Faridoon Shahryar's Blog


Thursday, February 2, 2023

Mohabbat

Maine kaha tha, mujhe bhula na paoge 
Mohabbat ki mehek ko mita na paoge 

#FaridoonShahryar

Monday, January 9, 2023

Khaas chehra

Manzar-e-aam par koi hai jo bata raha hai hamein isharon mein
Kuch to khaas hai, sab ki nigaah mein, chehra bus tumhara hai

#FaridoonShahryar

Barf ki raat

Barf ki Raat
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Barf ki is raat ne
Shaayad ye thhaana hai
Is lamhe ko so kar 
Gavana fizool hai
Khwabon ka usool hai
Bikharna kis pahar hai
Bata kar nahin aate 
Jaagte raho 
Ye haseen andhera
Manzil na sahi 
Bahana to hai.

Tahayya e Toofan

Beimaan mausam ne tahayya-e-toofan kya kiya
Doston ko daraane ka bahana sa mil gaya ho jaise

#FaridoonShahryar

Wednesday, December 14, 2022

Junoon ki miqdaar

Mere khwabon ka sasta sauda, mehenga pada azeezon ko 
Tarbiyat mein meri, junoon ki miqdaar kuch zyada nikli

#FaridoonShahryar

Thursday, December 8, 2022

Bheed

Bheed se keh do, tumhe saath jhund ka mubarak 
Maine tanhai ko hamesha apna rahbar samjha 

#FaridoonShahryar

Tasveer

Maine aaine mein hamesha khud hi ko dekha hai
Vo jo tasveer tum ne bana rakhi hai, vo main hoon nahin

#FaridoonShahryar