Faridoon Shahryar
Faridoon Shahryar's Blog
Faridoon Shahryar's Blog
Sunday, October 25, 2020
Bachkana
Bewakhoofi ki san hadein tamaam huin
Ab jo bhi hoga bachkana hi hoga
#FaridoonShahryar
Behaya
Kuch to majboori zaroor rahi hogi
Koi itna behaya yuheen nahin hota
#FaridoonShahryar
Kamzor adakaar
Jis beraham ne kiya be-abroo sar-e-bazaar
Ussi ki ghulaami karte hain kamzor adaakar
#FaridoonShahryar
Himaqat ka hisaab
Majboori thhi hamaari, kya karein, kah ke bach jaoge
Hisaab hoga har himaqat ka, muh na chhipa paoge
#FaridoonShahryar
Bakhsh Do
Bakhsh do
A Nazm by Faridoon Shahryar
Tumhari maut ko
Munaafe ka sauda
Banaane waale logon
Se main kya kahoon
Baksh do
Nakhsh na karo
Bebuniyaad kahaniyan
Baksh do
Saazishon se
Apni dukaanein
Chamkaane waalon
So jaane do
Zinda rahne do
Kuch yaadon ki kirchen
Baksh do!
Mahfooz
Chaandni,
Raat samandar mein
Seepiyon ki
Aaghosh mein
Mahfooz hai
Shaayad
#FaridoonShahryar
Hikmat ka nateeja
Gulistaan mein gul ek hi rang ke honge
Ye farmaan avaam ki hikmat ka nateeja hai
#FaridoonShahryar
Kirdaar
Kirdaar to nibhaye hain bakhoobi kai baar
Bus ye imaan ki kamzori ki vajah kya hai
Barkhaast
Mohabbat barkhaast hui
Ab hum tum anjaan hain
#FaridoonShahryar
Nadaan
Mayoos zaroor hai mera dil
Nadaan nahin hoon main
#FaridoonShahryar
Daanishwar
Daanishwar
A Nazm by Faridoon Shahryar
Danishwar,
sanjeedgi se
apni naanv mein
suraakh karne mein
doobe hue hain,
Toofaan ki aahat se gurez,
himaqat ki intiha,
afvahon ke saudagar.
Ye naanv
zaroor paar lagegi.
Tuesday, October 6, 2020
Aaina
Aab-o-hava mein tanz hai
Chalo isi ka jashn manaate hain
Jhoota inka ranj hai
Chalo inhe hi
Aaina dikhaate hain
#FaridoonShahryar
Auqaat
Bhala koi kisi ki auqaat kya banayega
Saara ghuroor dhara ka dhara rah jayega
#FaridoonShahryar
Ro lena tum
Bojhal ho jaoge
Tanha raaston par
Anjaan sannaton se
Gale milte milte
Ro lena tum
#FaridoonShahryar
Kar ahad
Kar Ahad
A Nazm by Faridoon Shahryar
Kar ahad,
Hava ke saath
Na bahega tu,
Na rukega aur
Na thakega tu,
Jo tere ghuroob hone ki
Karte hain peshengoi
Unsa na maroob hoga tu
Kar ahad, kar ahad, kar ahad
Makrooh yaadein
Makrooh yaadein
A Nazm by Faridoon Shahryar
Tumhaare janaaze ka
Ahtram bhi na hua
Padi rahi mayyat,
Mahroomi ke aasuon mein
Bheegi si
Bahut shor tha har simt
Jhooth aur fareb ki
Galiyon mein
Kuch mauqaparaston ne
Tumhaari yaadon ko
Makrooh kar diya
Behaya manzar
Cheekhon ka juloos, khamoshi ki inteha
Nam hain aankhen, manzar hai behaya
#FaridoonShahryar
Khushfahmi ki sadak
Khushfahmi ki sadak par itra ke tum chalte ho
Girgit bhi sharma jaaye,aise rang badalte ho
#FaridoonShahryar
Bachkana
Bewaqoofi ki sab hadein tamam huin
Ab jo bhi hoga bachkana hi hoga
#FaridoonShahryar
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)