Faridoon Shahryar's Blog


Thursday, March 18, 2021

Sailaab ki peshengoi

Aansoo kamzor nahin hain
Ye sailaab ki peshengoi hain

#FaridonShahryar

Lamha e Aziz

Aaj ki raat neend se samjhauta mushkil hai 
Naghma-e-zindagi hai lamha-e-aziz

#FaridoonShahryar

Savalia nishaan

Savalia Nishaan
A Nazm by Faridoon Shahryar

Naam ke fitoor mein 
Bhediyon ka jashn ye
Azm ka gumaan hai 
Waqt ki kamaan mein 
Teer koi raha nahin 
Wajood jiska tha nahin
Wahi to bus azeem hai
Mustaqbil ka aaina bus
Ek savaliya nishaan hai

Sone na diya

Socha zaroor tha jaldi so jaoonga 
Khwabon ne mere mujhe sone na diya 

#FaridoonShahryar

Zeher

Koi to hai jo sochta hoga shaayad
Fiza mein itna zeher ghula kyun hai

#FaridoonShahryar

Fitrat

Sharaait manzoor nahin mujhe
Fitrat mein meri zanjeerein nahin hain

#FaridoonShahryar

Khushbu ka gumaan

Khushbu ka gumaan
A Nazm by Faridoon Shahryar

Talqiyon ne sharminda 
Kuch is tarah kiya
Murjhaaye phoolon
Mein khushbu ka 
Gumaan bhi na raha
Aansuon mein 
Doobi hui kyariyan
Mitti ki nami se 
Khaufzada hain
Yahan bus khoon hai
Aur..

Saaya paraya hua

Saaya paraya hua
A Nazm by Faridoon Shahryar

Sitam ki raat 
Tezab liye 
Sar par 
Musallat hai
Darwaaza khola
Dilasa diya 
Aur phir 
Dost ne 
Ahsaan ka
Haath kuch
Aisi berahmi 
Se badhaya
Jaise Saaya
Paraya hua
Afsos, dil 
Kisi apne ne 
Ek baar phir 
Toda hai.