Faridoon Shahryar
Faridoon Shahryar's Blog
Faridoon Shahryar's Blog
Saturday, November 14, 2020
Mayoos Dil
Mayoos zaroor hai mera dil
Nadaan nahin hoon main
#FaridoonShahryar
Daanishwar
Daanishwar
A Nazm by Faridoon Shahryar
Danishwar,
sanjeedgi se
apni naanv mein
suraakh karne mein
doobe hue hain,
Toofaan ki aahat se gurez,
himaqat ki intiha,
afvahon ke saudagar.
Ye naanv
zaroor paar lagegi.
Luti hui izzat
Zameen ki khareed farokht to bahaana hai
Luti hui izzat, har haal mein bachaana hai
#FaridoonShahryar
Badsurti ki manzil
Badsurti ki manzil
A Nazm by Faridoon Shahryar
Ek khoobsurat tasveer ko badsurti ki manzil tak pahuchaane waalon se
yahi kahna hai,
mubarak ho,
hum nakamyaab sahi,
aur aap...
Wafa ki umeed
Hum hi par sitam, hum hi gunahgaar
Aur hum hi se wafa ki umeed bhi, Wah!
#FaridoonShahryar
Taqreer par wah wah
Mazmoon mein dilchaspi nahin unhe
Bus taqreer par Wah wah hona chahiye
#FaridoonShahryar
Himaqaton par sharminda
Ahsaanmand hoon ahsaan faramosh ka
Apni himaqaton par aaj main sharminda hoon
#FaridoonShahryar
Subah ki aahat
Ek nayi subah ki aahat hai
Fiza mein zahar kuch kum hai
#FaridoonShahryar
Buzdil ki hairaniyan
Nafraton ke is daur mein kya se kya ho gaya
Vaadiyon mein goonjti hain, buzdil ki hairaniyan
#FaridoonShahryar
Badmizaaj Saudagar
Jhooth, makkari aur nafrat ke badmizaaj saudagar
Asliyat ke aaine se inki mulaqaat karaate hain
#FaridoonShahryar
Chiraghon ka andhera
Chiraghon ka andhera bula raha hai
Mayoosi mein sukoon dhoondo kabhi
#FaridoonShahryar
Sannata
Khamoshi ki inteha shaayad yahi hai
Zalzale roz aate hain, sannata sametne
#FaridoonShahryar
Zulm ke nashtar
Vo zulm ke nashtar chubhoyenge
Hum shayri ke paron se sehlayenge
#FaridoonShahryar
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)