Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, January 26, 2022

Sab theek hai

Sab Theek Hai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Ghum ko aaghosh mein 
Liye phirte hain 
Girte hain 
Bikharte hain 
Milte roz hain
Khaufnaak mustaqbil se
Aur sunte hain 
Khoon mein lipti
Dhamkiyon ko
Jo hamein yaqeen dilati hain
Sab theek hai
Kaho, sab theek hai

Beniyaaz kashtiyaan

Saahil par baithi kuch beniyaaz kashtiyaan 
Lehron ko doobte hue itminaan se dekhti hain 

#FaridoonShahryar

Chalo Chalen

Chalo chalen 
Nazm by Faridoon Shahryar

Maine halke se kaha 
Hava ke kaanon mein 
Chalo beh chalte hain 
Wahan jahan koi 
Jaane ka tasavvur 
Bhi na karta ho,
Tashaddud gaon 
Ko Khuda Hafiz kaho
Rukh karo 
Kisi aise des ka
Mukhtalif ho 
Jahan mukhalfat
Ka andaaz-e-bayaan
Chalo chalen...

Aazmaish

Aazmaish 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Raat ko khamoshi ne 
Kuch yun apnaya hai 
Jaise nanhe khwaab
Chalna seekhne ki 
Aazmaish se do chaar 
Ho bhi rahe hain 
Aur nahin bhi

Mat sahal hamein jaano

Mat sahal hamein jaano
A Nazm by Faridoon Shahryar

Mat sahal hamein jaano 
Kuch kah bhi den
Aur samajh bhi tum jao
Ye bhi koi baat hui 
Jo humne kaha bhi nahin 
Vo sab ki zubaan par hai
Aur imkaan ye bhi hai
Hamein sunne ko 
Hujoom tayyar ho
Lekin tabiyat hamari
Abhi mael nahin hai
Mat sahal hamein jaano

Wednesday, January 12, 2022

Ghairat

Hairat hai ki aap mein ghairat nahin hai 
Shayad ragon mein khoon bahta nahin hai

#FaridoonShahryar

Khata

Khata ye kaisi hui hai havaon se 
Gulistan ki qismat mein sehra tha

#FaridoonShahryar

Havaaon se keh do

Jo hua so hua, koi baat nahin
Jee ko behla lo thodi der kahin
Hum to behis hain, jayenge wahin
Havaon se keh do, thum jaayen yuhin

#FaridoonShahryar

Saturday, January 1, 2022

Jungli

Jungli 
Nazm by Faridoon Shahryar 

Hava se kaha gaya hai,  chupchaap bahe 
Paani ki ravaani ko thaamne ki mansha hai 
Bus aag par koi zor nahin 
Har taraf lapten 
Sholey urooj par hain 
Sab khaak hone ki intizaar mein ek bheed saleeqay se baithi hai
Unhe yaqeen hai
Jungle bus unhi ka hai