazmaish shayad abhi baaqi hai

#FaridoonShahryar

Apna hi paraya hai

Jo apna hai vahi to paraya hai
Zindagi par maut ka saaya hai 

#FaridoonShahryar

Aam hi khaas hai

Jo aam hai vahi to khaas hai 
Khwaab ko tootne ki aas hai

#FaridoonShahryar

Kambakht Zameer

Nafrat ki tijarat tajveez karte hain mere aziz dost 
Kya karen, kambakht zameer, deewangi par amada hai

#FaridoonShahryar

Dard se unsiyat

Dil todne ke liye shukriya 
Ab dard se unsiyat si hai

#FaridoonShahryar

Raaz

Roshni ne kiya hai ab ye faisla 
Jo sar-e-aam hai, vahi to raaz hai 

#FaridoonShahryar

Thursday, December 2, 2021

Sabr ki mohlat

Maine ek baar phir raat se sabr ki mohlat maangi hai
Inteha-e-imtihaan ki aazmaish shayad abhi baaqi hai

#FaridoonShahryar

Sanjeeda si kuch yaadein

Sanjeeda si kuch yaadein 
A Nazm for Aarefa's birthday 

Sanjeeda si kuch yaadein 
Baatein mulaqatein
Har lamha beshkheemti 
Din ho ya ratein 
Ankhon mein jazb 
jazbaaton ka kinara 
Kashti ko meri, ho saahil ka sahara
Sanjeeda si kuch yaadein 
Baatein mulaqatein
Samandar ki tarah 
Vasi nuqta nazar
Bin kahe bhi ho jaye kuch aisa asar 
Khwabon ki taabeer ho 
Tum hi se hai haseen safar

Sanjeeda si kuch yaadein 
Baatein mulaqatein