Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, August 30, 2020

Napasand

Nazarandaaz na karo, 
Napasand hai mujhe
#FaridoonShahryar

Marne ke baad hi sahi

Marne ke baad hi sahi
A Nazm by Faridoon Shahryar

Chalo haar maan lete hain
 khwabon se peecha chhuda kar,
mayoosi ko gale laga lete hain
kise ilzaam den, 
kyun maatam manayen
marne ke baad hi sahi
insaan ko insaan maan lete hain
#FaridoonShahryar

Maan lo, nahin to...

Maan lo, nahin to...
A Nazm by Faridoon Shahryar

Ye manzar pehli bhi 
Kisi ne dekha hai, 
Koi nai baat nahin
Falsafa naya talash kar, 
Bachte bachaate nikal, 
Dhokha do apne aap ko, 
 Zameer se bewafai laazmi hai
Marzi uski jo tareeq likhega
Zinda rahne ki
Ye nai shartein hain

Maan lo, nahin to...

#FaridoonShahryar

Thursday, August 27, 2020

Ahmaqon se vaasta

Kya khoob nizaam hai, 
Haar bhi inaam hai
Ahmaqon se vaasta
Bus kaam tamaam hai
#FaridoonShahryar

Hausla

Manzil haasil ho ya na ho
Hausle ko behlaate rahiye
#FaridoonShahryar

Sunday, August 23, 2020

Rihayee ka intizaar

Rihayee ka intizaar
A Nazm by Faridoon Shahryar

Dilon mein daraar nahin, 
Khaai hai, 
Ajab qismat paai hai,
Apnon se rusvai bhi 
Tabhi mili jab
Izzat ki roshni ne 
Noor bikhera
Baatein karta hoon  
Khuda se
Duayen mangta hoon

Rihaayee ka intizaar
Kya sirf mujhe hi hai?

#FaridoonShahryar

Thursday, August 20, 2020

Ghuroor

Izzat kisi ki bhi na uchalo yun
Ghuroor itna bhi achcha nahin

#FaridoonShahryar

Khatm rishta..

Zard patton ne 
Hava ke jhonke 
Se kaha
Uda le jao 
Jahan chahe tum
Khatm rishta 
Ik shaakh se hua


#FaridoonShahryar

Neend se nisbat

Neend se nisbat na rahi 
Subah ka intizaar hi sahi

#FaridoonShahryar

Tuesday, August 11, 2020

Aag ka aaghaz

Aankh mein khoon, 
Ragon mein chingariyan, 
Aag ka aaghaaz
Anjaam ki tayyariyan
#FaridoonShahryar

Alvida #RahatIndori sahab

Monday, August 10, 2020

Zahiniyat raas na aai

Zahan aabaad tha roshni se
Zahniyat zamaane ki, raas na aai
#FaridoonShahryar

Farzi duniya ke baashinde

Farzi duniya ke baashinde
A Nazm by Faridoon Shahryar

Tum bashinde ho 
Ek farzi duniya ke 
Zom hai tumhe apne 
jahanpanah hone ka
Khauff se goonjta hai
Thartharata hai har zarra
Aisa tumhe lagta hai
Pardadaari bhi hai
Koi raaz hai kya.

Riyaya se kyun 
mooh mod sa liya hai
Darte ho kya?
Karobar hai kya?
Kaun ho tum? 

Is Farzi duniya mein 
Tum jaise saare baashinde 
Beemar hain
Lailaaj ho tum
Aur bechaare bhi.