Faridoon Shahryar's Blog


Saturday, May 29, 2021

Aakhri shab

Aakhri shab par pahra hai kiraaye daaron ka 
Makaan maalik ghar bechne par aamaada sa hai

#FaridoonShahryar

Friday, May 28, 2021

Wafa ka saboot

Apne khwabon ko dafn kar chuke hain 
Aur wafa ke saboot na maango ae dost

#FaridoonShahryar

Thama hua pahar

Is raat ki sehar ka intizaar fizool hai 
Ye aisa pehar hai jo tham sa gaya hai

#FaridoonShahryar

Begaangi ka fasaana

Samajhdaari se sangat sayanon ki fitrat
Jahalat ki qismat, begangi ka fasaana

#FaridoonShahryar

Barbaadi ka mansooba

Meri barbaadi ka mansooba dil mein liye
Gaanv tum apna jala baithe ho ae dost 

#FaridoonShahryar

Ishtihaar

Jab tum kisi ki jaan bachane mein masroof thhe
Vo apna ishtihaar sajaane mein mashghool tha

#FaridoonShahryar

Sab rafu ho jayega

Silvatein maathe par rah jaayen shaayad 
Baaqi sab kuch rafu ho hi jayega

#FaridoonShahryar

Pardadaari ka saleeqa

Tum kitne saleeqe se pardadari ki rasm nibha rahe ho 
Sach ko jhooth ka aaina baqoobi se dikhla rahe ho

#FaridoonShahryar

Sapnon ka aabshaar

Mahaul khushgawar  hai, barkha hai bahaar hai
Nuktachini kare koi kyun, sapnon ka aabshaar hai

#FaridoonShahryar

Jashn-e-vahshat

Jashn-e-vahshat zaroor raas aayega 
Tumhe aata hi nahin insaan hona 

#FaridoonShahryar

Cheekhen dafn hain

Ye raat itni khamosh si kyun hai dost
Kya cheekhen dafn hain sannate mein?

#FaridoonShahryar

Himmat nahin rahi

Waqt ki aazmaish se haare to nahin hum 
Himmat nahin rahi bus, aur kya kahen hum

#FaridoonShahryar

Nasamajh chahne waale

Chalo phir se vahi purani tarkeeb aazmai jaaye 
Chahne waale naraaz sahi, nasamajh bhi to hain

#FaridoonShahryar

Saakit lamha

Ye saakit lamha bus mera apna sa hai
Andheron ne dekha hai mujhe muskurate hue

#FaridoonShahryar

Aakhri shab par pahra

Aakhri shab par pahra hai kiraaye daaron ka 
Makaan maalik ghar bechne par aamaada sa hai

#FaridoonShahryar

Sab ghalat, main sahi

Sab ghalat, main sahi, bus itna sa farmaan hai 
Mil ke aao baat karen, tum suno, main kahoon

#FaridoonShahryar

Tuesday, May 4, 2021

Mukammal

Tum apna sarmaya mujhse chhupa lo, ye tumhari marzi, 
Mera wajood bus tumhare ahsaas se mukammal hai

#FaridoonShahryar