Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, February 14, 2021

Dard

Barf ki tahon ke neeche 
Dard besakhta zinda hai

#FaridoonShahryar

Saaya e tahaffuz

Aitmaad khud pe jaise na raha 
Saaya-e-Tahaffuz sharmsaar hai

#FaridoonShahryar

Husn ho tum

Manzilon ne raaston se kaha
Husn ho tum, main hoon saaya

#FaridoonShahryar

Ae dost gham na kar

Ae dost gham na kar
A Nazm by Faridoon Shahryar

Ae dost gham na kar
Lambi hai dukh ki raat
Chubhte hain zakhm
Zahanat hai sharminda 
Darindgi hi hai bus zinda
Aansoo na thamenge 
Na hogi samajhdari ki baat
Phir bhi main yahi kahoonga
Ae dost gham na kar
Ae dost gham na kar

Manimugdha Sharma ke liye

Siyaah raat ki siyaahi

Siyaah raat ki sihayi se insaaf likha jayega 
Jo hota aaya hai phir se dohraya jayega 

#FaridoonShahryar

Ghairon ki wafa

Apno ne na sahi, ghairon ne wafa ki hai
Saath mazloomon ka na diya to kya jiye

#FaridoonShahryar

Nafrat ki fasal

Ghuroor ki mitti mein zulm boya tha
Nafrat ki fasal tayyar hai, mubarak ho

#FaridoonShahryar

Pardaadaari ke maahireen

Pardaadaari ke mahireen
Nazm by Faridoon Shahryar

Wafadaari ka hisaab 
havaon se maangte hain 
Ret ko mutthi mein
Bund karna 
Baqoobi jaante hain 
Khareed farokht ke maahireen 
Zameer ko 
Bikao maante hain 
Qadardaan
Pardaadaari karna 
Apna farz maante hain.

Kifayat shaari

Izhaar-e-mohabbat mein kifayat shaari
Sahal zindagi yun dushvaar si hoti gayi

#FaridoonShahryar

Sailaab

Aansoo kamzor nahin hain
Ye sailaab ki peshengoi hain

#FaridonShahryar