Faridoon Shahryar's Blog


Thursday, February 29, 2024

Jhooth

Jhooth
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Raat ko subah se 
Milaane ki koshish
Kuch is tarah se ki hai
Veeraan sa hai safar
Koi bhi nahin humsafar
Aaina bhi 
Tujhe anjaan sa
Samajhta kyun hai
Main chalna chahoon bhi
Phir bhi namumkin 
Sa lagta kyun hai
Kahoon kaise ab 
Ae dost 
Tumhaara har sach
Jhoot sa lagta kyun hai

Wednesday, February 28, 2024

Fitrat

Fitrat tumhaari dakhalandaazi ki hai, main jaan chuka hoon
Tuute hue rishton ko aur kitna bikheroge, chalo dekhte hain

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 27, 2024

Gumnaami ka andhera

Gumnaami ka andhera
A Nazm by Faridoon Shahryar

Nafrat ke saaye se duur
Apne aap se mukhatib
Kisi aisi duniya mein tahleel
Jahan kuch ho na ho
Bechaini kum hai
Neend ab bhi kum hai
Sukoon ki miqdaar
Sab mahriomiyon par
Bhaari hai
Main thoda duur
Aur duur chala jaana chahta hoon
Nafrat ke saaye se
Gumnaami ka andhera achcha.

Mohabbat aur beniyazi

Beniyazi se jab maine kaam liya, tum ne shayad jaan liya
Mohabbat mein sabr ka imtihaan zyada nahin liya karte

#FaridoonShahryar

Sunday, February 25, 2024

Duuri

Duuri jo hum ne iqtiyar ki, tum paas aa gaye
Dil jud na sake, na sahi, fareb-e-nazar hi sahi

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 20, 2024

Tohfa

Tohfa
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Tohfa mere naam gar 
Karna jo tum chaaho 
Thoda sa khuloos
Thodi si mohabbat 
Hamdardi ki narmi 
Hissas si koi aahat
Besakhta si chaahat
Izzat se pesh aao
Kabhi to muskurao 
Vo kum sukhan hona 
Vo zahanat ka zom
Dil bujh sa chuka hai ab
Koi dil ko sataaye kyun

Monday, February 19, 2024

Duur

Bohot qareeb na aao mere
Bohot duur jaane ke liye

#FaridoonShahryar 

Safar ki shart

Kisi bhi shaqs se sukoon ki tavaqqo hum kyun rakhen
Safar ki shart hai, akele hi dhund se baahar nikalna hai

#FaridoonShahryar

Saturday, February 10, 2024

Dhund si kyun chhayi hai

Dhund si kyun chhayi hai
A Nazm by Faridoon Shahryar

Raat ki siyahi se
Tasveer kyun
Banayi hai
Subah ke andhere ko
Thoda ghaur se dekho
Dhund si kyun chhayi hai
Kis ki maut aayi hai
Khabar kisne
Chhapvai hai
Koi bhi nahin hai kya
Thoda sa jo jee sake
Sab ki maut aayi hai
Dhund si kyun chhayi hai

Friday, February 9, 2024

Aansuon ki Nami

Muskurahaton mein aansuon ki nami si kyun hai
Hamare shahar mein har shaqs tanha sa kyun hai 

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 6, 2024

Bewafa Dost

Jis ko bhi dil ka haal sunaya, vo hi bewafa nikla
Hum ne khud ko dost banaya, ab dekho kya hota hai

#FaridoonShahryar

Sunday, February 4, 2024

Masroof Tanhai

Masroof Tanhai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Jidhar dekha 
Har shaqs 
Apne hi mein 
Masroof nazar aaya
Kis se shikayat
Kyun ye khafgi 
Hamein to duniya mein
Har shaqs 
Tanha hi nazar aaya

Saturday, February 3, 2024

Dhoondta hoon sukoon

Dhoondta hoon sukoon
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Koi maqsad nahin
Phir kya hai zindagi 
Kaisa hai ye junoon
Kyun hai ye aarzoo
Gar yaqeen nahin tumhe
Phir kyun hai ye justujoo
Jise mahsoos kar sakoon
Dhoondta hoon vo sukoon

Friday, February 2, 2024

Jab waqt mile

Jab waqt mile
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Yaadon ki kirchanon ko
Dil ke kisi kone mein
Hifazat se saja loon 
Aur jab waqt mile,
Thoda muskura loon.