Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, September 15, 2019

Ye jaan to aani jaani hai

Ye Jaan to aani jaani hai
Kahin ret, to kahin paani hai
Ghutno ke bal chalne par jo amaada hain
samajh lo khatm unki kahaani hai
#FaridoonShahryar


Thursday, September 12, 2019

Dozakh ki haqeeqat

Dozakh ki haqeeqat
A Nazm by Faridoon Shahryar

Baadal kashti 
Aasman safar
Khwabeeda aankhen
Dil-e-masoomiyat
Dozakh ki haqeeqat
Jannat ka fusoon
Zahar ka pyaala
Ek aakhri nivaala
Jee liya har pal
Dum nikalne ki ghadi
Taskeen khamoshi
Bechain intizaar .

Meri maut ka intizaam

Meri maut ka intizaam
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jo meri maut ka intizaam karne mein mashghool hain unhe paighaam de do
Kirayedaar hoon, mahmaan hoon
Chala jaoonga ek roz
Ghaav taaza rakho
Roz nai chot do
Khoon rista rahe
Dhyaan rakhna
Saanse bhi thum jayengi
Bharosa rakho
Apne aap par
Apni nafrat par

Ab to ye aalam hai
Do gaz zameen bhi 
Humein mayassar nahin