Faridoon Shahryar's Blog


Tuesday, April 30, 2024

Tumhari Haan

Tumhari Haan
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Jab zaroorat se zyada 
Tanha hua,
Tumne haath
Yun thaama
Jaise main,
Kabhi ajnabi,
Tha hi nahin
Aur kya kahoon
Shukriya ke siva 
Aur kuch kyun sunoon 
Tumhari haan ke siva




Saturday, April 27, 2024

Gham

Gham ki miqdaar kuch zyada hai shayad 
Vo khush shakl magar
zahir nahin karta

#FaridoonShahryar

Ankahe rishtey

Kahna bohot chaaha tum se, kah na saka main
Kuch rishtey shayad ankahe hi rah jaate hain

#FaridoonShahryar

Friday, April 26, 2024

Izzat se pesh aao

Izzat se pesh aao, tumhe aasmaan par bithaynge 
Aao chalo saath hamare, tumhe jannat dikhayenge 

#FaridoonShahryar

Thursday, April 25, 2024

Manoos

Manoos tum se main kuch yun ho sa gaya hoon
Jaise koi apna mil jaata hai kai sadiyon ke baad

#FaridoonShahryar

Wednesday, April 24, 2024

Khudparasti

Khudparasti ki inteha kuch yun kari hai tumne
Dikhaave ke rishton se gulshan ko aabaad rakha

#FaridoonShahryar

Sunday, April 21, 2024

Aur tum?

Aur tum?
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Bheed mein tanha,
Nayi baat nahin hai,
Har koi 
Akelepan se duuri
Behad zaruuri 
Samajhta hai
Sahi bhi hai
Lekin vo kami
Jo tumhari 
Zindagi mein
Tahleel hai
Main dekh sakta hoon
Aur tum?

Saturday, April 20, 2024

Husn

Husn
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Masoomiyat husn ko
Kuch aur haseen 
Yun banaati hai
Jaise koi khwaab 
Dheemi muskurahat mein
Lipta hua
Sirhaane mil jaaye
Aur phir...

Friday, April 19, 2024

Hausla

Jazba aur josh kum na ho bus yahi dua hai 
Hausla gar na ho phir zindagi se maut achchi 

#FaridoonShahryar

Thursday, April 18, 2024

Hone nahin doonga

Main achcha bun ke dikhaoon, aisi himaqat se parhez hai mujhe
Samajh jao tum ki main kya hoon, ye main hone nahin doonga

#FaridoonShahryar

Monday, April 15, 2024

Tanhai sukoon

Zid meri fitrat, jurrat hai mera junoon
Mohabbat sauda, tanhai mein hai sukoon

#FaridoonShahryar

Saturday, April 13, 2024

Fitrat mein meri...

Sharaait manzoor nahin mujhe 
Fitrat mein meri,zanjeerein nahin hain

Ranj hai

Afsos hai ki dard hai, aur beshumaar hai
Ranj ye hai ki tumhe kyun nahin hota 

#FaridoonShahryar

Friday, April 12, 2024

Haq

Haq 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Husn ko husn kaha 
Jazzbaton mein baha
Ishq parastish 
Pak mohabbat 
Nek mansooba
Ankhon mein dooba
Haq se maanga 
Haq apna 
Meri ana zeher sahi
Maut manzoor 
Aam zindagi nahin

Wednesday, April 10, 2024

Zimmedari nahin

Aur kuch mere bus mein ho ya na ho, lekin itna tay hai
Tumhari har baat maan lena ab meri zimmedari nahin

#FaridoonShahryar

Tuesday, April 9, 2024

Parchayi

Dil ke darwaaze ko bund kar ke bhi dekh liya hai maine
Tumhari yaad parchayi ki tarah mere saath rahti hai

#FaridoonShahryar

Sunday, April 7, 2024

Yahi sach hai

Yahi sach hai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khauff ki shaakh 
Par hava ne 
Dastak di hai
Pattiyon mein
Halchal si machi hai
Afratafri ke is 
Aalam mein
Ye kaun shaqs hai 
Jo tabassum ko
Apni dhaal bana kar 
Toofan ki aamad ko
Salaam karte hue
Khada hai 
Inhimaak ke saath
Anjaam jo bhi ho
Fateh uski hi hogi
Yahi sach hai.

Saturday, April 6, 2024

Sargoshi ki aahat

Raat ke kaanon mein sargoshi ki aahat sunai di hai 
Jugnuon ki mahfil saji hai bus tumhara intizaar Hai

#FaridoonShahryar

Friday, April 5, 2024

Tumhara vaham

Mujhe tumhari zaroorat hai, ye vaham hai tumhara 
Kitab ka vo warq kab ka peeche rah gaya hai hamara

#FaridoonShahryar

Thursday, April 4, 2024

So jao

So Jao
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Abhi abhi
Raat ne ailaan kiya hai
Ujaale ki tamanna 
Karne walon
So jao 
Andhere ki miiaad
Badhne waali hai
Khwaab sajao
Muskurao 
Barbadiyon mein bhi
Jashn manao
Khamoshi ka shor 
Azaab sahi 
Lekin..

Wednesday, April 3, 2024

Junoon Aur Sukoon

Junoon hai, junoon hai, junoon hai
Taveel raat ke baad hi sukoon hai

#FaridoonShahryar

Tuesday, April 2, 2024

Koi apna sa

Ye ghanimat hai mohabbat se rishta hai hamara
Bade hi khushqismat hain, koi apna sa hai hamara

#FaridoonShahryar

Monday, April 1, 2024

Zeher

Zeher 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Aabo hava mein 
Zeher ki miqdaar
Kuch itni badhi
Chhod aaye
Har vo rishta 
Jo hamein
Zindagi se
Zyada azeez tha