Faridoon Shahryar's Blog


Friday, August 22, 2025

Ab Ye Raat

Ab ye raat
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Ab neend nahin
Jashn hai khwaab ka
Jo jaagti aankhon mein
Tahleel 
Kuch is tarah se hai
Jaise josh-i-zindagi
Mera sarmaya ho
Ab ye raat 
Mujh mein hai
Aur main....

Wednesday, June 25, 2025

Khwaahish Darakht

Khwaahish Darakht
A Nazm by Faridoon Shahryar

Aag mein jhulas ke
Khaak na hue 
Paak hain 
Zinda hain
Vo khwaab 
Jo dafn thhe 
Khwaahish darakht ke
Bohot neeche
Duniya khatm na ho
Bus yahi hai dua
Hunar ki daulat 
Ab mujhe sarshaar kar.

Monday, May 19, 2025

Khamosh Raho

Khamosh Raho
Nazm by Faridoon Shahryar

Have ne Kaha
Khamosh raho
Shor hai bohot
Jungle ki aag hai
Thamegi nahin
Koi bhi shayad
Bachega nahin
Nafrat ki baarish
Mein bheegte raho
Bhaagte raho
Harr us avaaz se 
Jo tumhe bulaye 
Apni jaanib
Darr jao 
Kho jao
Aur haan
Khamosh raho.

Sunday, April 13, 2025

Azmat ka aitraaf

Ye chaand, nazariya hai, azmat ke aitraaf ka
Koi kahin hum par bhi faqr karta hoga shayad

#FaridoonShahryar

Sunday, March 9, 2025

Ghulam Nahin Hoon Main

Ghulam nahin hoon main
A Nazm by Faridoon Shahryar

Ghulam nahin hoon main
Kisi ki soch ka
Koi bhi nahin
Jo khareed sake mujhe
Itna aasaan nahin
Haasil karna mujhe 
Ana kaho 
Ya jo kuch bhi kaho
Hunar par iqtiyar
Ab sirf mera hai
Ghulam nahin hoon main.

Friday, February 14, 2025

Tanha Chaand

Chaand baadal ki aaghosh mein bhi tanha hai
Azm se mohabbat deewana sa bana sakti hai

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 4, 2025

Khamoshi ke siva

Khamoshi Ke Siva
A Nazm by Faridoon Shahryar

Barf ke sahra mein
Khamoshi ke siva 
Kuch aur bhi hai,
Dhuan sa hai 
Muraadon ka
Masoom khwabon ka
Jaaga hua hoon main
Soye hue hain vo
Jinhe qadr nahin
Mausam-i-zindagi ki
Raat ke ujaale mein
Subah ka
Muntazir hoon main
Kaafi mutmayin hoon main
Toofan ki aamad ka
Jashn manaana hai
Kuch kho ke hi
Bohot kuch paana hai
Barf ke sahra mein
Khamoshi ke siva
Kuch aur bhi hai.