Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, May 4, 2022

Khamosh Darwaza

Khamosh darwaza 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jis khamosh darwaze ke 
Khulne ki aas lagaye baithe ho
Vo shayad kabhi na khule,
Bhoole se ja rahe ho tum 
Apne saamne ki duniya ko
Jo khaufnak sahi 
Haqeeqat to hai,
Khwabon ko sirhaane 
Tah karke rakh do 
Aur so jao

Saturday, April 30, 2022

Main naraaz hoon tumse

Main naraaz hoon tumse
A Nazm by Faridoon Shahryar

Main naraaz hoon tumse 
Aur rahoonga 
Koi safai nahin chahiye
Rusvai ko yaad rakhoonga
Aur tumhe bhool jaoonga
Ahmaq bhi ho tum 
Aur jaanvar bhi
Bheed ke peeche chhupe baithe
Buzdil ho tum 
Main naraaz hoon tumse
Aur rahoonga

Sunday, April 24, 2022

Sukoot ka aabshaar

Ye naye nizam ki adavatein 
Kuch jhurriyan, kai silvatein 

Main sukoot ka aabshaar hoon 
Main thoda sa hoshiyaar hoon 

#FaridoonShahryar

Friday, April 22, 2022

Kho sa gaya hoon

Kho sa gaya hoon
A Nazm by Faridoon Shahryar

Sab kuch daav par laga kar 
Thoda ro kar, zyada muskura kar
Main apne aap ko, 
Haara sa lagta hoon
Zamaane ne mujhe 
Izzat bhi di, shohrat bhi, 
Magar phir bhi 
Qadr apni main kar na saka
Sab kuch daav par laga kar
Main zindagi ke maslon mein
Kuch kho sa gaya hoon

Zinda sa hoon

Zinda sa hoon
Nazm by Faridoon Shahryar

Marna multavi kiya hai,
Mohlat maangi
Apne zameer se,
Vaada kiya
Hashr ke manzar 
Se parda karoonga 
Aur dua se labrez 
Labon ko see loonga,
Zahanat se vaabistgi 
Ek saraab sa hai
Main shayad hosh mein nahin
Bus zinda sa hoon

Wednesday, April 13, 2022

Ajeeb ho tum

Tum bhi ajeeb ho ae dost, hairaan hoon main 
Aashiyan apna ujaad kar, jashn mein giraftar ho tum

#FaridoonShahryar

Ranj ye hai ki...

Afsos hai ki dard hai, aur beshumar hai
Ranj ye hai ki tumhe kyun nahin hota

#FaridoonShahryar