Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, May 29, 2011

Haan Yaad Hai (A Song On My Dad's 75th Birthday)

Here's a song written by me and my wife Aarefa on my dad's 75th birthday. I have composed and sung it while my friend Savio Vora has done the music arrangements and also played the guitar. Hope you like it:

http://www.reverbnation.com/play_now/song_8796271

Baarish toofan mein kandhe par bitha kar hotel tak jaana yaad hai
Vo khaana khilaana, hasna hasaana, khisse sunaana yaad hai

Filmon ki baatein ho ya shayri, khwabon ki duniya haqiqat nahin
Common sense is something uncommon, kaha tha kabhi...yaad hai

Vo saadi si khushi, vo aadhi si hasi, nasihat pyaar ki bas kami izhaar ki
Khamoshi ki dhun, sannatein len sun, hulchul ka sukoon, beniyaz hai junoon

Lamba ho safar chahe mushkil dagar
Saath hain jab hum sab to kaahe ka dar
Zindagi ki lazzatein kam nahin, tum dhoondo to sahi

Ek aas hai, kuch khaas hai, ahsaas hai

Baarish toofaan mein kandhe par bitha kar hotel tak jaana yaad hai
Vo khaana khilana, hasna hasaana, khisse sunana yaad hai

Ek aas hai, kuch khaas hai, ahsaas hai...

Haan yaad hai...

3 comments: