Faridoon Shahryar's Blog


Friday, December 29, 2023

Sharminda Sabr

Sabr sharminda hua bhi hai gar to koi baat nahin 
Safar-i-zindagi mein manzilon se dil lagaya nahin karte 

#FaridoonShahryar

Gaya waqt

Naraaz gar ho bhi jao to ye haq hai tumhara 
Main gaya waqt hoon, laut ke na aaoonga dobara

#FaridoonShahryar

Saturday, December 23, 2023

Ishq ka aaghaaz

Ishq ka aaghaaz bhi nahin hua, aur ranjishen fiza mein hain
Mohabbat ka usool hai, rishton ko tola nahin karte 

#FaridoonShahryar

Zameer ki dahleez

Zameer ki dahleez par ek arsa khade rahe hum
Darvaza jo bund kiya hai ab, bohot pehle kiya hota 

#FaridoonShahryar

Wednesday, December 13, 2023

Tanhai aur sabr

Sabr kuch yun kiya hai maine 
Tanhai bhi ab dost si lagti hai

#FaridoonShahryar

Sunday, December 3, 2023

Intiha

Abhi to shuruaat hai mere junoon ki 
Intiha kya hoti hai ye socha nahin kabhi 

#FaridoonShahryar

Zahniyat ka falsafa

Tumhaare azm se maroob ho bhi sakta hoon, daulat se nahin 
Zahniyat ka falsafa tumhaari samajh se shayad baahar hai

#FaridoonShahryar

Zid ya Ana

Zid kaho ya ana, ye marzi hai tumhari 
Junoon ko mere, inaam milte hi rahte hain 

#FaridoonShahryar