Faridoon Shahryar's Blog


Sunday, April 21, 2019

Bebahra sa Waqt

Shaoor aur tehzeeb se vaasta nahin Inka
Yeh alag baat hai ki tajjub nahin hota

Ab to har ek baat pe yahi sochta hoon
Pehle Jo tha vahi behtar tha

Kaanton mein lipta ye bebahra sa waqt
Lahooluhaan umeedon ko dekhta bechara sa waqt

#FaridoonShahryar

@Rekht



Friday, April 12, 2019

Khauf ki Shaam

Zulm ki intiha itni bhi nahin
Ki saanson mein sholay hon
Aur Dil ki aag thamne ka naam hi na le
Chhodo bhi na
Jaane do
Kuch kaam karo
Apna naam karo
Laal aankhon mein
Dekho aur dekhte raho
Khauf ki shaam 
Dhalne ko hai
Nai subah 
Rangon mein lipat kar
bus aati hi hogi
Bahut so liye
Jaagne ki ghadi hai
Nai sadi ka aaghaaz hoga
Zulm ko dafna kar
Kuch naye jhooth Janam lenge
Jaagte raho
Sona nahin

#FaridoonShahryar

Saturday, April 6, 2019

Safar hi manzil hai

Aag hai ufaan par
Josh hai junoon hai
Yeh khel bhi ajeeb hai
Jeet mein bhi haar hai
Asmaa hai zameen par 
Dhokha hi shikaar hai
Khwaab patthar ke hue
Phool maile ho chale 
Khushbu beniyaz hai
Raaste kai hain saamne
Badle ki goonj suno
Ya hosh se mustaqbil buno
Safar magar jaari rahe
Safar hi manzil hai

Friday, March 29, 2019

Ek Dhun Si Hai

Ek dhun si hai
Kamiyan talaash karne ki
Apne wajood par ungliyan uthaane ki dhun

Ratjagon ki bimari
Lailaaj hai ye fitoor
Jalan ki dhun
Kamyabi ka hai kasoor

Safar ki dhun
Zinda rahne ki dhun
Zameer se dosti bani rahe
Apne aap se aankh milaane ki dhun..

#FaridoonShahryar

Saturday, March 23, 2019

Umeed Dafn Hui

Parindon ki khamoshi mein
Sisakti hava behti hai
Phoolon mein rang hain
Khusbhu nahin
Nadi mein paani hai
Maujen nahin. 

Umeed dafn hui
Haar manzoor hui
Haan, buzdili aur zillat
Manzoor hui...

Saturday, March 9, 2019

Jeet ka nasha

Khushi ki raat
Jashn ke nashe mein
Jhoom rahi hai
Kamyabi ka maatha
Choom rahi hai
Sab khush hain
Ab sirf phool mehkenge
Ujalon ka basera hoga
Pedon par sone ki pattiyan khilengi
Raat ka khatma ho chuka hai
Jeet ka Nasha hai
Kuch bhi ho sakta hai

Umeed Ka Darwaza

Aandhi hai junoon ki
Havayen zehreeli hain
Insaan insaan na raha
Haivaan ki aankhon mein
Ajeeb sa soonapan hai
Sadak par khauf ki baraat saji hai
Andheron ki fasal kaatne mein magan log
Ujaala, sahma sa, kahin kone mein
Chhupa baitha hai
Umeed ka darvaaa band kar do.