Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, November 27, 2024

Khud se mohabbat

Mohabbat ki hai maine, haan ye aitraaf karta hoon
Koi mila hi nahin, khud ko hi mahboob maan liya hum ne

#FaridoonShahryar

Ek Naya Suraj

Ek Naya Suraj
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Ek naya suraj
Sunahre baalon 
Mein lipta sa
Apne vajood ki
Bulanduyon ka ahsaas
Seene mein liye 
Pukhta iradon 
Ke sarmaye 
Ko samete 
Plane ki khidki 
Mein jazb ho chuka hai. 

Vo subah 
Jis ka mujhe
Besabri se
Intizar tha
Shaayad 
Aa chuki hai.

Friday, November 22, 2024

Khwaab ho tum

Khwaab ho tum
A Nazm by Faridoon Shahryar

Vo ajeeb raat thi
Koi bhi na tha
Bus teri avaaz ke siva
Vo sarghoshiyon
Ka haath thaame 
Dabe paanv 
Vo aana tera
Aur dheeme se
Mere kaanon mein
Ujaalon ki goonj 
Ka sabab bun ke
Vo muskurana tera
Vo makhmali hont 
Chhoo na saka
Bus ek ahsaas ka
Daaman thaame 
So gaya tha main 
Koi mujhe neend se
Jagaaye kyun
Khwaab hi ho tum
Par koi mujhe 
Bataye kyun

Wednesday, November 6, 2024

Anjaan Saathi

Anjaan saathi
A Nazm by Faridoon 

Haq jataane ka hunar
Numaya kuch yun kiya hai 
Jaise dhokha diya jaata hai
Aur vo bhi lafzon mein
Bayan kar ke,
Hamara haath thaama bhi 
Bus dikhaave ke liye tum ne,
Bund kamron mein
Bus anjaan saathi
Sannaton ke beech
Tanhai se rubaroo hain.

Tuesday, November 5, 2024

Haadson ka samandar

itna aasaan nahin hai dil dukhaana mera ae dost
Haadson ke samandar mein tairna aata hai hamein

#FaridoonShahryar

Sunday, November 3, 2024

Khauff se jung

Khauff se ab mujhe darr nahin lagta 
Meri zindagi ka ye daur sirf mere naam hai

#FaridoonShahryar