Faridoon Shahryar's Blog


Friday, September 24, 2021

Karaboar I junoon

Karobar-i-junoon mein masroof hoon main
Zindagi ka pata shayad mil gaya hai mujhe 

#FaridoonShahryar

Shor ka sannata

Shor ka sannaata
A Nazm by Faridoon Shahryar

Raat ke is peher kya sochta hoga ye sannata
Ummeed ka koi bhi aasra kyun nazar nahin aata
Sharminda hoon ki cheekhta kyun nahin main
Shor mere wajood se door kyun nahin jaata

Saturday, September 18, 2021

Sukoon ka taaqub

Ilzaam ye hai ki koi gunaah nahin hai
Rishta hi bus mera apne aap se nahin hai
Sukoon ka taaqub hai ek nayaab marhala
Jung mein tadapna hai, marna nahin hai

#FaridoonShahryar

Tuesday, September 7, 2021

Zindagi se rubaroo

Mohlat mili hai ek baar phir zindagi se rubaroo hone ki 
Besakhta bahe ja rahi hai deewangi mere chaaaron taraf

#FaridoonShahryar

Sunday, August 22, 2021

Rihayee

Josh-e-jashn mein vo baat nahin 
Maza afsurda sa kyun hai, rihaaee ka

#FaridoonShahryar

Majboori si lagi

Maine koshish to bahut kari tumhaari nazron mein uthne ki 
Afsos ae dost, har koshish tumhen meri majboori si lagi

#FaridoonShahryar

Fareb ki dastaan

Ye mohabbat ke daave, ye wafa ka junoon 
Deewane ne fareb ki dastaan kya khoob sunai

#FaridoonShahryar