Faridoon Shahryar's Blog


Friday, February 22, 2019

Girvi Azaadi

Bhaari dil
Bojhal shaam
Udaas phool
Bebas saansen
Girvi azaadi
Jhoothi tasalli
Khaara paani
Kadvi hasi
Roti nadi
Seeli barf
Khudgarz khwaab
Buzdil zindagi
Behta Darr

Thursday, February 21, 2019

Khwaab Ka Darr

Khwaab ka Darr
By Faridoon Shahryar

Khwaab jheel 
Behad khamosh hai
Itni khamosh ke
Sannata goonj raha hai
Door barf pahne vo
Mazboot pahad 
Tayyar hain shaayad
Unhe toofan ki aamad
Ka yaqeen hai
Khauf ki hulchul 
To aam baat hai
Darr ne ghera hai
Saare aalam ko
Khwaab dekhne ka darr...

Monday, February 11, 2019

Talaash

Mehngi kamyaabi hai
Ghuroor, nashe mein dhut hai
Khuda hone ka zom ho chuka hai
Apni parchhayi se bhi Ishq laazmi hai
Muskurahat mein masoomiyat ghayab hai
Hamein bhi ab pasand nahin tum
Kisi aur ko hamaari talaash hai..

#FaridoonShahryar

Saturday, February 9, 2019

Kashmir ke Naam

Kashmir ke naam
By Faridoon Shahryar

Khamosh aankhon ne
Kuch to kaha hoga
Barf mein sahmi si
Udaas umeeden
Sisak rahi hain
Ghutan ki ab 
Aadat pad chuki hai shaayad
Ghusse ko dafn Kiya
Kaamyabi na mili
Haseen manzar ko
Haivaniyat mein 
Lipta paati hain
Bebas mayoos aankhen
Phool khoobsurat hain
Phir bhi chubhte hain
Nashtar hon jaise
Zeher mein bujhe hue
Nadi jaane kab 
Maili ho gayi
Zaahir hai
Koi poochne waala bhi na raha
Aankhon ki roshni 
Kam ho chali hai
Andhera ab 
Saaf nazar aata hai

#FaridoonShahryar

Saturday, February 2, 2019

Saaf suthri subah

Saaf suthri subah
Paakeezgi mein naha kar
Umeed ki khidki 
Khole baithi hai
Beeti raat ki ranjish
Khaak ho chuki 
Paighaam ek naya bhejo
In havaon ke zariye
Ab na rukoonga main
Safar mein hoon
Zara muskurane do

#FaridoonShahryar

#Ranchi