Faridoon Shahryar's Blog


Thursday, January 14, 2021

Rai bikti hai

Rai bikti hai 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Khareedar 
Bhook ki jholi mein
Khwaab ka chaand
Ugaana jaante hain
Jab koi marta hai
Koi darta hai
Rai bikti hai
Maqbool hoon main
Hukummraan kahta hai
Aansuon ki laash dhako
Naare lagao
Khushi manao
Jashn ka lamha hai
So jao.

No comments:

Post a Comment