Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, October 13, 2019

बस यही मकसद है

बस यही मक़सद है
फरीदूं शहरयार की नज़्म 

आंखों ने खज़ाना 
जमा किया है
दरिया की मौजों का
पहाडों की करवटों का
पत्तियों की बौछारों का
समंदर की खामोशी का
सूरज की असूदगी का
रास्तों की परछाइयों का
झरनों की हरकतों का
आसमान के नायाब रंगों का
बर्फ की फूआरों का
झीलों की नग़मगी    का
फूलों की मुस्कुराहट का

ग़मों का पैमाना 
छलका है जब भी
किसी हसीन मंज़र ने
हल्के से हाथ थामा है मेरा 
मुझे और अमीर 
बहुत अमीर होना है
बस यही मक़सद है

Saturday, October 5, 2019

Cheekhta Sannata

Cheekhta sannata
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Mustaqbil ko dafn kar
Aaj ko jataane aaye hain
Ragon mein behte paani ko
Uksaane aaye hain
Jadon ko apni khud hi kaat do
Shaakhon se behte khoon ko pocho 
Kal ke zakhmo ko tatolo
Kuredo, aur josh mein aao
Ek naye aaghaaz ka intzaar khatm hua
Aag se ulfat
Aur phir cheekhta sannata


चीखता सन्नाटा
फरीदूं शहरयार की नज़्म

मुस्तक़बिल को दफन कर
आज को जताने आये हैं
रगो में बहते पानी को उकसाने आये हैं
जड़ों को अपनी खुद ही काट दो
शाखों से बहते खून को पोछो 
कल के जख्मों को टटालो कुरेदो, और जोश में आओ
एक नए आग़ाज़ का इन्तिज़ार खत्म हुआ
आग से उल्फत 
और फिर  चीखता सन्नाटा


Insaaf ka naya andaaz

इंसाफ का नया अंदाज़
फरीदून शहरयार की नज़्म

मंसूबे कठघरे में हैं 
अदालत तबेला है 
जहां जानवर 
सलीके से बंधे हैं 
फैसला कब से तैयार है 
जश्न का और सही वक्त का 
इंतज़ार है 
इंसाफ का यह नया अंदाज 
इंसानों को खूब रास आएगा 
खामोशी का अंधेरा 
बादल बन चुका है 
अब चीख़ों की बारिश होगी 
लहू बरसेगा 
क़ुदरत की प्यास 
बुझे ना बुझे 
ख़ुदा का घर जरूर 
भर जाएगा

Insaaf ka naya andaaz 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Mansoobe katghare mein hain
Adalat tabela hai
Jahan jaanvar
Saleeekhe se bandhe hain 
Faisla kab se tayyar hai
Jashn ka aur sahi waqt ka 
Intezaar hai
Insaaf ka ye naya andaaz 
Insaanon ko khoob raas aayega 
Khamoshi ka andhera
Baadal ban chuka hai
Ab cheekhon ki baarish hogi
Lahoo barsega
Qudrat ki pyaas 
Bujhe na bujhe 
Khuda ka Ghar zaroor 
Bhar jayega

Kal ki peshengoi

Kal ki peshengoi 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khwaab ki tasveer 
Adhoori si hai
Koi hasrat kahin
Dil ke kisi kone mein
Bechain si muskurahat ko
Qaid kare baithi hai
Parindo ki fauj 
Bakhoobi tayyar hai
Vo yaad dilaate rahte hain 
Udna sirf unka kaam hai
Tumhen zameen par sisakna hai, ghisatna hai
Khel ke khatm hone par
Taaliyon ki goonj ka
Chhota sa hissa ho tum
Azaadi girvi hai tumhaari 
Kya sochna hai
Kya bolna hai
Kise chaahna hai
Sab hum tai karenge
Tumhe sirf khush dikhne ka naatak karna hai
Tum mahfooz ho
Kal ki peshengoi 
Tumhaari saanso ki 
Kheemat tai karegi 
Keede makodon se seekho
Aur chalte raho

Sunday, September 15, 2019

Ye jaan to aani jaani hai

Ye Jaan to aani jaani hai
Kahin ret, to kahin paani hai
Ghutno ke bal chalne par jo amaada hain
samajh lo khatm unki kahaani hai
#FaridoonShahryar


Thursday, September 12, 2019

Dozakh ki haqeeqat

Dozakh ki haqeeqat
A Nazm by Faridoon Shahryar

Baadal kashti 
Aasman safar
Khwabeeda aankhen
Dil-e-masoomiyat
Dozakh ki haqeeqat
Jannat ka fusoon
Zahar ka pyaala
Ek aakhri nivaala
Jee liya har pal
Dum nikalne ki ghadi
Taskeen khamoshi
Bechain intizaar .

Meri maut ka intizaam

Meri maut ka intizaam
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jo meri maut ka intizaam karne mein mashghool hain unhe paighaam de do
Kirayedaar hoon, mahmaan hoon
Chala jaoonga ek roz
Ghaav taaza rakho
Roz nai chot do
Khoon rista rahe
Dhyaan rakhna
Saanse bhi thum jayengi
Bharosa rakho
Apne aap par
Apni nafrat par

Ab to ye aalam hai
Do gaz zameen bhi 
Humein mayassar nahin