Faridoon Shahryar's Blog


Thursday, February 29, 2024

Jhooth

Jhooth
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Raat ko subah se 
Milaane ki koshish
Kuch is tarah se ki hai
Veeraan sa hai safar
Koi bhi nahin humsafar
Aaina bhi 
Tujhe anjaan sa
Samajhta kyun hai
Main chalna chahoon bhi
Phir bhi namumkin 
Sa lagta kyun hai
Kahoon kaise ab 
Ae dost 
Tumhaara har sach
Jhoot sa lagta kyun hai

Wednesday, February 28, 2024

Fitrat

Fitrat tumhaari dakhalandaazi ki hai, main jaan chuka hoon
Tuute hue rishton ko aur kitna bikheroge, chalo dekhte hain

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 27, 2024

Gumnaami ka andhera

Gumnaami ka andhera
A Nazm by Faridoon Shahryar

Nafrat ke saaye se duur
Apne aap se mukhatib
Kisi aisi duniya mein tahleel
Jahan kuch ho na ho
Bechaini kum hai
Neend ab bhi kum hai
Sukoon ki miqdaar
Sab mahriomiyon par
Bhaari hai
Main thoda duur
Aur duur chala jaana chahta hoon
Nafrat ke saaye se
Gumnaami ka andhera achcha.

Mohabbat aur beniyazi

Beniyazi se jab maine kaam liya, tum ne shayad jaan liya
Mohabbat mein sabr ka imtihaan zyada nahin liya karte

#FaridoonShahryar

Sunday, February 25, 2024

Duuri

Duuri jo hum ne iqtiyar ki, tum paas aa gaye
Dil jud na sake, na sahi, fareb-e-nazar hi sahi

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 20, 2024

Tohfa

Tohfa
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Tohfa mere naam gar 
Karna jo tum chaaho 
Thoda sa khuloos
Thodi si mohabbat 
Hamdardi ki narmi 
Hissas si koi aahat
Besakhta si chaahat
Izzat se pesh aao
Kabhi to muskurao 
Vo kum sukhan hona 
Vo zahanat ka zom
Dil bujh sa chuka hai ab
Koi dil ko sataaye kyun

Monday, February 19, 2024

Duur

Bohot qareeb na aao mere
Bohot duur jaane ke liye

#FaridoonShahryar