Faridoon Shahryar's Blog


Saturday, December 23, 2023

Ishq ka aaghaaz

Ishq ka aaghaaz bhi nahin hua, aur ranjishen fiza mein hain
Mohabbat ka usool hai, rishton ko tola nahin karte 

#FaridoonShahryar

Zameer ki dahleez

Zameer ki dahleez par ek arsa khade rahe hum
Darvaza jo bund kiya hai ab, bohot pehle kiya hota 

#FaridoonShahryar

Wednesday, December 13, 2023

Tanhai aur sabr

Sabr kuch yun kiya hai maine 
Tanhai bhi ab dost si lagti hai

#FaridoonShahryar

Sunday, December 3, 2023

Intiha

Abhi to shuruaat hai mere junoon ki 
Intiha kya hoti hai ye socha nahin kabhi 

#FaridoonShahryar

Zahniyat ka falsafa

Tumhaare azm se maroob ho bhi sakta hoon, daulat se nahin 
Zahniyat ka falsafa tumhaari samajh se shayad baahar hai

#FaridoonShahryar

Zid ya Ana

Zid kaho ya ana, ye marzi hai tumhari 
Junoon ko mere, inaam milte hi rahte hain 

#FaridoonShahryar

Tuesday, November 21, 2023

Manzil

Sadak sunsaan sahi, phir bhi apni si lagti kyun hai 
Manzil se kah do ab, vo anjaan si lagti kyun hai 

#FaridoonShahryar