Faridoon Shahryar's Blog


Friday, December 29, 2023

Sharminda Sabr

Sabr sharminda hua bhi hai gar to koi baat nahin 
Safar-i-zindagi mein manzilon se dil lagaya nahin karte 

#FaridoonShahryar

Gaya waqt

Naraaz gar ho bhi jao to ye haq hai tumhara 
Main gaya waqt hoon, laut ke na aaoonga dobara

#FaridoonShahryar

Saturday, December 23, 2023

Ishq ka aaghaaz

Ishq ka aaghaaz bhi nahin hua, aur ranjishen fiza mein hain
Mohabbat ka usool hai, rishton ko tola nahin karte 

#FaridoonShahryar

Zameer ki dahleez

Zameer ki dahleez par ek arsa khade rahe hum
Darvaza jo bund kiya hai ab, bohot pehle kiya hota 

#FaridoonShahryar

Wednesday, December 13, 2023

Tanhai aur sabr

Sabr kuch yun kiya hai maine 
Tanhai bhi ab dost si lagti hai

#FaridoonShahryar

Sunday, December 3, 2023

Intiha

Abhi to shuruaat hai mere junoon ki 
Intiha kya hoti hai ye socha nahin kabhi 

#FaridoonShahryar

Zahniyat ka falsafa

Tumhaare azm se maroob ho bhi sakta hoon, daulat se nahin 
Zahniyat ka falsafa tumhaari samajh se shayad baahar hai

#FaridoonShahryar

Zid ya Ana

Zid kaho ya ana, ye marzi hai tumhari 
Junoon ko mere, inaam milte hi rahte hain 

#FaridoonShahryar

Tuesday, November 21, 2023

Manzil

Sadak sunsaan sahi, phir bhi apni si lagti kyun hai 
Manzil se kah do ab, vo anjaan si lagti kyun hai 

#FaridoonShahryar

Wednesday, November 8, 2023

Zameer

Kamyaab hoon, haan apni duniya khoob sajayi hai maine 
Vo alag baat hai, zameer se rishta purana raha hai mera

#FaridoonShahryar

Haseen ittefaaq

Ek haseen ittefaaq hai ya phir husn ki inteha 
Ankhen nazron se milin bhi nahin aur Ishq ho gaya


Monday, October 23, 2023

Qadr

Qadr karte to ahsaas-e-kami se pooch bhi sakte thhe
Vo jo qareeb tha dil ke kabhi, sirf ek yaad bana kaise 

#FaridoonShahryar

Maut ka gaanv

Khwaabon ne dum tod diya, neend ab qabr mein hai 
Zindagi ki haisiyat hi kya hai maut ke is gaanv mein 

#FaridoonShahryar

Beghar

Patte juda shaakh se kuch yun huye 
Jaise koi apne ghar se beghar hua ho 

#FaridoonShahryar

Thursday, October 5, 2023

Meri tanhai

Meri tanhai ne mujhe aaj phir se gale lagaya hai 
Kya bataoon tumhe, waqt ne kya sitam dhaaya hai

#FaridoonShahryar

Tuesday, September 26, 2023

Mera zarf

Mere zarf ko meri kamzori na samajh 
Gaye waqt ko main palat kar dekha nahin karta 

#FaridoonShahryar

Faisla

Maine faisla kar liya hai shayad
ab sach kya hai ye kis ko pata hai

#FaridoonShahryar

Meri kahani

Jo tum na kar paaye, vo main karoonga 
Meri hi kahaani hai, main hi kahoonga 

#FaridoonShahryar

Sailaab bun jao

Aansuon se keh do, tum sailaab hi kyun na bun jao
Main vo samandar hoon, jahan toofan nahin aaya karte 

#FaridoonShahryar

Main safar mein hoon

Main safar mein hoon, kahin door chala jaoonga
Yaad rakhna meri baat, main yaad bohot aoonga 

#FaridoonShahryar

Sunday, September 24, 2023

Aashiyana luta ke

Tinkon mein sarsarahat si kya hui, khauff ka aalam sa hai

Hum Aashiyana luta ke bhi, muskuraate nahin thakte

#FaridoonShahryar

Monday, July 31, 2023

Havaon se keh do

Abhi to bus patton ki sarsarahat so suni hai
Havaon se keh do, zara dil thaam kar baithen 

Bharosa

Bharosa sa hone laga hai ab tum par
Dhoke shayad kum khaaye hain maine

#FaridoonShahryar

Saturday, June 24, 2023

Jurrat

Jurrat ko fitrat mein yun shaamil sa kar liya hai
Havaon ne rukh badalna seekh liya ho jaise 

#FaridoonShahryar

Sunday, June 11, 2023

Teri kami

Tu nahin, na sahi
Bus teri kami si hai

Wednesday, June 7, 2023

Yunhi sa koi rishta

Maine mooh mod liya, us ne bhi to kuch kaha nahin 
Yunhi sa koi rishta tha, kahne ko kuch bhi raha nahin 

#FaridoonShahryar

Patton ki tarah

Maine to apni hadon se samjhauta sa kar liya tha
Ye kahan se hava chali aur main patton ki tarah ud chala

#FaridoonShahryar

Parchhai

Apni parchhai se dosti kar Li hai 
Aisa lagta hai, ye zindagi bhali si hai

#FaridoonShahryar

Sunday, May 28, 2023

Sach

Maine apne aap se sach bolne ki himaqat ki hai 
Ab koi mujhe bacha ke dikhaye to phir main janoon

#FaridoonShahryar

Hadd

Mere iradon mein aasman, samandar, pahaad shaamil hain 
Tumhe pata bhi nahin hai doston meri haden kahan tak hain

#FaridoonShahryar

Hava

Maine to apni hadon se samjhauta sa kar liya tha
Ye kahan se hava chali aur main patton ki tarah ud chala

#FaridoonShahryar

Tuesday, May 2, 2023

Apne aap ko meri nazar se dekho
Phool sharma jayen, husn to dekho

#FaridoonShahryar

Bechain sa sukoon

Aaj ki raat bhi bechain sa sukoon hai
Aaj phir se maine samjhauta sa kiya hai

#FaridoonShahryar

Vo Manzil nahin ...

Safar mein sabr kho nahin sakta 
Main vo manzil hoon jiska pata nahin koi
#FaridoonShahryar

Koi bhi baat nahin

Koi bhi baat nahin hai aaj ki is raat mein 
Koi kahin to hoga jisse aaj bhi main yaad hoon

#FaridoonShahryar

Wednesday, April 12, 2023

Pyaas ka rishta

Pyaas ka rishta 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Main apne aap se muqatib 
Hua hoon kuch is tarah 
Ek nayi duniya ijaad 
Hui hai kuch is tarah 
Bohot aage nikal aaye hain
Safar-i-numayndgi par
Tohmat-o-hikmaton ka daur
Kuch yun chala
Chhod aaye sab yaar hum 
Bus kuch is tarah 
Jaise pyaas ka rishta 
Paani se tha hi nahin kabhi

Iraada

Mere iradon ne naya mod sa kya liya, 
Manzilen khud chal kar saamne khadi hain

#FaridoonShahryar

Ailaan

Jo karta raha hoon vo kyun karoon hamesha main 
Maine jashn-e-zindagi ka bus abhi ailaan sa kiya hai

#FaridoonShahryar

Tuesday, March 7, 2023

Ghalatfahmi

Jinhe naaz hai ki meri majbooriyan unki giraft mein hain 
Ghalatfahmiyon par tumhaari waqt bhi muskurata hoga

#FaridoonShahryar

Ishq e Zindagi

Mausam badalte hain, magar main nahin 
Ishq-e-zindagi ek aadat si hai shayad

#FaridoonShahryar

Sunday, February 26, 2023

Shoeb ke naam

Shoeb ke naam
By Faridoon Shahryar

Kuch kaha bhi nahin yaar
Bus suna kiye tum 
Aur soona kar chale 
Adhoora sa vo rishta
Poora kar chale 
Dil ke aziz kone ko
Apna kar chal diye
Mashwara hai mera
Muskurate rahna
Vo aankhen abhi zinda hain
Labon par kuch hararat si hai

Aitmaad

Mohabbat ki pehel hai, imaan ka imkaan rakhna 
Ranjishon ki basti mein aitmaad kahin kho sa gaya hai

#FaridoonShahryar

Thursday, February 9, 2023

Mojza

Paseena barf par bahaya hai yun maine 
Jaise koi mojza apne hone se waaqif tha

#FaridoonShahryar

Maazi se qata talluq

Maazi se qata talluq kar liya hai maine 
Mujhe mustaqbil par kaafi bharosa hai

#FaridoonShahryar

Thursday, February 2, 2023

Khimaash ke saaye

Libaas badalna ki mashghooliyat mein kuch is tarah masroof rahe tum
Khimaash ke saaye ki taveel vussaton ko kabhi dafn na kar sake tum

#FaridoonShahryar

Mohabbat

Maine kaha tha, mujhe bhula na paoge 
Mohabbat ki mehek ko mita na paoge 

#FaridoonShahryar

Monday, January 9, 2023

Khaas chehra

Manzar-e-aam par koi hai jo bata raha hai hamein isharon mein
Kuch to khaas hai, sab ki nigaah mein, chehra bus tumhara hai

#FaridoonShahryar

Barf ki raat

Barf ki Raat
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Barf ki is raat ne
Shaayad ye thhaana hai
Is lamhe ko so kar 
Gavana fizool hai
Khwabon ka usool hai
Bikharna kis pahar hai
Bata kar nahin aate 
Jaagte raho 
Ye haseen andhera
Manzil na sahi 
Bahana to hai.

Tahayya e Toofan

Beimaan mausam ne tahayya-e-toofan kya kiya
Doston ko daraane ka bahana sa mil gaya ho jaise

#FaridoonShahryar