Faridoon Shahryar's Blog


Saturday, April 30, 2022

Main naraaz hoon tumse

Main naraaz hoon tumse
A Nazm by Faridoon Shahryar

Main naraaz hoon tumse 
Aur rahoonga 
Koi safai nahin chahiye
Rusvai ko yaad rakhoonga
Aur tumhe bhool jaoonga
Ahmaq bhi ho tum 
Aur jaanvar bhi
Bheed ke peeche chhupe baithe
Buzdil ho tum 
Main naraaz hoon tumse
Aur rahoonga

Sunday, April 24, 2022

Sukoot ka aabshaar

Ye naye nizam ki adavatein 
Kuch jhurriyan, kai silvatein 

Main sukoot ka aabshaar hoon 
Main thoda sa hoshiyaar hoon 

#FaridoonShahryar

Friday, April 22, 2022

Kho sa gaya hoon

Kho sa gaya hoon
A Nazm by Faridoon Shahryar

Sab kuch daav par laga kar 
Thoda ro kar, zyada muskura kar
Main apne aap ko, 
Haara sa lagta hoon
Zamaane ne mujhe 
Izzat bhi di, shohrat bhi, 
Magar phir bhi 
Qadr apni main kar na saka
Sab kuch daav par laga kar
Main zindagi ke maslon mein
Kuch kho sa gaya hoon

Zinda sa hoon

Zinda sa hoon
Nazm by Faridoon Shahryar

Marna multavi kiya hai,
Mohlat maangi
Apne zameer se,
Vaada kiya
Hashr ke manzar 
Se parda karoonga 
Aur dua se labrez 
Labon ko see loonga,
Zahanat se vaabistgi 
Ek saraab sa hai
Main shayad hosh mein nahin
Bus zinda sa hoon

Wednesday, April 13, 2022

Ajeeb ho tum

Tum bhi ajeeb ho ae dost, hairaan hoon main 
Aashiyan apna ujaad kar, jashn mein giraftar ho tum

#FaridoonShahryar

Ranj ye hai ki...

Afsos hai ki dard hai, aur beshumar hai
Ranj ye hai ki tumhe kyun nahin hota

#FaridoonShahryar

Thursday, April 7, 2022

Apnapan na raha

Fiza mein ghair chidiyon ne aashiyan bana rakha hai 
Koi apna na raha, apnapan ka namonishan na raha

#FaridoonShahryar

Budduaon ki sada

Budduaon ki sadayen purzor goonj rahi hain 
Zakhmi dilon ki guhaar zaaye na jaaye ae Khuda

#FaridooonShahryar

Friday, April 1, 2022

Barbaad gulistan

Jinhe tumne hamara rehnuma banaya tha, vo rahzan nikle 
Barbaad gulistan karke bhi, sharm lekin tumhe nahin aati

#FaridoonShahryar