Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, February 4, 2024

Masroof Tanhai

Masroof Tanhai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Jidhar dekha 
Har shaqs 
Apne hi mein 
Masroof nazar aaya
Kis se shikayat
Kyun ye khafgi 
Hamein to duniya mein
Har shaqs 
Tanha hi nazar aaya

Saturday, February 3, 2024

Dhoondta hoon sukoon

Dhoondta hoon sukoon
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Koi maqsad nahin
Phir kya hai zindagi 
Kaisa hai ye junoon
Kyun hai ye aarzoo
Gar yaqeen nahin tumhe
Phir kyun hai ye justujoo
Jise mahsoos kar sakoon
Dhoondta hoon vo sukoon

Friday, February 2, 2024

Jab waqt mile

Jab waqt mile
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Yaadon ki kirchanon ko
Dil ke kisi kone mein
Hifazat se saja loon 
Aur jab waqt mile,
Thoda muskura loon.

Wednesday, January 31, 2024

Khamoshi

Khamoshi
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khamoshi 
Har simt 
Mayassar hai,
Raat 
Se kah do, 
Seher ka imkaan
Namumkin hai

Monday, January 29, 2024

Aansuon ki saughat

Aansuon ki saughaat le kar jo tum aaye the, kuch kaha bhi hota 
Hum bhi apna haal sunaate, tanha dil kab se rone ko betaab hai

#FaridoonShahryar

Sunday, January 28, 2024

Hamari Zindagi

Raat aaj phir bohot lambi hone waali hai 
Lekin ek ajeeb sa sukoon kyun taari hai
Koi kahin shayad hum ko bhi sochta hoga
Us ko khabar pohcha do, wo zindagi hamari hai

#FaridoonShahryar

Saturday, January 27, 2024

Mera qatl

Jis shiddat se mere qatl ka intezaam karte ho dost 
Kaash kabhi dosti ki koshish karte, hum khud hi marr jaate

#FaridoonShahryar