Faridoon Shahryar's Blog


Friday, March 29, 2019

Ek Dhun Si Hai

Ek dhun si hai
Kamiyan talaash karne ki
Apne wajood par ungliyan uthaane ki dhun

Ratjagon ki bimari
Lailaaj hai ye fitoor
Jalan ki dhun
Kamyabi ka hai kasoor

Safar ki dhun
Zinda rahne ki dhun
Zameer se dosti bani rahe
Apne aap se aankh milaane ki dhun..

#FaridoonShahryar

Saturday, March 23, 2019

Umeed Dafn Hui

Parindon ki khamoshi mein
Sisakti hava behti hai
Phoolon mein rang hain
Khusbhu nahin
Nadi mein paani hai
Maujen nahin. 

Umeed dafn hui
Haar manzoor hui
Haan, buzdili aur zillat
Manzoor hui...

Saturday, March 9, 2019

Jeet ka nasha

Khushi ki raat
Jashn ke nashe mein
Jhoom rahi hai
Kamyabi ka maatha
Choom rahi hai
Sab khush hain
Ab sirf phool mehkenge
Ujalon ka basera hoga
Pedon par sone ki pattiyan khilengi
Raat ka khatma ho chuka hai
Jeet ka Nasha hai
Kuch bhi ho sakta hai

Umeed Ka Darwaza

Aandhi hai junoon ki
Havayen zehreeli hain
Insaan insaan na raha
Haivaan ki aankhon mein
Ajeeb sa soonapan hai
Sadak par khauf ki baraat saji hai
Andheron ki fasal kaatne mein magan log
Ujaala, sahma sa, kahin kone mein
Chhupa baitha hai
Umeed ka darvaaa band kar do.