Faridoon Shahryar's Blog


Saturday, October 5, 2019

Kal ki peshengoi

Kal ki peshengoi 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khwaab ki tasveer 
Adhoori si hai
Koi hasrat kahin
Dil ke kisi kone mein
Bechain si muskurahat ko
Qaid kare baithi hai
Parindo ki fauj 
Bakhoobi tayyar hai
Vo yaad dilaate rahte hain 
Udna sirf unka kaam hai
Tumhen zameen par sisakna hai, ghisatna hai
Khel ke khatm hone par
Taaliyon ki goonj ka
Chhota sa hissa ho tum
Azaadi girvi hai tumhaari 
Kya sochna hai
Kya bolna hai
Kise chaahna hai
Sab hum tai karenge
Tumhe sirf khush dikhne ka naatak karna hai
Tum mahfooz ho
Kal ki peshengoi 
Tumhaari saanso ki 
Kheemat tai karegi 
Keede makodon se seekho
Aur chalte raho

No comments:

Post a Comment