Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, December 14, 2022

Junoon ki miqdaar

Mere khwabon ka sasta sauda, mehenga pada azeezon ko 
Tarbiyat mein meri, junoon ki miqdaar kuch zyada nikli

#FaridoonShahryar

Thursday, December 8, 2022

Bheed

Bheed se keh do, tumhe saath jhund ka mubarak 
Maine tanhai ko hamesha apna rahbar samjha 

#FaridoonShahryar

Tasveer

Maine aaine mein hamesha khud hi ko dekha hai
Vo jo tasveer tum ne bana rakhi hai, vo main hoon nahin

#FaridoonShahryar

Wednesday, November 23, 2022

Junoon

Junoon se maine aaj phir se kaha 
Chalo, hadd se guzar jaate hain

#FaridoonShahryar

Tuesday, November 22, 2022

Khwaab

Aaj ki raat sone se gurez hoon main 
Aaj ki raat maine phir se khwaab dekha hai

#FaridoonShahryar

Wednesday, November 16, 2022

Miyaad e Mohabbat

Maine tumhe apna maana hi nahin, runj nahin, gila bhi nahin 
Tumhari miyaad-e-mohabbat par shak mujhe hamesha se tha

#FaridoonShahryar

Thursday, November 3, 2022

Saaya

Raat ka saaya, saaya na raha 
Koi bhi ab to hamara na raha 

#FaridoonShahryar

Monday, October 31, 2022

Toofan ka azm

Toofan apne azm par thha 
Aur hum ne kaha, sannata hai

#FaridoonShahryar

Wednesday, October 19, 2022

Khwabon ko behla bhi lo ab to

Khwabon ko behla bhi lo ab to
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jaisa socha tha
Sab kuch bahut hadd tak
Vaisa hi hua 
Patte juda shaaq se
Pahle bhi zaroor 
Hue honge 
Ye manzar
Itna haseen hoga 
Kabhi socha na tha 
Ankhon mein 
Neend ke moti 
Saja bhi lo ab to 
Khwabon ko thoda
Bahla bhi lo ab to
Thoda muskurao 
Aur phir...



Saturday, October 1, 2022

Aasmaanon par samandar

Aasmaanon par samandar mein toofan sa aaya hai
Mere khwabon ne mujhe jagana behtar samjha hai shayad

#FaridoonShahryar

Bhula diya

Soch samajh kar, jaan boojh kar, bhula diyaa
Har voh qissa jo hamein yaad aane vaala tha

#FaridoonShahryar

Ek adhoori shaam

Ek adhoori shaam
A Nazm by Faridoon Shahryar

Ek adhoori shaam
Mujh se muqatib hai
Aasman par
Kuch likha hai shayad
Koi taara dikha hai shayad
Plane ki khidki se
Manzar kuch alag sa hai
Khwaab dhule dhule se hain
Aks dhundla dhundla sa hai

Sunday, September 18, 2022

Yaad Rakhna

Yaad Rakhna 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Ek chaand se dosti kar li
Kuch phoolon ke ho liye
Raaston ko geet samjha 
Aansuon se kinara kar liye 
Hamein yaad nahin ab kuch bhi
Hamein tum zaroor yaad rakhna

Tuesday, August 30, 2022

Barbaad Gulistan

Barbaad gulistan kar ke bhi ghairat ke hain aasaar nahin 
Jashn hai zor aazmaish ka, andhere ko tum salaam karo

#FaridoonShahryar

Tashaddud se mohabbat

Khwaab se vaabasta koi to rahguzar hogi shayad
Sukoon se kah do, mujhe tashaddud se mohabbat hai 

#FaridoonShahryar

Daulat-i-izzat a Nazm by Faridoon Shahryar

Daulat-i-izzat
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jo hua so hua
Ab jo hoga 
Vo kya hoga 
Kyun hoga 
Kaise hoga 
Khabar nahin 
Asar nahin 
Parvah nahin 
Darr nahin 
Fikar hai 
Daulat-e-izzat
Mein izafa kaise ho

Main jaaga hoon 
Aur aap?

Saturday, August 20, 2022

Tashaddud se mohabbat

Khwaab se vaabasta koi to rahguzar hogi shayad
Sukoon se kah do, mujhe tashaddud se mohabbat hai 

#FaridoonShahryar

Sunday, August 14, 2022

Zor aazmaish ka jashn

Barbaad gulistan kar ke bhi ghairat ke hain aasaar nahin 
Jashn hai zor aazmaish ka, andhere ko tum salaam karo

#FaridoonShahryar

Iraadon ki shiddat

Toofan se keh do, drama bahut hua, ab thum jao 
Mere iradon ki shiddat mein kai samandar shaamil hain

#FaridoonShahryar

Saturday, August 6, 2022

Azm

Azm 
Nazm by Faridoon Shahryar

Parcham ki azmat 
Ismat ka junoon 
Ankhon se lahoo
Tapka tha kabhi 
Sabr imtihan 
Samandar tha kabhi
Ab ye kaisa valvala hai
Dhakosle ka jalva hai
Baat karte hain jo azm ki
Vo kya jaane azm kya hai.

Peshengoi

Peshengoi
A Nazm by Faridoon Shahryar

Sharminda aankhon ko 
Chalo bahlaya jaaye 
Koi naya manzar 
Baqoobi se
Aam kiya jaaye 
Jo hua bhi nahin 
Uski peshengoi ho,
Vahi jo hota aaya hai
Vahi phir se kyun na ho

Monday, July 25, 2022

Barf samandar

Bheed mein kho jaane ko dil chahta hai
Ab to har lamha marr jaane ko dil chahta hai
Koi nahin jo hamein apna le apna samajh kar
Barf samandar mein doob jaane ko dil chahta hai

#FaridoonShahryar

Thursday, July 21, 2022

Roshni se kah do..

Roshni se kah do...
A Nazm by Faridoon Shahryar

Murawwaton ki majlis mein 
Khamoshi ko tasleem kiye 
Ek kone mein baitha hoon main
Qaid hoon 
Apne faisle ki hikmat mein
Azaad hoon 
Ye fitrat hai meri 
Roshni se kah do 
Andhere manzoor hain mujhe

Sunday, July 17, 2022

Toofan se kaho....

Toofan se kaho...
A Nazm by Faridoon Shahryar

Mushkilon ki baarish
Thame na kabhi
Ruke na kahin 
Garajti larazti bochaar
Main khada hoon jahan
Vahan barasti rahe 
Ghamon ki phuaar 
Aazmaish meri manzil 
Justuju jumbish 
Maqsad mera
Toofan se kaho
Mehnat karo
Junoon hi hai sheva mera

Lazzat e Aarzu

Lazzat e aarzu ko kiya hai Khuda Hafiz 
Ab koi kahe to phir kaho hum kahen kya

Monday, July 11, 2022

Khwabon se kaho...

Ye raat khamosh sahi, udaas to nahin 
Khwabon se kaho, muskura bhi do ab

#FaridoonShahryar

Thursday, July 7, 2022

Dhund duniya se ruu shanaas

Dhund duniya se ruu shanaas
Nazm by Faridoon Shahryar

Sirhaane kuch khwabon ne 
Besakhta apne hone ka 
Ahsaas mujhe dilaya hai 

Haqeeqat ne dheeme se 
Apne qadmon ki aahat se
Mujh ko jagaya hai 

Khuli aankhon ne
Dhund Duniya se 
Ruu-shanaas 
Kaise hote hain 
Muqaddar apna banaya hai

Main aur meri manzil 
Aur ye ghana kohra.

Sailaab

Main is raat dariya ke paar utar bhi jaoon to kya hoga 
Ye sailaab mere aasuon ka hai jo abhi tak bahe bhi nahin

#FaridoonShahryar

Wednesday, June 29, 2022

Seher ab door nahin

Seher ab door nahin 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Maine raat ke kaanon mein
Kuch kahne ki koshish
Inhimaak se ki hai shayad
Aankhon ke samandar se
Seepiyan batoro,
Ret ke jazeere ko
Salaam karo,
Khwabon se kaho
Seher ab door nahin

Tuesday, June 14, 2022

Sab theek hai

Sab theek hai
A Nazm by Faridoon Shahryar

Afsos ka jaama pahne, 
Subah ne phir dastak di hai
Raat toofan sa barpa tha
Baarish cheekh rahi thi
Phir maut ka sannata
Ab sab dhul chuka hai
Sab theek hai
Utho kaam par lag jao
Bus yaad rahe
Sab theek hai...

Sunday, June 12, 2022

Awara Dhamkiyan

Awara dhamkiyan 
Nazm by Faridoon Shahryar

Mujhe tumhari khamoshi 
Khalti nahin hai
Ye tumhara dastaqat hai
Zulm ki hadon ka dayra
Vasih hota jaata hai
Khoon ki siskiyan
Awara dhamkiyan
Doston ki aankhon mein
Beparwah masarratein
Bemurawwat ho tum 
Beniyaaz bhi
Mujhe tumhari khamoshi...

Saturday, June 11, 2022

Takabbur

Ye raat nigehbaan nahin, is ka ilm sab ko hai
Koi hamaare saath nahin, is ka ilm sab ko hai
Zulm siyah hai, khanjar ki nok lahu maangti hai
Takabbur haivaan ka sheva hai, is ka ilm sab ko hai

#FaridoonShahryar

Wednesday, May 25, 2022

Zameer bhi bach na payega

Tumhara ahmaqana zaviya, zavaal tak le jaayega 
Aansoo sookh na payenge, lahoo behta jayega 
Khod daalo vo imarat jo tumhare ahsaas se kamtar ho
Insaan tum rahe nahin zameer bhi bach na payega 

#FaridoonShahryar

Monday, May 23, 2022

Why lust for success and obsession with fame impacts mental health adversely

I somehow find this obsession with success and fame a concerted attack on mental health. I have seen a lot of people losing themselves in their lust for acceptance and adulation. From my personal experience I can say that the journey is way more exciting and rewarding than the so called destination. In fact the destination may be just a point that you shall touch and get back to something else. 

I find so many youngsters eager to climb the stairs of stardom at a hurricane speed. If you tell them that they need to educate themselves about the craft, then they find it to be a needless criticism. In my opinion self education is the most rewarding aspect of one's life. And it has to be a selfless exercise. The mere fact that you get mentally stimulated by learning something new makes you feel good from within. As Socrates has rightly said, "Know thyself". When you endeavour to know yourself then the futility of this life becomes easy to understand and bear. 

During lockdown, my obsession with Urdu poetry reached its peak. I started listening to poets, academic sessions on various poets, their life stories, mushairas etc. In fact I listened to some of the sessions multiple times. Kuch to itne sune ki hifz ho gaye. Zindagi ke adaab, lafzon ka wazan, unka ahsas, connotative meaning.... Uff! What a delightful experience it continues to be. For example, currently I am listening to anything and everything on Dr Arfa Syeda that's available on YouTube. Such a classy, objective, well read, rational and bold lady who continues to emit hope even though she understands the relevance of hopelessness. I also read scholarly books on Urdu literature daily. I misplaced a book on Ghalib by Gopi Chand Narang in Dubai. I had half read it. When I came back to Mumbai, I ordered it again on Amazon and not only finished it, I ended up re reading it. The more you read about Ghalib, the more you want to know. Currently I am reading another book on Ghalib by Dr Meher Farouqi. And what a treat it is. 

I have been writing poetry in Urdu for some time now and I am very serious about it. It's a delightful experience. There are days when I am unable to sleep at night and when I write a couplet or a nazm, it satiates me and I go to sleep peacefully. Now I am not looking for validation from anyone. I know I am compared with my illustrious father and it's inevitable. The reason why I delayed writing in Urdu is because of this fear and if I am writing in Urdu consistently now then I know what I am doing, work very hard and am confident that there's something new that I am adding to the rich heritage of Urdu poetry. There's no manzil that I am aiming for. I am just enjoying the journey of my pursuit for educating myself on Urdu poetry and literature. The act of assimilating the thought process of genius minds is richly rewarding. 

I recently told someone that there can be interviewers who can do better interviews than me, but one thing I know it for sure, "mere jaisa interview koi nahin kar sakta". I simply enjoy the process of conversing with people, I do my research and I make sure that there is something unexpected in my interviews that is cherished by people. There is no lust for fame or acceptance. I am just doing what I love.

During my recent trip to Kashmir, from the air hostess in Mumbai srinagar flight, to guests at the houseboat where we stayed, or the hotel manager in pahalgam or fans in betaab valley or aaru valley, or the guy who checked us in at srinagar airport, I was recognised and appreciated for my work. I received a DM on instagram from a boy who saw me at breakfast in The Chinar, Pahalgam. He didn't come and say hello as he felt shy. I'd say to anyone who is reading this, that if you see me anywhere and want to say hello, please don't hesitate. I love meeting people who appreciate my work. But I'd like to reiterate that I aim to excel because I love enjoying the journey. I give it my all without overdoing. I don't aim for overt controversial content or misleading headlines for views. Second aana manzoor hai, kisi ko dhokha nahin dena chahta to come first. 

To cut the long story short, aim to enjoy the journey, work very hard, educate yourself selflessly and without saying ki "is se mujhe kya faayda hoga". Knowledge se faayda hi hoga. Kab, Kahan kaise... You'd experience it yourself. 

Enjoy your life, spread happiness and it'd be great if you could end up being inspirational.

Wednesday, May 18, 2022

Kohraam ka sukoon

Kal raat, ek kohraam barpa tha sannate ka
Sukoon ne mujhe par sone na diya 

#FaridoonShahryar

Wednesday, May 4, 2022

Khamosh Darwaza

Khamosh darwaza 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jis khamosh darwaze ke 
Khulne ki aas lagaye baithe ho
Vo shayad kabhi na khule,
Bhoole se ja rahe ho tum 
Apne saamne ki duniya ko
Jo khaufnak sahi 
Haqeeqat to hai,
Khwabon ko sirhaane 
Tah karke rakh do 
Aur so jao

Saturday, April 30, 2022

Main naraaz hoon tumse

Main naraaz hoon tumse
A Nazm by Faridoon Shahryar

Main naraaz hoon tumse 
Aur rahoonga 
Koi safai nahin chahiye
Rusvai ko yaad rakhoonga
Aur tumhe bhool jaoonga
Ahmaq bhi ho tum 
Aur jaanvar bhi
Bheed ke peeche chhupe baithe
Buzdil ho tum 
Main naraaz hoon tumse
Aur rahoonga

Sunday, April 24, 2022

Sukoot ka aabshaar

Ye naye nizam ki adavatein 
Kuch jhurriyan, kai silvatein 

Main sukoot ka aabshaar hoon 
Main thoda sa hoshiyaar hoon 

#FaridoonShahryar

Friday, April 22, 2022

Kho sa gaya hoon

Kho sa gaya hoon
A Nazm by Faridoon Shahryar

Sab kuch daav par laga kar 
Thoda ro kar, zyada muskura kar
Main apne aap ko, 
Haara sa lagta hoon
Zamaane ne mujhe 
Izzat bhi di, shohrat bhi, 
Magar phir bhi 
Qadr apni main kar na saka
Sab kuch daav par laga kar
Main zindagi ke maslon mein
Kuch kho sa gaya hoon

Zinda sa hoon

Zinda sa hoon
Nazm by Faridoon Shahryar

Marna multavi kiya hai,
Mohlat maangi
Apne zameer se,
Vaada kiya
Hashr ke manzar 
Se parda karoonga 
Aur dua se labrez 
Labon ko see loonga,
Zahanat se vaabistgi 
Ek saraab sa hai
Main shayad hosh mein nahin
Bus zinda sa hoon

Wednesday, April 13, 2022

Ajeeb ho tum

Tum bhi ajeeb ho ae dost, hairaan hoon main 
Aashiyan apna ujaad kar, jashn mein giraftar ho tum

#FaridoonShahryar

Ranj ye hai ki...

Afsos hai ki dard hai, aur beshumar hai
Ranj ye hai ki tumhe kyun nahin hota

#FaridoonShahryar

Thursday, April 7, 2022

Apnapan na raha

Fiza mein ghair chidiyon ne aashiyan bana rakha hai 
Koi apna na raha, apnapan ka namonishan na raha

#FaridoonShahryar

Budduaon ki sada

Budduaon ki sadayen purzor goonj rahi hain 
Zakhmi dilon ki guhaar zaaye na jaaye ae Khuda

#FaridooonShahryar

Friday, April 1, 2022

Barbaad gulistan

Jinhe tumne hamara rehnuma banaya tha, vo rahzan nikle 
Barbaad gulistan karke bhi, sharm lekin tumhe nahin aati

#FaridoonShahryar

Wednesday, March 30, 2022

Mohabbat karne ki qasam

Dararon mein dilon ko chunva diya tumne 
Maine mohabbat karne ki qasam khaayi hai

#FaridoonShahryar

Toofan ki aamad

Toofan ki aamad
Nazm by Faridoon 

Aazmaish ne muskura kar kaha
Waqt ne karvat li bhi nahin 
Aur tum khauf ki sargoshiyon 
Mein ghir se gaye ho
Abhi to sailaab aayega
Toofan ki aamad se 
Rooh fana hogi
Chiraagh jalao
Aur intizaar karo 
Jaagte rahna
Siyahi tumhari dost hai

Sunday, March 27, 2022

Bechaini se roohposh

Bechaini se roohposh 
Nazm by Faridoon Shahryar

Ye kaisa junoon hai, 
Thakaan mein bhi sukoon hai
Thheher ja ab ae badhavaasi
Muskura apne mansoobon par
Daanv pe lagi hai
Har wo saans 
Jo bechaini se roohposh hai
Haqeeqat ka dar
Dhundla sa hai 
Havayen sard hain,
Khafa bhi

Wednesday, March 23, 2022

Andhera humsaya hai

Ghum ki raat ne mere kaanon mein kaha 
So jaao, ye andhera tumhara humsaya hai

#FaridoonShahryar

Vaba ka ailaan

Vaba ka ailaan 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Danishwaron ne tajveez kiye hain
Jung ke jayaz vajoohat
Vaba ne muskura kar dekha
Kuch na kah ke bhi 
Tanz nigahon se 
Insaan ki fitrat ka
Aitraaf karte hue 
Dozakh ka dar khola aur kaha:
"Ilzaam khud ko dena, mujhe nahin"

Sab kuch tabah

Aandhi ne soch samajh kar sab kuch tabah kiya
Ab hum tum door door hain, alag alag rahne ke liye

#FaridoonShahryar

Tuesday, March 22, 2022

Waqt ne kaha

Seher ka intezaar tumhe bhi hai, mujhe bhi 
Waqt ne muskura ke kaha, raat abhi baaqi hai

#FaridoonShahryar

Monday, March 21, 2022

Kisi ko kyun bataoon

Safar hoon main, manzil bhi shayad
Kisi ko kyun bataoon, kya hoon main

#FaridoonShahryar

Friday, March 18, 2022

Kamzori na samajh

Mubarakbaad ko meri kamzori na samajh ae dost 
Teri kamzarfi ne khamoshi par majboor kiya hai mujhe 

#FaridoonShahryar

Monday, March 7, 2022

Mohabbat zinda rahti hai

Daulat ka jinhe hai zom vo ye kya jaanen
Mohabbat zinda rahti hai yaaron ke fasaanon mein 

#FaridoonShahryar

Aitbaar sa na raha

Hava se kaho, bahut hua, ab thum bhi jaao
Fiza ko ab tum par kuch aitbaar sa na raha 

#FaridoonShahryar

Wednesday, February 9, 2022

Nafa

Ek jamaat aisi bhi banayi jaaye
Jahaan nafa sirf aur sirf mera ho

#FaridoonShahryar

Markaz

Koi markaz talaash karna maqsad nahin hai 
Junoon-e-safar mein bus hararat rahna chahiye 

#FaridoonShahryar

Matlab ki tijarat

Matlab ki tijarat
Nazm by Faridoon Shahryar

Nafrat ke kharidaron 
Se kuch kahna fizool hai,
Vo jo bebaak hain 
Vahi to aasayishon ke
Makhmal mein giraft hain
Waqt ki peshaani par 
Darj ho raha hai
Matlab ki tijarat
Ka har vo qissa 
Jo qahar ki aamad ka
Besaqta zimmedar hai.

Manzil e Meherbaan

Maine har koshish se raabta kiya hai 
Manzil-e-meherbaan ab mil bhi jao

#FaridoonShahryar

Funkaar

Funkaar 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Ye duniya agar mil bhi jaaye
To kya karenge aisi duniya ka
Jahan takhleeq hoti hain 
Roz aisi tasveeren 
Jahan zard rang 
Gaadha aur gaadha 
Hota jaata hai
Sharm aati hai 
Apni bechargi par 
Zulm ke aage ek baar phir
Maine maatha teka hai

Wednesday, January 26, 2022

Sab theek hai

Sab Theek Hai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Ghum ko aaghosh mein 
Liye phirte hain 
Girte hain 
Bikharte hain 
Milte roz hain
Khaufnaak mustaqbil se
Aur sunte hain 
Khoon mein lipti
Dhamkiyon ko
Jo hamein yaqeen dilati hain
Sab theek hai
Kaho, sab theek hai

Beniyaaz kashtiyaan

Saahil par baithi kuch beniyaaz kashtiyaan 
Lehron ko doobte hue itminaan se dekhti hain 

#FaridoonShahryar

Chalo Chalen

Chalo chalen 
Nazm by Faridoon Shahryar

Maine halke se kaha 
Hava ke kaanon mein 
Chalo beh chalte hain 
Wahan jahan koi 
Jaane ka tasavvur 
Bhi na karta ho,
Tashaddud gaon 
Ko Khuda Hafiz kaho
Rukh karo 
Kisi aise des ka
Mukhtalif ho 
Jahan mukhalfat
Ka andaaz-e-bayaan
Chalo chalen...

Aazmaish

Aazmaish 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Raat ko khamoshi ne 
Kuch yun apnaya hai 
Jaise nanhe khwaab
Chalna seekhne ki 
Aazmaish se do chaar 
Ho bhi rahe hain 
Aur nahin bhi

Mat sahal hamein jaano

Mat sahal hamein jaano
A Nazm by Faridoon Shahryar

Mat sahal hamein jaano 
Kuch kah bhi den
Aur samajh bhi tum jao
Ye bhi koi baat hui 
Jo humne kaha bhi nahin 
Vo sab ki zubaan par hai
Aur imkaan ye bhi hai
Hamein sunne ko 
Hujoom tayyar ho
Lekin tabiyat hamari
Abhi mael nahin hai
Mat sahal hamein jaano

Wednesday, January 12, 2022

Ghairat

Hairat hai ki aap mein ghairat nahin hai 
Shayad ragon mein khoon bahta nahin hai

#FaridoonShahryar

Khata

Khata ye kaisi hui hai havaon se 
Gulistan ki qismat mein sehra tha

#FaridoonShahryar

Havaaon se keh do

Jo hua so hua, koi baat nahin
Jee ko behla lo thodi der kahin
Hum to behis hain, jayenge wahin
Havaon se keh do, thum jaayen yuhin

#FaridoonShahryar

Saturday, January 1, 2022

Jungli

Jungli 
Nazm by Faridoon Shahryar 

Hava se kaha gaya hai,  chupchaap bahe 
Paani ki ravaani ko thaamne ki mansha hai 
Bus aag par koi zor nahin 
Har taraf lapten 
Sholey urooj par hain 
Sab khaak hone ki intizaar mein ek bheed saleeqay se baithi hai
Unhe yaqeen hai
Jungle bus unhi ka hai