Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, May 22, 2019

Ek Nazm Javed Akhtar sahab ke naam

Ek Nazm Javed Akhtar sahab ke naam
By Faridoon Shahryar 

ख़्वाब के गांव में पले हैं हम
पानी छलनी में ले चले हैं हम
कहा था कभी आप ने 
सोचा था मैंने बहुत
और इस नतीजे पर पहुंचा
कि हक़ीक़त की कड़वाहट
से घबरा कर
ख़्वाब के दर को
बंद ना करो
खुलने दो दरीचा
रोशनी का इमकान है
एक किरण नूर की ही सही
कुछ तो है जो
हाथ थामे
कुछ दूर ही सही
धुंधले से रास्ते
पर चंद लम्हे ही सही
साथ तो चलेगी
मंज़िल को पाना
आसान न होगा
ज़ुल्म की दीवार को ढाना
दुश्वार ही सही
कोई तो है

خواب کے گاوں میں پلے  ہیں ہم

خواب کے گاوں میں پلے ہیں ہم
پانی چھلنی میں لے چلے ہیں ہم
کہا تھا کبھی آپ نے 
سوچا تھا میں نے بہت
اور اس نتیجے پر پہنچا
کہ حقیقت کی کڑواہٹ 
سے گھبرا کر
خواب کے در کو بند نہ کرو
کھلنے دو دریچے
روشنی کا امکان ہے
ایک کرن نور کی ہی  سہی
کچھ تو ہے جو ہاتھ تھامے 
کچھ دور ہی سہی
دھندلے سے راستے
پر چند لمحے ہی سہی
ساتھ تو چلے گی
منزل کو پاناآسان نہ ہوگا
ظلم کی دیوار کو ڈھانا
دشوار ہی سہی 
کوئ تو ہے

Sahme se Khwaab

Sahme se Khwaab 
By Faridoon Shahryar

Aankhon mein 
Khwaab hain 
Kuch sahme hue se
Nami hai, 
Darr bhi hai 
Aur thame hue 
Waqt ki kuch kirchen

Sabr ka Zulm

Sabr ka Zulm 
By Faridoon Shahryar

Aankh khuli 
Savera na hua
Sabr ka zulm
Khatm na hua
Cheekhon mein 
Sisakte armaan 
Sihar kar simatne lage hain
Raat ki siyahi se
Farmaan likho
Jaagte rahna
Jaagte rahna
Vo subah ab kabhi 
Nahin hogi

Sunday, May 12, 2019

Subah Ne Dum Tod Diya hai

Subah ne dum tod diya hai
By Faridoon Shahryar

Mayoos zamaane se nahin main
Haqeeqat mujhe sone nahin deti 
Khone ko ab bacha hi kya hai
Phir bhi raat ke andhere mein
Umeed sitaare ko aankhen phaade
Kyun khojta rahta hoon
Pata nahin ye paagalpan kyun savaar hai
Koi kahta hai jeet mein bhi haar hai
Aaina dekhne se shaayad darta hoon
Neend ki pariyan 
Kaanon mein kahti hain
Sona mat
Subah ne dum tod diya hai

Friday, May 3, 2019

Soch par giraft

Soch par giraft
By Faridoon Shahryar 

Chalo ek naya sach likh den
Tasveer mein manpasand rang bhar den
Parde par manzar kuch aisa ubhre 
Soch par giraft, maqsad yahi to hai
Junoon ka nasha
Kuch is tarah taari hai
Aakhri saans tak nafrat hi
Bus inka saathi hai
Ab to aadamkhor jaanvar
Bhi bhala lagta hai
Ye kaisa insaan hai
Kya iski majboori hai

#FaridoonShahryar

Lahooluhan Sooraj

Umeed ka ujaala
Jo hamesha rahega
Bus ye jhoot ka andhera chhat Jaye
Lahooluhan Sooraj
Duaon mein lipta
Yahi sochta hoga

#FaridoonShahryar

Tuesday, April 30, 2019

Aakhri khwaab dekhne ki ijaazat

Aakhri khwaab dekhne ki ijaazat
By Faridoon Shahryar 

Nahin, haath mat thaamna mera
Baisakhiyon ke bina
Bana rahna chaahta hoon
Haarne ki aadat ho chuki hai
Phir bhi lad raha hoon
Neend se door
Kisi beshkheemti nazm
Ya pyaare se naghme ke sahaare
Danta rahna chahta hoon
Badan ka lahoo kab 
Khatm hua, pata hi nahin
Ab kuch khone ko bacha hi nahin
Shama har rang mein jalti hai sehar hone tak
Bus us sehar ka intizaar
Ek aakhri khwaab
Aur haan ek savaal
Kya khwaab dekhna
Gunah to nahin?