Faridoon Shahryar's Blog


Saturday, October 16, 2021

Mausam ka mizaaj

Mausam ka mizaaj
A Nazm by Faridoon Shahryar

Mausam ke mizaaj 
Ko tasleem kar 
Aur ghul ja 
Aalam ki majboori mein
Doori na bana
Khwabon ki taabeer 
Mein hikmat talaash kar
Matlabi hone mein 
Hoshiyari nahin 
Halaat ki zaroorat hai
Zameer se kaho...
So jao!

Khuda Hafiz

Khuda Haafiz 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Pehle yaqeen karte thhe 
Yaaron par bharosa aam thha
Ab ye aalam hai,intizar karte hain
Kab kis dost ka nazariya 
What's app ki sachchai se
Maazi aur mustaqbil 
Par savalia nishaan khada karte 
Khamoshi iqtiyar kar
Bina kahe, kahega..
Khuda Haafiz!

Akela aasmaan

Karvaan tha josh mein, hosh mein na tha junoon 
Akela hai aaj aasmaan, ilzaam mein kisko doon

#FaridoonShahryar

Friday, October 8, 2021

Soti hui himmat

Soti hui himmat
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jab maine 
Tumhe apne 
Dard se waqfiyat
Karaane ka
Daawatnama diya,
Achcha hua ki 
Tumne darwaaza
Mere mooh par 
Band kar diya 

Dil hi to hai
Toota sa hi to hai
Behla lenge 
Mana lenge
Jaga lenge 
Soti hui himmat
Aur phir....

Mausam ka mizaaj

Mausam ka mizaaj
A Nazm by Faridoon Shahryar

Mausam ke mizaaj 
Ko tasleem kar 
Aur ghul ja 
Aalam ki majboori mein
Doori na bana
Khwabon ki taabeer 
Mein hikmat talaash kar
Matlabi hone mein 
Hoshiyari nahin 
Halaat ki zaroorat hai
Zameer se kaho...
So jao!

Wednesday, October 6, 2021

Jo bhi hua achcha hua

Jo bhi hua achcha hua
Nazm by Faridoon

Mujhe shayad tumhari zaroorat thi 
Tumhe shayad meri zaroorat ki qadar na thi
Jo bhi hua achcha hi hua shayad 
Dil ko bahla bhi liya 
Aur tasalli bhi hui 
Tanhai hai ki 
Andheri raat mein
Roshni ki maanind 
Chamakne se baaz kyun nahin aati

Haasil hai kya

Haasil hai kya
Nazm by Faridoon Shahryar

Afsos mana kar 
Aasoo baha kar 
Haasil hua hai kya
Khamosh hoon main
Beniyaz ho tum
Sunsaan hai mustaqbil
Sadak par qaatil 
Khuli hai chhoot 
Kuch bhi haasil nahin
Faisla shayad yahi hai Khuda ka

Saturday, October 2, 2021

Ek naya marhala

Seher hai hi nahin mere daaman mein 
Raat ne phir faraham kiya ek naya marhala

#FaridoonShahryar

Friday, October 1, 2021

Aakhri mod

Aakhri mod
Nazm by Faridoon Shahryar

Shajar ka saaya ghana tha lekin 
Zindagi ko aakhri mod lena hi tha 
Mere aansoo jazb kar na payega 
Andhere se kaho samandar lekar aaye