Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, June 29, 2022

Seher ab door nahin

Seher ab door nahin 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Maine raat ke kaanon mein
Kuch kahne ki koshish
Inhimaak se ki hai shayad
Aankhon ke samandar se
Seepiyan batoro,
Ret ke jazeere ko
Salaam karo,
Khwabon se kaho
Seher ab door nahin

Tuesday, June 14, 2022

Sab theek hai

Sab theek hai
A Nazm by Faridoon Shahryar

Afsos ka jaama pahne, 
Subah ne phir dastak di hai
Raat toofan sa barpa tha
Baarish cheekh rahi thi
Phir maut ka sannata
Ab sab dhul chuka hai
Sab theek hai
Utho kaam par lag jao
Bus yaad rahe
Sab theek hai...

Sunday, June 12, 2022

Awara Dhamkiyan

Awara dhamkiyan 
Nazm by Faridoon Shahryar

Mujhe tumhari khamoshi 
Khalti nahin hai
Ye tumhara dastaqat hai
Zulm ki hadon ka dayra
Vasih hota jaata hai
Khoon ki siskiyan
Awara dhamkiyan
Doston ki aankhon mein
Beparwah masarratein
Bemurawwat ho tum 
Beniyaaz bhi
Mujhe tumhari khamoshi...

Saturday, June 11, 2022

Takabbur

Ye raat nigehbaan nahin, is ka ilm sab ko hai
Koi hamaare saath nahin, is ka ilm sab ko hai
Zulm siyah hai, khanjar ki nok lahu maangti hai
Takabbur haivaan ka sheva hai, is ka ilm sab ko hai

#FaridoonShahryar