Faridoon Shahryar's Blog


Saturday, July 11, 2020

Barbadiyon ka Mujassama

Barbadiyon ka mujassama tayyar hai
Girta har roz inka mayaar hai

#FaridoonShahryar

Mujassama: Statue
Mayaar: Standard

Sunday, July 5, 2020

Sooraj se Dosti

Aao kuch mukhtalif karte hain
Chalo sooraj se dosti karte hain

#FaridoonShahryar

Sunday, June 14, 2020

Khamosh

Maslehatan chup hoon, khamosh nahin hoon main 

#FaridoonShahryar

Shak ki deewar

Shak ki deewar mein chunva diye hain kai gham 

Zinda rahna bhi ab to vaham sa lagta hai
#FaridoonShahryar

Tuesday, May 19, 2020

Zinda ho tum

Ye kya kum hai ki zinda ho tum, rooh mein jaan hai, ab bhi imaan par ho tum
#FaridoonShahryar

Friday, May 15, 2020

Jhooth ki Chhalni

Jhooth ki chalni mein khazana mila
Retile kankaron ko chalo sone ke bhaav bechte hain
#FaridoonShahryar

Paseene mein lipti umeedein

Paseene mein lipti umeedein
A Nazm by Faridoon Shahryar 


Ye sadak nahin 
ek aag ka dariya hai
Anjaam tai hai
Phir bhi ye deewane log
Nikal pade hain
Chhote bachchon 
Ko dhoop ke havaale kar
Bhook se dosti 
Dil ko dilaasa 
Aur ek aakhri khwahish..
Ghar ki chaukath 
Gaanv ki mitti


Saanson ki goonj
Zindagi se kahin door
Sunai de rahi
Paseene mein lipti umeedein
Mohtaaj hain 

Dua maango
Is safar ki manzil
Paas aa jaye