Faridoon Shahryar's Blog


Friday, May 28, 2021

Aakhri shab par pahra

Aakhri shab par pahra hai kiraaye daaron ka 
Makaan maalik ghar bechne par aamaada sa hai

#FaridoonShahryar

Sab ghalat, main sahi

Sab ghalat, main sahi, bus itna sa farmaan hai 
Mil ke aao baat karen, tum suno, main kahoon

#FaridoonShahryar

Tuesday, May 4, 2021

Mukammal

Tum apna sarmaya mujhse chhupa lo, ye tumhari marzi, 
Mera wajood bus tumhare ahsaas se mukammal hai

#FaridoonShahryar 

Saturday, April 24, 2021

Besukooni ke saaye

Sitam kya khoob in havaon ne dhaaye hain
Had-e-nigaah tak besukooni ke saaye hain

#FaridoonShahryar

Nafrat mujhe raas na aayi

Nafrat mujhe raas na aai
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jo tum chaahte thhe
Bilkul vaise hi hua
Main apne saaye se
Besakhta juda hua
Aks meri mohabbat ka
Peeche chhod aaya hoon
Maaf karna 
Nafrat mujhe raas na aai

Gul-e-tehzeeb

Gul-e-tehzeeb ki khushbu sab ko mayassar ho
Is chaman-e-hasrat ko chalo sanvaara jaaye

#FaridoonShahryar

Hairatzada himaqat

Nasamajh kahoon ya ahmaq tumhe 
Hairatzada himaqat sadme mein hai

#FaridoonShahryar