Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, October 25, 2020

Bachkana

Bewakhoofi ki san hadein tamaam huin 
Ab jo bhi hoga bachkana hi hoga 

#FaridoonShahryar

Behaya

Kuch to majboori zaroor rahi hogi
Koi itna behaya yuheen nahin hota 

#FaridoonShahryar

Kamzor adakaar

Jis beraham ne kiya be-abroo sar-e-bazaar
Ussi ki ghulaami karte hain kamzor adaakar

#FaridoonShahryar 

Himaqat ka hisaab

Majboori thhi hamaari, kya karein, kah ke bach jaoge 
Hisaab hoga har himaqat ka, muh na chhipa paoge 

#FaridoonShahryar

Bakhsh Do

Bakhsh do
A Nazm by Faridoon Shahryar

Tumhari maut ko
Munaafe ka sauda 
Banaane waale logon
Se main kya kahoon 
Baksh do
Nakhsh na karo
Bebuniyaad kahaniyan
Baksh do
Saazishon se
Apni dukaanein 
Chamkaane waalon
So jaane do
Zinda rahne do 
Kuch yaadon ki kirchen

Baksh do!

Mahfooz

Chaandni,
Raat samandar mein 
Seepiyon ki 
Aaghosh mein 
Mahfooz hai
Shaayad

#FaridoonShahryar

Hikmat ka nateeja

Gulistaan mein gul ek hi rang ke honge 
Ye farmaan avaam ki hikmat ka nateeja hai

#FaridoonShahryar