Faridoon Shahryar's Blog


Wednesday, November 6, 2024

Anjaan Saathi

Anjaan saathi
A Nazm by Faridoon 

Haq jataane ka hunar
Numaya kuch yun kiya hai 
Jaise dhokha diya jaata hai
Aur vo bhi lafzon mein
Bayan kar ke,
Hamara haath thaama bhi 
Bus dikhaave ke liye tum ne,
Bund kamron mein
Bus anjaan saathi
Sannaton ke beech
Tanhai se rubaroo hain.

Tuesday, November 5, 2024

Haadson ka samandar

itna aasaan nahin hai dil dukhaana mera ae dost
Haadson ke samandar mein tairna aata hai hamein

#FaridoonShahryar

Sunday, November 3, 2024

Khauff se jung

Khauff se ab mujhe darr nahin lagta 
Meri zindagi ka ye daur sirf mere naam hai

#FaridoonShahryar

Sunday, October 27, 2024

Koi hota

Koi hota
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khoobsurti ki inteha 
Nahin thi 
Mere aas paas 
Har manzar nayaab
Har mod par khwaab
Sab kuch tha 
Jo zehen ki ghiza 
Bun sakta ho
Bus koi hota
Jo mere wajood 
Par naaz karta
Koi hota jo 
Sirf mere liye hota
Tanhai ne muskura kar
Kuch yun dekha mujhe
Aur phir har simt
Andhera.

Thursday, October 24, 2024

Koi kahin ho

Koi kahin ho
A Nazm by Faridoon Shahryar

Koi kahin ho
Jo hamein
Sunna chaahe,
Ahsaas ke aangan mein
Kuch waqt guzaare,
Koi kahin ho
Jo bewaja
Hamein chaahe,
Tanha khwaab
Inhimaak se sambhaale hue
Main jaane kahan 
Chala ja raha hoon. 
Bus chala ja raha hoon.

Sunday, October 20, 2024

Naye khwaab ki parvaaz

Naye khwaab ki parvaaz ne, neend se kuch duur kiya hai 

Jo dikh raha hai in ankhon ko, behad haseen hai vo

#FaridoonShahryar

Thursday, October 10, 2024

Beraham hoon main

Meri mohabbat ke laayaq nahin tum

Beraham hoon main, jaan lo ye jaaneman

#FaridoonShahryar

Sunday, October 6, 2024

Lamha I Zindagi

Ishq kiya hai aur bharpoor jiya hai har lamha-i-zindagi

Kisi ke safar ke nahin bus apni hi manzil ke hain hum

#FaridoonShahryar

Wednesday, October 2, 2024

Mohabbat ke muntazir

Hum ek arrsse se muntazir hain unki mohabbat ke 
Aur voh hain ki unhe siyasat se fursat nahin milti

#FaridoonShahryar

Sunday, September 29, 2024

Qismat mein Azmat

Qismat mein Azmat
Nazm by Faridoon Shahryar

Vo kahte hain 
Is khauffnaak raat ki 
Subah shayad
Kabhi na ho, 
Aur main hoon ki
Andhere se 
Dosti kar baitha.

Kuch bhi ho jaaye
Mere fun ka meyar 
Chamkega,
Meri qismat mein 
Azmat hai,
Main roshan hoon 
Aur goonjoonga bhi main.

Tuesday, September 24, 2024

Vahshat e Zindagi

Hamein nazarandaaz kar ke aap pachtaiyega 
Is vahshat-e-zindagi se bach ke kahan jaiyega

#FaridoonShahryar

Sunday, September 22, 2024

Ek aur jung

Vo saazish kar rahe hain meri maut ki
Aur main ek aur jung jeetne waala hoon

#FaridoonShahryar

Sunday, September 15, 2024

Deewane hain hum?

Tanhai ke atraaf mein kuch zarre mohabbat ke mile hain hamein
Khushqismat hain ya khushfahm, ya phir deewane hain hum?

#FaridoonShahryar

Friday, September 13, 2024

Kyun

Kyun
Nazm by Faridoon Shahryar

Stage par
Roshni kuch
Yun saji hai
Jaise mere khwaab
Apne wajood se
Mukhatib hon,
Taaliyon ke guldaste
Mehekne ko
Betaab se kyun hain
Khauff ab mujh se
Duur duur sa rahta kyun hai
Tanhai aziz hai mujhe ab
Khud ki dosti par itna bharosa
Aakhir kyun hai? 

Thursday, September 12, 2024

Raat ki avaam

Raat ki avaam ka bus itna sa fasaana hai
Aankhon mein dhokey hain aur khwabon ka bahaana hai

#FaridoonShahryar

Sunday, September 1, 2024

Lamhon ka sailaab

Kal lamhon ka sailaab tha hamaare beech
Aaj ek lamha bhi nahin hai aalam mein

Saturday, August 31, 2024

Labon ki kahaani

In aankhon ke zeene se dil mein utar jaoon main 
Labon ne kya suna hai mere honton ki kahaani ko

#FaridoonShahryar

Tuesday, August 27, 2024

Haara nahin

Kuch haar sa gaya hoon main 
Phir bhi haara nahin hoon main

#FaridoonShahryar

Sunday, August 25, 2024

Sannate ke faasle

Khudgarz mohabbat bhi manzoor hai ab
Sannaate ke faaslon se vahshat si hai mujhe

#FaridoonShahryar

Tuesday, August 20, 2024

Toofan ka jazba

Aandhiyon mein josh hoga bohot
Mere toofan ka jazba kuch aur hai

#FaridoonShahryar

Sunday, August 11, 2024

Khudgarz se Raabta

Khudgarz se Raabta
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Apne matlab ki 
Baat samajh mein 
Aati hai unhen 
Jinhe mohabbat se
Hum kabhi
Jeet na paaye,
Chalo jaise hi sahi 
Unse raabta hua,
Vo khush rahen 
Apni khudgarz 
Duniya mein,
Hum bhi 
Isi bahaane
Duniyadari se 
Rubaru hue.

Saturday, August 10, 2024

Tanhai ki aadat

Tanhai ki aadat
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Is raat ko 
Kaise main
Haseen kahoon 
Kuch bhi nahin
Koi nahin
Tanhai ki aadat
Bewafa si muraaden
Yaadon ki kirchen
Aur dher saari...

Friday, August 9, 2024

Beparvah

Manzil ki nahin khabar, na hai parvaah 
Safar mein rahoon hamesha, yahi hai dua

#FaridoonShahryar 

#NewJersey

Saturday, August 3, 2024

Hava ka Naghma

Hava ka naghma
A Nazm by Faridoon Shahryar

Hava ne dheeme se 
Muskura kar
Sehlaya mujhe 
Aur kaanon mein 
Gungunaya
Vo naghma jo
Mera kabhi
Tha hi nahin

Wednesday, July 31, 2024

Doobta Lamha

Doobta Lamha
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Coffee ki miqdaar 
Kuch zyada thi 
Ya mustaqbil se
Ghair zaroori
Aashnai ki 
Nakaam koshish
Raat ke is 
Doobte lamhe mein
Mobile ki roshni 
Mere andhere se
Muqatib hai

Sunday, July 28, 2024

Raat hai, Baat kar

Raat hai, Baat kar
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Shaam ka sooraj 
Kuch kah gaya shaayad
jo guzar gaya 
Dil se utar gaya 
Kisi aisi subah 
Ka intizar kar 
Jo baahe khole
Bus tumhari
Raah takti ho
Afsos na kar 
Jashn mana 
Raat hai
Baat kar
Aur phir...

Saturday, July 27, 2024

Hadd

Ankhon mein nasha kuch yun beinteha sa hai 
Jism har hadd paar kar jaaye, koi hamein roke kyun

#FaridoonShahryar

Thursday, July 25, 2024

Mubarak ho

Tanha gar safar mein ho to mubarak ho
Bheed mein aksar, khwaab dafn ho jaate Hain

#FaridoonShahryar

Tuesday, July 23, 2024

Mohabbat Vahi Achchi..
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Ab jab ki 
Kahne ko kuch bhi
Raha nahin 
Bus itna jaan lijiye 
Mohabbat vahi achchi 
Jahan khushi 
Mehekti ho 
Aur...

Monday, July 15, 2024

Haq

Haq
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Koi hai 
Jo hamein 
Haq se kahe
Jab koi nahin ho
Mere paas chale aana
Aur so jaana 
Main tumhara 
Sukoon hoon

Friday, July 12, 2024

Muskuraate Khwaab

Ye raat khamosh sahi, udaas to nahin
Khwabon se kaho, muskura bhi do ab

#FaridoonShahryar

Sunday, July 7, 2024

Maazi ki manzar

Maazi ke manzar
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Maazi ke manzar
Numaya kuch is tarah hue 
Jaise Khuda ka koi farmaan ho
Har us yaad ka shukriya 
Jahan mohabbat mehekti ho
Aur talqiyon se maine kaha
Jao, tumhe maaf kiya.

Friday, July 5, 2024

Subah e Azaadi

Subah-e-Azaadi
A Nazm by Faridoon Shahryar

Subah-e-azaadi 
Us husn pari ki tarah hai
Jo mere naseeb mein 
Kabhi thi hi nahin

Monday, July 1, 2024

Mohabbat ka safar

Ye gumaan nahin ki bohot achcha hoon main
Mohabbat ke safar mein haan sachha hoon main 

#FaridoonShahryar

Thursday, June 27, 2024

Iqbaal

Iqbaal
A Nazm by Faridoon Shahryar

Ankhon ko hidayat 
dene ki himaqat 
Karne vaale 
Mere rahnumaon
Jo zulm tum dekhna 
Nahin chahte 
 Vo marzi tumhari 
Ab rahi nahin 
Khairaat nahin 
Haq hai mera 
Iqbaal tumhara
Haath mein hai mere
Chahte ho saath?

Wednesday, June 26, 2024

Pasand

Gar tumhari pahli pasand bun nahin sakta main
Jaan lo phir jaaneman, mujhe tum pasand nahin 

#FaridoonShahryar

Tuesday, June 25, 2024

Afsos

Afsos 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Duur kahin koi hai shayad
Jo mujhe sochta hoga
Faasle pasand nahin mujhe 
Afsos, main duur ja kar hi
Tumhare qareeb aata hoon

Monday, June 24, 2024

Khushboo si bikhar jaaye

Khushboo si bikhar jaaye
A Nazm by Faridoon Shahryar

Zyada kahan maanga tha
Bus itna hi chaaha tha
Muskuraoon jab bhi main
Khushboo si bikhar jaaye
Labon par tumhaare 
Aur sanvaroon main 
Har vo khwaab 
Jo tumne abhi
Dekha bhi nahin.

Friday, June 21, 2024

Main roya bhi hoon

Haan shukr ada kiya hai, main achcha aadmi hoon 
Lekin jab dard hadd se badha hai, main roya bhi hoon

#FaridoonShahryar

Wednesday, June 19, 2024

Sahi Kya Hai

Sahi Kya Hai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Hava ke rukh 
Ne muskura kar kaha 
Sahi kya hai
Nahin hai ye pata,
Ghalat ko lekin 
Maine mooh chhupaye
Dekha hai

Monday, June 17, 2024

Aham Faisla

Aaj phir ek baar rishton ne mujhe aazmaya hai
Maine soch samajh kar tanhai ko apnaya hai

#FaridoonShahryar

Friday, June 7, 2024

Aankhen

Aankhen 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Raat ke saath 
Dard ka saaya
Kuch yun 
Chhaya sa 
Rahta hai 
Jaise sar mein
Fikr rengti ho
Aur aankhen 
Hamesha ke liye
Khulne vaali hon.

Wednesday, June 5, 2024

Saakit lamha

Ye saakit lamha bus mera apna sa hai
Andheron ne dekha hai mujhe muskuraate hue

#FaridoonShahryar

Monday, June 3, 2024

Tasleem

Mere faisle par savaal uthaane waale dost 
Aaj rashk se meri doorandeshi ko tasleem karte hain

#FaridoonShahryar

Sunday, May 26, 2024

Zaaviya Aur Zavaal

Tumhara ahmaqaana zaaviya, zavaal tak le jaayega 
Aansoo sookh na payenge, lahoo bahta jaayega

#FaridoonShahryar

Monday, May 20, 2024

Shabnam ki nami

Gul ho ya shabnam ki nami ho tum, 
Kisi haseen khwaab ki tabeer ho tum 

#FaridoonShahryar 

Sunday, May 19, 2024

Himaqat

Haal-i-dil sunaane ki himaqat kyun ki hum ne 
Hamein har shaqs apne hi mein khoya nazar aaya

#FaridoonShahryar

Wednesday, May 15, 2024

Ghuroor

Ghuroor aksar ahsaas-i-kamtari ki naav mein savaar hota hai 

Sahil par jab nazar padi, tanhai ki ret ne muskura kar dekha

#FaridoonShahryar

Tuesday, May 14, 2024

Umeed

Umeed
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Shayad umeed 
Kaale baadlon
Ke us paar 
Behtar mausam
Ki dastak de sakti hai
Bohot kuch 
Yaad sa aa raha hai 
Khwaab saj bhi 
Sakte hain 
Lekin ye tay hai 
Aage ka safar 
Jaisa bhi ho
Tanha zaroor hoga.

Thursday, May 9, 2024

Mubarak Ho

Mubarak ho
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Nazar na lag jaaye kahin
Waqt se pahle
Jeet ka jashn 
Hum manaaye kyun
Kaha dost ne,
Maine kaha,
Jhulasti dhoop 
Samandar raigistan
Toota dil,
Saraab ka saaya 
Hi sahi,
Ek ghadi 
Khushi ki hai
Mubarak ho.

Tuesday, May 7, 2024

Jab dil tootega

Jab dil tootega
A Nazm by Faridoon Shahryar

Ek baar phir
Dil laga baithe
Ek baar phir
Hum royenge
Saansen nahin
Khoon hai jama hua
Koi umeed nahin
Insaan hai thama hua
Ab ke jab dil tootega
Phir na kabhi hum...

Saturday, May 4, 2024

Beaabru

Badnaam karne chale hain hamein vo 
Jo haya ke bazaar mein kab Ke beaabru ho chuke

#FaridoonShahryar

Friday, May 3, 2024

Ravaana hoon

Jab fursat ho, apne hasad ka mujhe nishana banaate rahna 

Kisi aur manzil ki jaanib ravaana hoon, peeche peeche aate rahna

#FaridoonShahryar

Thursday, May 2, 2024

Jazba-e-Hausla

Ankhon mein shokhi, zindagi se Ishq ki alamat hai
Safar mein mod aaye kayi, jazba-a-hausla salaamat hai

#FaridoonShahryar 

Tuesday, April 30, 2024

Tumhari Haan

Tumhari Haan
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Jab zaroorat se zyada 
Tanha hua,
Tumne haath
Yun thaama
Jaise main,
Kabhi ajnabi,
Tha hi nahin
Aur kya kahoon
Shukriya ke siva 
Aur kuch kyun sunoon 
Tumhari haan ke siva




Saturday, April 27, 2024

Gham

Gham ki miqdaar kuch zyada hai shayad 
Vo khush shakl magar
zahir nahin karta

#FaridoonShahryar

Ankahe rishtey

Kahna bohot chaaha tum se, kah na saka main
Kuch rishtey shayad ankahe hi rah jaate hain

#FaridoonShahryar

Friday, April 26, 2024

Izzat se pesh aao

Izzat se pesh aao, tumhe aasmaan par bithaynge 
Aao chalo saath hamare, tumhe jannat dikhayenge 

#FaridoonShahryar

Thursday, April 25, 2024

Manoos

Manoos tum se main kuch yun ho sa gaya hoon
Jaise koi apna mil jaata hai kai sadiyon ke baad

#FaridoonShahryar

Wednesday, April 24, 2024

Khudparasti

Khudparasti ki inteha kuch yun kari hai tumne
Dikhaave ke rishton se gulshan ko aabaad rakha

#FaridoonShahryar

Sunday, April 21, 2024

Aur tum?

Aur tum?
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Bheed mein tanha,
Nayi baat nahin hai,
Har koi 
Akelepan se duuri
Behad zaruuri 
Samajhta hai
Sahi bhi hai
Lekin vo kami
Jo tumhari 
Zindagi mein
Tahleel hai
Main dekh sakta hoon
Aur tum?

Saturday, April 20, 2024

Husn

Husn
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Masoomiyat husn ko
Kuch aur haseen 
Yun banaati hai
Jaise koi khwaab 
Dheemi muskurahat mein
Lipta hua
Sirhaane mil jaaye
Aur phir...

Friday, April 19, 2024

Hausla

Jazba aur josh kum na ho bus yahi dua hai 
Hausla gar na ho phir zindagi se maut achchi 

#FaridoonShahryar

Thursday, April 18, 2024

Hone nahin doonga

Main achcha bun ke dikhaoon, aisi himaqat se parhez hai mujhe
Samajh jao tum ki main kya hoon, ye main hone nahin doonga

#FaridoonShahryar

Monday, April 15, 2024

Tanhai sukoon

Zid meri fitrat, jurrat hai mera junoon
Mohabbat sauda, tanhai mein hai sukoon

#FaridoonShahryar

Saturday, April 13, 2024

Fitrat mein meri...

Sharaait manzoor nahin mujhe 
Fitrat mein meri,zanjeerein nahin hain

Ranj hai

Afsos hai ki dard hai, aur beshumaar hai
Ranj ye hai ki tumhe kyun nahin hota 

#FaridoonShahryar

Friday, April 12, 2024

Haq

Haq 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Husn ko husn kaha 
Jazzbaton mein baha
Ishq parastish 
Pak mohabbat 
Nek mansooba
Ankhon mein dooba
Haq se maanga 
Haq apna 
Meri ana zeher sahi
Maut manzoor 
Aam zindagi nahin

Wednesday, April 10, 2024

Zimmedari nahin

Aur kuch mere bus mein ho ya na ho, lekin itna tay hai
Tumhari har baat maan lena ab meri zimmedari nahin

#FaridoonShahryar

Tuesday, April 9, 2024

Parchayi

Dil ke darwaaze ko bund kar ke bhi dekh liya hai maine
Tumhari yaad parchayi ki tarah mere saath rahti hai

#FaridoonShahryar

Sunday, April 7, 2024

Yahi sach hai

Yahi sach hai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khauff ki shaakh 
Par hava ne 
Dastak di hai
Pattiyon mein
Halchal si machi hai
Afratafri ke is 
Aalam mein
Ye kaun shaqs hai 
Jo tabassum ko
Apni dhaal bana kar 
Toofan ki aamad ko
Salaam karte hue
Khada hai 
Inhimaak ke saath
Anjaam jo bhi ho
Fateh uski hi hogi
Yahi sach hai.

Saturday, April 6, 2024

Sargoshi ki aahat

Raat ke kaanon mein sargoshi ki aahat sunai di hai 
Jugnuon ki mahfil saji hai bus tumhara intizaar Hai

#FaridoonShahryar

Friday, April 5, 2024

Tumhara vaham

Mujhe tumhari zaroorat hai, ye vaham hai tumhara 
Kitab ka vo warq kab ka peeche rah gaya hai hamara

#FaridoonShahryar

Thursday, April 4, 2024

So jao

So Jao
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Abhi abhi
Raat ne ailaan kiya hai
Ujaale ki tamanna 
Karne walon
So jao 
Andhere ki miiaad
Badhne waali hai
Khwaab sajao
Muskurao 
Barbadiyon mein bhi
Jashn manao
Khamoshi ka shor 
Azaab sahi 
Lekin..

Wednesday, April 3, 2024

Junoon Aur Sukoon

Junoon hai, junoon hai, junoon hai
Taveel raat ke baad hi sukoon hai

#FaridoonShahryar

Tuesday, April 2, 2024

Koi apna sa

Ye ghanimat hai mohabbat se rishta hai hamara
Bade hi khushqismat hain, koi apna sa hai hamara

#FaridoonShahryar

Monday, April 1, 2024

Zeher

Zeher 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Aabo hava mein 
Zeher ki miqdaar
Kuch itni badhi
Chhod aaye
Har vo rishta 
Jo hamein
Zindagi se
Zyada azeez tha

Sunday, March 31, 2024

Lamhon ka khazaana

Maine bhulaana bohot chaaha tumhe par kuch haar sa gaya hoon

Vo jo lamhon ka khazaana mere paas hai, tanhai ki daulat hai meri

#FaridoonShahryar

Saturday, March 30, 2024

Hasraton ki kashti

Bazahir sab theek thaak hai lekin kuch kami si hai
Na Jaane kyun, hasraton ki kashti kuch thami si hai 

#FaridoonShahryar

Tuesday, March 26, 2024

Khamoshi

Khamoshi 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khamoshi ne khidki kholi 
Muskura ke dekha 
Haath thaama 
Waada kiya
Hamesha saath 
Nibhaane ka 
Main jab so gaya
Vo tab bhi 
Mere saath thi

Ishq Kya Hai

Mohabbat ka dikhava karne vaalon, Ishq kya hai, tum kya jaano
Zinda ho abhi tak, deevangi kya hai, tum kya jaano

#FaridoonShahryar

Monday, March 25, 2024

Mera Zapt

Mera Zapt
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Os ki boondon 
Mein garm saanson
Ka mahekna 
Vo behekna 
Mere zapt ka 
Aur phir jo hua
Vo hua
Hava ka sharmana
Aur un ka qareeb aana
Bus hai dushvaar 
Qadmon ko rok paana
Kyunki...

Mera Zapt

Mera Zapt
A Nazm by Faridoon Shahryar

Os ki boondon
Mein garm saanson
Ka mahekna
Vo behekna
Mere zapt ka
Aur phir jo hua
Vo hua
Hava ka sharmana
Aur un ka qareeb aana
Bus hai dushvaar
Saanson ko rok paana
Kyunki...

Sunday, March 24, 2024

Tumhein hum na mil sake

Hamein pata hai ki hum kya hain aur tum kaun ho
 Budqismati tumhari ki tumhein hum na mil sake

#FaridoonShahryar

Seher ka intizaar

Seher ka intizaar tumhe bhi hai aur mujhe bhi
Waqt ne muskura ke kaha, raat abhi baaqi hai

#FaridoonShahryar 

Khushgavaar husn

Manzar mein husn bhi hai aur soz bhi
Aur hum bhi kuch khushgavaar hain

#FaridoonShahryar 

Saturday, March 23, 2024

Daastaan mein mod

Aitbaar uth sa gaya hai, dhoke hi khaaye hain kuch aise
Zakhm-e-dil ki daastaan mein mod ab zahaanat ka Hai

#FaridoonShahryar

Friday, March 22, 2024

Kya hoon main

Safar Hoon Main, Manzil bhi shayad
Kisi ko kyun bataoon, kya hoon main 

#FaridoonShahryar 

Thursday, March 21, 2024

Fasaana

Mohabbat ka fasaana bus itna hi sa hai
Koi hai jo hamein chaahe, shaayad koi nahin

#FaridoonShahryar

Wednesday, March 20, 2024

Mohlat

Dushmani tum se maine nibhaana chaaha tha bohot 
Allah ka shukr, masroofiyat ne mujhe mohlat na di

#FaridoonShahryar

Monday, March 18, 2024

Qaayam hoon

Sab kuch sahi kiya, aisa daava kabhi nahin kiya hai main ne
Mauqa poora diya hai tum ko, is baat par main qaayam hoon

#FaridoonShahryar

Friday, March 15, 2024

Vaada

Ye meri kahaani hai, aur main hi sunaoonga 
Vaada hai doston, danka apna bajvaoonga 

#FaridoonShahryar

Dil lagao kabhi

Rishton mein nafa nukhsaan dekha nahin karte 
Dil lagao kabhi, har faisla dimagh se liya nahin karte 

#FaridoonShahryar

Tuesday, March 12, 2024

Sahi kiya

Sahi kiya
A Nazm by Faridoon Shahryar

Jo bhi kiya 
Sahi kiya
Dil ko mom nahin
Zanjeer kiya
Jazzbaton ko kass ke
Jakad Liya
Sanson ko thaam liya
Samjha diya
Har us rishte ko
Jo jazb hai
Rom rom mein
Jo bhi kiya
Sahi kiya.

Sunday, March 10, 2024

Sukoon ka saaya

Sukoon ka saaya
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Sukoon ka saaya 
Hum se kuch 
Yun juda hua
Jaise saansen
Dheeme dheeme
Zindagi ka saath 
Chhodne ka mansooba
Bana rahi hon lekin
Faisla mubham sa hai.

Saturday, March 9, 2024

Sharm Aur Shikva

Aankhon mein sharm ke alaava bohot kuch nazar aata hai
Shikva kisi se kyun karen, waqt jaisa bhi ho guzar jaata hai

#FaridoonShahryar

Friday, March 8, 2024

Taaliyon ki mausiqui

Taaliyon ki mausiqui
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Mahdood mera daayra na ho
Isi firaaq mein deevangi se 
Dosti kar li hai 
Har lamha jashn-e-zindagi se
Do chaar hone ki mansha liye
Khoyi khoyi si tabassum odhe
Chala ja raha hoon
Bahe ja raha hoon
Waqt ki rau ko tasleem 
Karta bhi hoon 
Aur ye dua bhi labon par
Umadti si hai
Timtimaate sitaaron ke beech 
Mahtaab bun kar chha jaoon
Aur taaliyon ki mausiqui par 
Raqs ho.

Thursday, March 7, 2024

Achcha nahin kiya

Maine samjhaaya hai kai baar, tum ne samjha bhi shayad
Mere sabr ko tum ne kamzori samjha, achcha nahin kiya

#FaridoonShahryar

Wednesday, March 6, 2024

Baat samandar ki

Baat samandar ki
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Aazmaish ka lamha
Aaya bhi nahin
Aur tum ne 
Daaman chhuda Liya
Jo jung abhi chhidi hi nahin
Faisla uska suna diya
Baat karte ho samandar ki
Tumhe paani ki boondon ne
Hara diya

Sunday, March 3, 2024

Himaaqat

Bharosa karne ki phir se himaaqat kar baithe 
Dhokhe ne hamein dheeme se muskura kar dekha 

#FaridoonShahryar

Saturday, March 2, 2024

Achcha nahin kiya

Mohabbat ko meri izzat na bakhshi tum ne, afsos iska nahin hai
Dil se zyada dimaagh se kaam liya, ye achcha nahin kiya 

#FaridoonShahryar

Friday, March 1, 2024

Jung e Junoon

Sharafat se pesh aaya, magar kuch haar sa gaya hoon 
Jung-e-junoon shuru hui hai, ab tum meri inteha dekhna

#FaridoonShahryar

Thursday, February 29, 2024

Jhooth

Jhooth
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Raat ko subah se 
Milaane ki koshish
Kuch is tarah se ki hai
Veeraan sa hai safar
Koi bhi nahin humsafar
Aaina bhi 
Tujhe anjaan sa
Samajhta kyun hai
Main chalna chahoon bhi
Phir bhi namumkin 
Sa lagta kyun hai
Kahoon kaise ab 
Ae dost 
Tumhaara har sach
Jhoot sa lagta kyun hai

Wednesday, February 28, 2024

Fitrat

Fitrat tumhaari dakhalandaazi ki hai, main jaan chuka hoon
Tuute hue rishton ko aur kitna bikheroge, chalo dekhte hain

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 27, 2024

Gumnaami ka andhera

Gumnaami ka andhera
A Nazm by Faridoon Shahryar

Nafrat ke saaye se duur
Apne aap se mukhatib
Kisi aisi duniya mein tahleel
Jahan kuch ho na ho
Bechaini kum hai
Neend ab bhi kum hai
Sukoon ki miqdaar
Sab mahriomiyon par
Bhaari hai
Main thoda duur
Aur duur chala jaana chahta hoon
Nafrat ke saaye se
Gumnaami ka andhera achcha.

Mohabbat aur beniyazi

Beniyazi se jab maine kaam liya, tum ne shayad jaan liya
Mohabbat mein sabr ka imtihaan zyada nahin liya karte

#FaridoonShahryar

Sunday, February 25, 2024

Duuri

Duuri jo hum ne iqtiyar ki, tum paas aa gaye
Dil jud na sake, na sahi, fareb-e-nazar hi sahi

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 20, 2024

Tohfa

Tohfa
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Tohfa mere naam gar 
Karna jo tum chaaho 
Thoda sa khuloos
Thodi si mohabbat 
Hamdardi ki narmi 
Hissas si koi aahat
Besakhta si chaahat
Izzat se pesh aao
Kabhi to muskurao 
Vo kum sukhan hona 
Vo zahanat ka zom
Dil bujh sa chuka hai ab
Koi dil ko sataaye kyun

Monday, February 19, 2024

Duur

Bohot qareeb na aao mere
Bohot duur jaane ke liye

#FaridoonShahryar 

Safar ki shart

Kisi bhi shaqs se sukoon ki tavaqqo hum kyun rakhen
Safar ki shart hai, akele hi dhund se baahar nikalna hai

#FaridoonShahryar

Saturday, February 10, 2024

Dhund si kyun chhayi hai

Dhund si kyun chhayi hai
A Nazm by Faridoon Shahryar

Raat ki siyahi se
Tasveer kyun
Banayi hai
Subah ke andhere ko
Thoda ghaur se dekho
Dhund si kyun chhayi hai
Kis ki maut aayi hai
Khabar kisne
Chhapvai hai
Koi bhi nahin hai kya
Thoda sa jo jee sake
Sab ki maut aayi hai
Dhund si kyun chhayi hai

Friday, February 9, 2024

Aansuon ki Nami

Muskurahaton mein aansuon ki nami si kyun hai
Hamare shahar mein har shaqs tanha sa kyun hai 

#FaridoonShahryar

Tuesday, February 6, 2024

Bewafa Dost

Jis ko bhi dil ka haal sunaya, vo hi bewafa nikla
Hum ne khud ko dost banaya, ab dekho kya hota hai

#FaridoonShahryar

Sunday, February 4, 2024

Masroof Tanhai

Masroof Tanhai
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Jidhar dekha 
Har shaqs 
Apne hi mein 
Masroof nazar aaya
Kis se shikayat
Kyun ye khafgi 
Hamein to duniya mein
Har shaqs 
Tanha hi nazar aaya

Saturday, February 3, 2024

Dhoondta hoon sukoon

Dhoondta hoon sukoon
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Koi maqsad nahin
Phir kya hai zindagi 
Kaisa hai ye junoon
Kyun hai ye aarzoo
Gar yaqeen nahin tumhe
Phir kyun hai ye justujoo
Jise mahsoos kar sakoon
Dhoondta hoon vo sukoon

Friday, February 2, 2024

Jab waqt mile

Jab waqt mile
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Yaadon ki kirchanon ko
Dil ke kisi kone mein
Hifazat se saja loon 
Aur jab waqt mile,
Thoda muskura loon.

Wednesday, January 31, 2024

Khamoshi

Khamoshi
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Khamoshi 
Har simt 
Mayassar hai,
Raat 
Se kah do, 
Seher ka imkaan
Namumkin hai

Monday, January 29, 2024

Aansuon ki saughat

Aansuon ki saughaat le kar jo tum aaye the, kuch kaha bhi hota 
Hum bhi apna haal sunaate, tanha dil kab se rone ko betaab hai

#FaridoonShahryar

Sunday, January 28, 2024

Hamari Zindagi

Raat aaj phir bohot lambi hone waali hai 
Lekin ek ajeeb sa sukoon kyun taari hai
Koi kahin shayad hum ko bhi sochta hoga
Us ko khabar pohcha do, wo zindagi hamari hai

#FaridoonShahryar

Saturday, January 27, 2024

Mera qatl

Jis shiddat se mere qatl ka intezaam karte ho dost 
Kaash kabhi dosti ki koshish karte, hum khud hi marr jaate

#FaridoonShahryar

Friday, January 26, 2024

Bewafa se wafa

Wafadaari ke imtihaan mein nakaam hi hona tha
Ab bewafa se ishq koi nibhaye bhi kaise

#FaridoonShahryar

Thursday, January 25, 2024

Khona chaahta hoon

Tumhe haasil nahin paana chaahta hoon 
Apne aap ko thoda aur khona chaahta hoon

#FaridoonShahryar

Wednesday, January 24, 2024

Fareb

Fareb 
A Nazm by Faridoon Shahryar

Khamosh Raat
Se baatein karta hoon
Phone ki roshni mein
Tanhai se roobaroo ho kar 
Tumhe ek baar phir 
Yaad karta hoon 
Faasla ab achcha sa
Kyun lagta hai
Pata nahin 
Khamosh raat 
Se baatein karna
Khwabon ke fareb se
Shayad kahin behtar hai

Saleeqa

Zindagi jeene ka saleeqa sikhaane aaye hain 
Jo apne ghar ko tinka tinka bech aaye hain 

#FaridoonShahryar

Tuesday, January 23, 2024

Ajnabi dost

Ye to achcha hua, tum ajnabi se ho gaye ae dost
Kabhi saamna hua, ho sake to muskura dena

#FaridoonShahryar

Monday, January 22, 2024

Aur kya kahen

Jaisa socha tha hum ne bilkul vaisa hi hua hai sab 
Aur kya kahen, kahne ko kuch bhi raha nahin hai ab

#FaridoonShahryar

Saturday, January 20, 2024

Tum hi tum ho

Tum paas na sahi, duur bhi to nahin 
Har simt jahan dekhoon bus tum hi tum ho

#FaridoonShahryar

Friday, January 19, 2024

Kisi aur bazm ki yaad

Har koi apne hi mein mashghool sa nazar aaya
Hum ne phir se kisi aur bazm ko yaad kiya aaj

#FaridoonShahryar

Wednesday, January 17, 2024

Akela aasmaan

Aaj raat barf ka savera hai
Mera aasmaan, phir bhi akela hai

#FaridoonShahryar

Monday, January 15, 2024

Kirdaar aur lahja

Baat karne ka lahja badalta sa rahta hai 
Tumhaare kirdaar mein zarf ki kami hamesha se thi

#FaridoonShahryar

Bhoola hua Khwaab

Bhoola hua Khwaab 
A Nazm by Faridoon Shahryar 

Tum koi yaad nahin, 
Kal ki kahi koi baat nahin,
Tum ek jazba ho 
Aas ho, ahsaas ho
Bhula do mujhe ab
Jaise koi khwaab ho

Sunday, January 14, 2024

Mayoos qissa

Qissa vo khatm kar bhi doon, haasil magar aayega kya
Tanha main kal bhi tha, mayoos main aaj bhi hoon 

#FaridoonShahryar

Mayoos Qissa

Qissa vo khatm kar bhi doon, haasil magar aayega kya
Tanha main kal bhi tha, mayoos main aaj bhai hoon 

#FaridoonShahryar

Saturday, January 13, 2024

Kirdaar ke rang

Mohabbat ki tasveer mein kuch kami si rah gayi
Kirdaar ke rangon ko utarte dekha hai hum ne 

#FaridoonShahryar

Thursday, January 11, 2024

Beimaan maqsad

Jo chaaha tha maine vo hua nahin ab tak
Zinda rahne ka maqsad beimaan sa kyun hai

#FaridoonShahryar

Tuesday, January 9, 2024

Jhootha hi sahi

Jab bhi sach bola, dhokha hi khaaya hai maine
Main jhootha hi sahi, tanhai hai azeez mujhe 

#FaridoonShahryar

Friday, January 5, 2024

Khwaab aur Haqeeqat

Chaaha to bohot ki tumhe apna bana sakoon 
Khwabon ne magar haqiqat se mooh mod liya

#FaridoonShahryar

Thursday, January 4, 2024

Zillat se samjhauta

Koshish bohot ki maine apni ana se mooh modne ki 
Jurrat ne mujhe zillat se samjhauta na karne diya 

#FaridoonShahryar

Tuesday, January 2, 2024

Junoon aur Jazbaat

Jazbaat saje hain har taraf, jazbaton ka kya hai
Sahi kya hai khabar nahin hamein, junoon ye kaisa hai 

#FaridoonShahryar

Fareb

Zindagi ne itne fareb diye ki na jaane kab 
Main bhi farebi ho gaya aur afsos bhi na hua

#FaridoonShahryar

Qadr

Meri qadr ki hoti to kuch aur hi baat hoti 
Tum agar chaahte, yeh raat aisi siyaah na hoti 

#FaridoonShahryar