Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, February 26, 2023

Shoeb ke naam

Shoeb ke naam
By Faridoon Shahryar

Kuch kaha bhi nahin yaar
Bus suna kiye tum 
Aur soona kar chale 
Adhoora sa vo rishta
Poora kar chale 
Dil ke aziz kone ko
Apna kar chal diye
Mashwara hai mera
Muskurate rahna
Vo aankhen abhi zinda hain
Labon par kuch hararat si hai

Aitmaad

Mohabbat ki pehel hai, imaan ka imkaan rakhna 
Ranjishon ki basti mein aitmaad kahin kho sa gaya hai

#FaridoonShahryar

Thursday, February 9, 2023

Mojza

Paseena barf par bahaya hai yun maine 
Jaise koi mojza apne hone se waaqif tha

#FaridoonShahryar

Maazi se qata talluq

Maazi se qata talluq kar liya hai maine 
Mujhe mustaqbil par kaafi bharosa hai

#FaridoonShahryar

Thursday, February 2, 2023

Khimaash ke saaye

Libaas badalna ki mashghooliyat mein kuch is tarah masroof rahe tum
Khimaash ke saaye ki taveel vussaton ko kabhi dafn na kar sake tum

#FaridoonShahryar

Mohabbat

Maine kaha tha, mujhe bhula na paoge 
Mohabbat ki mehek ko mita na paoge 

#FaridoonShahryar