Faridoon Shahryar's Blog


Thursday, July 21, 2022

Roshni se kah do..

Roshni se kah do...
A Nazm by Faridoon Shahryar

Murawwaton ki majlis mein 
Khamoshi ko tasleem kiye 
Ek kone mein baitha hoon main
Qaid hoon 
Apne faisle ki hikmat mein
Azaad hoon 
Ye fitrat hai meri 
Roshni se kah do 
Andhere manzoor hain mujhe

Sunday, July 17, 2022

Toofan se kaho....

Toofan se kaho...
A Nazm by Faridoon Shahryar

Mushkilon ki baarish
Thame na kabhi
Ruke na kahin 
Garajti larazti bochaar
Main khada hoon jahan
Vahan barasti rahe 
Ghamon ki phuaar 
Aazmaish meri manzil 
Justuju jumbish 
Maqsad mera
Toofan se kaho
Mehnat karo
Junoon hi hai sheva mera

Lazzat e Aarzu

Lazzat e aarzu ko kiya hai Khuda Hafiz 
Ab koi kahe to phir kaho hum kahen kya

Monday, July 11, 2022

Khwabon se kaho...

Ye raat khamosh sahi, udaas to nahin 
Khwabon se kaho, muskura bhi do ab

#FaridoonShahryar

Thursday, July 7, 2022

Dhund duniya se ruu shanaas

Dhund duniya se ruu shanaas
Nazm by Faridoon Shahryar

Sirhaane kuch khwabon ne 
Besakhta apne hone ka 
Ahsaas mujhe dilaya hai 

Haqeeqat ne dheeme se 
Apne qadmon ki aahat se
Mujh ko jagaya hai 

Khuli aankhon ne
Dhund Duniya se 
Ruu-shanaas 
Kaise hote hain 
Muqaddar apna banaya hai

Main aur meri manzil 
Aur ye ghana kohra.

Sailaab

Main is raat dariya ke paar utar bhi jaoon to kya hoga 
Ye sailaab mere aasuon ka hai jo abhi tak bahe bhi nahin

#FaridoonShahryar

Wednesday, June 29, 2022

Seher ab door nahin

Seher ab door nahin 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Maine raat ke kaanon mein
Kuch kahne ki koshish
Inhimaak se ki hai shayad
Aankhon ke samandar se
Seepiyan batoro,
Ret ke jazeere ko
Salaam karo,
Khwabon se kaho
Seher ab door nahin